ALWIDAAI JUM’A KA TASAWWUR AUR QAZAAE UMARI KI HAQEEQAT
ALWIDAAI JUM’A KA TASAWWUR AUR QAZAAE UMARI KI HAQEEQAT
SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH /JEDDAH DA’WA CENTRE HAIYYIS SALAMA,SAUDI ARABIA
Romanised By Khadija Muhammadi
Ramazanul Mubarak Ka Aakhri Juma Awaam Me Alwidaai Ke Naam Se Mashhoor Hai Aur Is Juma Ko Woh Ahmiyat Di Jati Hai, Jo Ahmiyat Eid Ko Haasil Hai. Waqt Se Pehle Amal Kar Ke Umdah Se Umdah Libaas Me Sajh Dhaj Kar Aur Khushbu Laga Kar Bade Tazk Aur Ahtisham Se Juma Me Haazri Di Jati Hai.
Haqeeqat Yah Hai Ke Ramazan Ka Aakhri Juma Ko Alwidaai Juma Kehna Kahi Se Saabit Nahi Hai Hatta Ke Is Bare Me Koi Zaeef Hadees Bhi Marwi Nahi Hai Aur Aqal Ke Bhi Yah Baat Galat Hai Kuy Ke Saal Ke 12 Mahine Hai Aur Har Hafta Juma Ka Din Aata Hai Aur Har Maah Ke Ikhtitaam Par Bhi Juma Aata Hai Fir Ramazan Ka Aakhri Juma Hi Alwidaai Juma Kuy Kehlaae Ga?
Dar Asal Is Aakhri Juma Ko Mashhoor Karne Ka Sabab Yah Hai Ke Logo Ne Zindagi Bhar Ki Chhodi Hui Namaaz Maaf Karane Ka Bidati Tareeqah Iyjaad Kiya Hua Hai Jis Ko Qazaae Umari Ka Naam Diya Jata Hai. Qazaae Umari Se Mutalliq Chand Qism Ki Jhuti Baate Ghadi Gai.
*Qazaae Umari Se Mutalliq Ek Baat Yah Phailaai Gai Hai Ke Ramazan Me Aakhri Juma Ko Ek Din 5 Namaaze Witr Ke Sath Parh Li Jaae To Umar Bhar Ki Chhodi Hui Namaaze Ada Ho Jaaegi Yah Logo Ka Jhut Hai,Is Baat Ka Shariat Se Koi Talluq Nahi Hai.
* Qazaae Umari Se Mutalliq Ek Dusri Baat Yah Phelaai Gai Hai Ke Ramazan Ke Aakhri Juma Me 4 Nafil Ek Salaam Se Parh Le Namaaz Ki Har Rak’at Me Surah Fatiha Ke Baad 7 Martaba Aayatul Kursi Aur 15 Martaba Surah Ikhlaas Parh Le(Kisi Ne Surah Ikhlaas Ki Bajaae Surah Kausar Bhi Bataya Hai) To Tamam Umar Ki Qazao Ka Kaffarah Ho Jaane Ka Agarcha 7 Saal Ki Namaaz Qaza Ho Tab Bhi Yah 4 Rakat Namaaz Kaffarah Ke Liye Kaafi Hai.
Haqeeqat Yah Hai Ke Aysi Koi Rivaayat Mustanad Hadees Ki Kitaab Me Nahi He Albatta Ek Jhuti Aur Baatil Rivaayat Ka Tazkirah Mulla Ali Qari Ne Apni Kitaab Almauzuaatul Kubra Me Karte Hai Ke Jo Shakhas Ramazan Ke Aakhri Juma Me Ek Farz Namaaz Bataur E Qaza Parh Le To Iski Saal Ki Chuti Hui Namaazo Ki Talaafi Ho Jaaegi. Is Rivaayat Ka Zikr Kar Ke Mulla Ali Qari Khud Farmate Hai Ke Yah Baatil Rivaayat Hai Balke Is Waqt Ulma e Ahnaaf Bhi Qazaae Umari Ke Naam Se Is Murawwijah 4 Rakat Wali Namaaz Ko Baatil Qaraar Dete Hai. Barelwi Ulma Bhi Is Murawwijah Qazaae Umari Ko Be Asal Aur Bid’at Qarar Dete Hai.
Jab Haqeeqat Yah Hai Ke Ramazan Ke Aakhri Juma Me Qazaae Umari Ki Niyyat Se Parhe Jane Wali Namaaz Ko Dewbandi Aur Barelwi Dono Tabaqaat Me Beasal Aur Bid’at Hai To Fir Inke Maanne Walo Me Yah Namaaz Abhi Bhi Kuy Raaij Hai? Aur Is Juma Ko Kuy Dusri Juma Par Fauqiyat Di Jati Hai,Sochne Waali Baat Hai.
Aur Kalaam Ke Taur Par 3 Baate Arz Karta Hu.
(1) Yah Hai Ke Ramazanul Mubarak Ke Aakhri Juma Ko Alwidaai Kehna Galat Hai, Is Juma Ka Bhi Wahi Naam Hai Jo Ramazan Ke Pehle,Dusre Aur Teesre Juma Ka Naam Hai, Yah Alag Baat Hai Ke Ramazan Ka Aakhri Ashra Khususan Uski Raate Pehle Dono Ashro Se Afzal Hai Kuy Ke Isme Shabe Qadr Hai Magar Aakhri Ashra Ke Sirf Ek Din Yani Juma Ko Fauqiyat Dena Kisi Daleel Se Saabit Nahi Hai.
(2) Yah Hai Ke Ramazan Ka Aakhri Juma Ko Qazaae Umari Ki Niyyat Se Koi Namaaz Parhna Bid’at Aur Mardood Hai Is Namaaz Se Umar Bhar Kiya Ek Din Ki Namaaz Ki Talaafi Nahi Hogi Aur Deen Me Bid’at Anjaam Dene Ki Wajah Se Gunaah Alag Se Hoga.
(3) Yah Ke Me Ulmaae Ahnaaf Se Bhi Guzaarish Hai Ke Aap Log Zor Aur Shor Se Murawwijah Qazaae Umari Ki Bid’at Ko Awaam Me Waazeh Kare Balke Amali Shakl Me Puri Quwwat Se Isko Mitaane Ki Koshish Kare Kuy Ke Yah Bid’at Aap Ke Yaha Paai Jaati Hai.
❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁
अलविदा जुमा का तसव्वुर और क़ज़ा-ए-उमरी की हक़ीक़त
तहरीर: शैख़ मक़बूल अहमद सलफ़ी हाफ़िज़ाहुल्लाह
हिंदी मुतर्जिम: हसन फ़ुज़ैल
रमज़ान-उल-मुबारक का आख़िरी जुमा अवाम में अलविदाई के नाम से मशहूर है और इस जुमा को वह अहमियत दी जाती है, जो अहमियत ईद को हासिल है। वक्त से पहले अमल करके उम्दा से उम्दा लिबास में सज-धज कर और ख़ुशबू लगाकर बड़े तज़क और एहतिशाम से जुमा में हाज़िरी दी जाती है।
हक़ीक़त यह है कि रमज़ान का आख़िरी जुमा को अलविदाई जुमा कहना कहीं से साबित नहीं है, हत्ता कि इस बारे में कोई ज़ईफ़ हदीस भी मर्वी नहीं है और अक़्ल के भी यह बात ग़लत है क्योंकि साल के 12 महीने हैं और हर हफ़्ते जुमा का दिन आता है और हर माह के इख़्तिताम पर भी जुमा आता है, फिर रमज़ान का आख़िरी जुमा ही अलविदाई जुमा क्यों कहलाएगा?
दरअसल इस आख़िरी जुमा को मशहूर करने का सबब यह है कि लोगों ने जिंदगी भर की छोड़ी हुई नमाज़ माफ़ कराने का बिदअती तरीक़ा ईजाद किया हुआ है जिसको कज़ा-ए-उमरी का नाम दिया जाता है। कज़ा-ए-उमरी से मुताल्लिक़ चंद क़िस्म की झूठी बातें गढ़ी गई हैं:
कज़ा-ए-उमरी से मुताल्लिक़ एक बात यह फैलाई गई है कि रमज़ान में आख़िरी जुमा को एक दिन 5 नमाज़ें वितर के साथ पढ़ ली जाए तो उमर भर की छोड़ी हुई नमाज़ें अदा हो जाएंगी, यह लोगों का झूठ है, इस बात का शरियत से कोई ताल्लुक़ नहीं है।
कज़ा-ए-उमरी से मुताल्लिक़ एक दूसरी बात यह फैलाई गई है कि रमज़ान के आख़िरी जुमा में 4 नफ़िल एक सलाम से पढ़ ले। नमाज़ की हर रकात में सूरह फ़ातिहा के बाद 7 मर्तबा आयतुल कुर्सी और 15 मर्तबा सूरह इख़लास पढ़ ले (किसी ने सूरह इख़लास की बजाए सूरह क़ौसर भी बताया है) तो तमाम उम्र की कज़ाओ का कफ़्फ़ारा हो जाएगा। अगर 7 साल की नमाज़ कज़ा हो तब भी यह 4 रकात नमाज़ कफ़्फ़ारा के लिए काफ़ी है।
हक़ीक़त यह है कि ऐसी कोई रिवायत मुस्तनद हदीस की किताब में नहीं है। अलबत्ता एक झूटी और बातिल रिवायत का तज़किरा मुल्ला अली क़ारी ने अपनी किताब अलमौज़ुआतुल कुबरा में किया है कि जो शख़्स रमज़ान के आख़िरी जुमा में एक फ़र्ज़ नमाज़ बतौर ए कज़ा पढ़ ले तो इसकी साल की छूटी हुई नमाज़ो की तिलाफ़ी हो जाएगी। इस रिवायत का ज़िक्र करके मुल्ला अली क़ारी ख़ुद फ़रमाते हैं कि यह बातिल रिवायत है, बल्कि इस वक्त उलमा ए अहनाफ़ भी कज़ा-ए-उमरी के नाम से इस मुरव्वजा 4 रकात वाली नमाज़ को बातिल क़रार देते हैं। बरेलवी उलमा भी इस मुरव्वजा कज़ा-ए-उमरी को बे असल
और बिद’अत क़रार देते हैं।
जब हक़ीक़त यह है कि रमज़ान के आख़िरी जुमा में कज़ा-ए-उमरी की नियत से पढ़ी जाने वाली नमाज़ को देवबंदी और बरेलवी दोनों तबक़ात में बेमूल और बिद’अत है, तो फिर इनके मानने वालों में यह नमाज़ अभी भी क्यों राइज है? और इस जुमा को क्यों दूसरे जुमा पर फौक़ियत दी जाती है, सोचने वाली बात है।
और कलाम के तौर पर तीन बातें अर्ज़ करता हूँ:
- यह है कि रमज़ान-उल-मुबारक के आख़िरी जुमा को अलविदाई कहना ग़लत है, इस जुमा का भी वही नाम है जो रमज़ान के पहले, दूसरे और तीसरे जुमा का नाम है। यह अलग बात है कि रमज़ान का आख़िरी अश्रा ख़ुसूसन उसकी रातें पहले दोनों अश्रो से अफ़ज़ल हैं क्योंकि इसमें शबे क़द्र है मगर आख़िरी अश्रे के सिर्फ़ एक दिन यानी जुमा को फ़ौक़ियत देना किसी दलील से साबित नहीं है।
- यह है कि रमज़ान का आख़िरी जुमा को कज़ा-ए-उमरी की नियत से कोई नमाज़ पढ़ना बिद’अत और मर्दूद है। इस नमाज़ से उम्र भर क्या, एक दिन की नमाज़ की तलाफ़ी नहीं होगी और दीन में बिद’अत अंजाम देने की वजह से गुनाह अलग से होगा।
- यह कि मैं उलमा-ए-अहनाफ़ से भी गुज़ारिश करता हूँ कि आप लोग ज़ोर और शोर से मुरव्वजा कज़ा-ए-उमरी की बिद’अत को अवाम में वाज़ेह करें, बल्कि अमली शक्ल में पूरी क़ुव्वत से इसको मिटाने की कोशिश करें क्योंकि यह बिद’अत आपके यहाँ पाई जाती है।