Search
Sections
< All Topics
Print

DEEN KI DAWAT DENA CHOOD DENA HALAKAT KO WAAJIB KAR DETA HAI

DEEN KI DAWAT DENA CHOOD DENA HALAKAT KO WAAJIB KAR DETA HAI

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH

JEDDAH DA’WAH CENTER HAIYYUS SALAMAH,SAUDI ARABIA

 

Islaam Allaah Ka Piyara Deen Hai Yah Piyara Deen Khubsurat Baaton, Haseen Ta’leemaat, Paakizah Aqaaid Aur Umdah Fikr o Khayaal Par Mushtamil Hai, Dar Asal Isi Deen Me Tamam Duniya Waalon Ke Liye Aman, Raahat Aur Sukoon o Itminaan Hai. Jis Ko Bhi Zindagi Ka Aur Jeene Ka Saleeqah Chaahiye Woh Islaam Ke Saaye Ke Mein Aa Jaaye Phir Allaah Ki Rehmat Use Dhaanp Legi Aur Woh Khushgawaar Zindagi Guzaar Sakega.

Ek Sawaal Zehan Me Ubhar Kar Saamne Aata Hai Ke Jab Islaam Ke Daaman Me Aman Hai To Phir Musalmaan Aaj Kiun Pareshaan Haal Hai? Jis Ke Liye Urooj Aur Irtiqaa (Bulandi) Muqaddar Thi Woh Mazloom Qaum Ban Kar Kiun Reh Gayi Hai? Har Taraf Musalmaano Ka Qatl e Aam Kiun Ho Raha Hai? Aaj Allaah Ham Se Kiun Naraaz Hai Aur Us Ne Kiun Hame Aazmaaish Me Mubtala Kar Diya Hai?

Iska Jawaab Yah Hai Ke Ham Sirf Dawa Karne Me Musalmaan Reh Gaye Hain, Amal Karne Me Muhammadi Se Bahut Door Hain. Allaah Ne Hamein Sab Se Piyara Deen Diya, Ham Ne Us Deen Ki Na Hifaazat Ki, Na Use Sahih Se Samjha Aur Na Deen Par Sahih Se Amal Karne Ki Koshish Ki Yani Ham Ne Apne Deen Ki Madad Nahi Ki Jis Ki Wajah Se Allaah Ki Madad Ham Se Door Ho Gayi. Allaah Ne Hamein Ummat E Muhammadiya Me Se Banaya Hai Aur Ummat Ke Har Insaan Ki Zimmedaari Hai Ke Woh Deen e Islaam Ka Ilm Haasil Kare, Us Par Amal Kare Aur Dusron Ko Uski Tableegh Bhi Kare Agar Tableegh Ke Raaste Me Mushkilaat Paish Aayen To Sabr Ka Daman Thaamein. Surah Al-Asr Ka Khulasa Yahi Hai Aur In Hi Baaton Par Amal karne Ke Baad Ham Duniya Aur Aakhirat Me Najaat Pane Wale Hain Warna Nahi. Allaah Taala Ne Musalmaano Ko Dawat Dene Ka Hukam Dete Hue Irshaad Farmaya:

ولتكن منكم امة يدعون إلى الخير ويامرون بالمعروف وينهون عن المنكر وأولئك هم المفلحون
 

Tarjumah: Tum Me Se Ek Jamaat Aysi Honi Chaahiye Jo Bhalaai Ki Taraf Bulaae Aur Nek Kamo Ka Hukam Kare Aur Bure Kaamo Se Roke Aur Yahi Log Falaah Aur Najaat Pane Wale Hai.

آل عمران:104​

Aur Dusri Jagah Farmaya:

ادع الى سبيل ربك بالحكمة والموعظة الحسنة وجادلهم بالتي هي أحسن.(النحل:125)

Tarjumah: Apne Rab Ki Raah Ki Taraf Logo Ko Hikmat Aur Behtareen Nasihat Ke Sath Bulaaiye Aur Unse Behtareen Tariqe Se Baat Kijye.

Dawat Aur Tableeg Hasb E Istia’at Aur Baqdar Ilm Har Musalmaan Ki Zimma Daari Hai,Rasool SAV Ka Farmaan Hai:
بلغوا عني ولو آية وحدثوا عن بني إسرائيل ولا حرج ومن كذب علي متعمدا فليتبوا مقعده من النار.(صحيح البخاري:3461)

Tarjumah: Mera Paigaam Logo Ko Pohnchaao Agar Cha Ek Hi Aayat Ho Aur Bani Israail Ke Waqiaat Tum Bayan Kar Sakte Ho Un Me Koi Haraj Nahi Aur Jis Ne Mujh Par Jaan Bujh Kar Jhooth Bhandha To Use Apne Jahnnam Ke Thikaane Ke Liye Taiyyar Rehna Chaahiye.

Allaah Ne Aakhri Nabi Bhej Kar Ambiya Ki Aamad Ka Silsila Munqateh Farma Diya,Ab Qayaamat Tak Sirf Aakhri Nabi Muhammad SAV Ka Paigaam Hi Duniya Walo Ke Liye Raah E Najaat Hai. Is Paigaam Ko Duniya Ke Har Fard Tak Aur Duniya Ke Har Kone Kone Se Pohnchana Har Musalmaan Ka Fareeza Hai. Yaha Yah Bhi Haqeeqat Hai Ke Logo Tak Sahih Dawat Na Pohnchne Ki Wajah Se Islaam Ajnabi Hota JA Raha Hai. Musalmaano Ke Liye Nagufta Ba Haalaat Paida Hote Ja Rahe Hai. Mujhe Yah Baat Kehne Me Zara Barabar Bhi Shak Nahi Ke Is Ummat Ke Aksar Afraad Ne Asal Dawat Ka Fareeza Chhod Rakha Hai Jis Ki Wajah Se Tabahi Hamari Muqaddar Ban Gai Hai. Ayse Mauqa Se Allaah Ki Tabaahi Nek Aur Bure Sab Ko Shaamil Hoti Hai. Is Silsile Me Quraan Aur Hadees Ke Chand Dalaail Dekhte Hai Jin Me Deen Ki Dawat Ko Chhod Dene Par Tabaahi Aur Barbaadi Ka Zikar Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:

لعن الذين كفروا من بني إسرائيل على لسان داؤد وعيسى بن مريم ذلك بما عصوا وكانوا يعتدون. كانوا لا يتناهون عن منكر فعلوه لبس ما كانوا يفعلون.(المائدة:78-79)

Tarjumah: Bani Israail Ke Kaafiro Par Dawood Aur Isa Bin Maryam(Alyhis Salaam) Ki Zabaani Lanat Ki Gai Is Wajah Se Ke Woh Nafarmaniyo Karte The Aur Had Se Aage Badh Jate Hai Aapas Me Ek Dusre Ko Bure Kamo Se Jo Woh Karte The Rokte Na The Jo Kuch Bhi Yah Karte The Yaqeenan Woh Bahut Bura Tha.

Jo Munkar Se Logo Ko Nahi Rokte The Woh Lanat Ke Mustahiq Hote Hai Aur Munkar Wale To Azaab Se Do Chaar Hote Hi Hai Aur Bachte Wahi Hai Jo Neki Karte Hai Buraai Se Rukte Hai Aur Logo Ko Bhi Neki Ka Hukam Dete Hai Aur Buraai Se Rokte Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:

فلما نسوا ما ذكروا به انجينا الذين ينهون عن السوء وأخذنا الذين ظلموا بعذاب بئس بما كانوا يفسقون.(الأعراف:165)

Tarjumah: So Jab Woh Usko Bhul Gae Jo Un Ko Samjhaya Jata Tha To Ham Ne Un Logo Ko To Bacha Liya Jo Is Buri Aadat Se Man’a Kiya Karte The Aur Un Logo Ko Jo Ke Ziyadti Karte The Ek Sakhat Azaab Me Pakad Liya Us Wajah Se Ke Woh Be Hukmi Kiya Karte The.

Ek Jagah Allaah Ne Sarahat Ke Sath Zikar Kiya Hai Ke Pehle Zamano Me Fasaad Aur Munkar Se Rokne Wale Kam The Aur Ham Ne Sab Ko Halaak Kar Diya Aur Unme Se Chand Achche Logo Ko Bacha Liya Jo Logo Ko Aameen Me Fasaad Aur Buraaiyo Se Man’a Kiya Karte The. Chunacha Farmaan E Ilaahi Hai:

فلولا كان من القرون من قبلكم اؤلوا بقية ينهون عن الفساد في الأرض إلا قليلا ممن انجينا منهم واتبع الذين ظلموا ما اترفوا فيه وكانوا مجرمين.(هود:116)

Tarjumah: as Kuy Na Tum Se Pehle Zmaane Ke Logo Me Se Ayse Ahle Khair Log Hue Jo Zameen Me Fasaad Phailane Se Rokte Siwaae In Chand Ke Jinhe Ham Ne Unme Se Najaat Di Thi Zaalim Log To Us Chiz Ke Piche Padh Gae Jis Me Unhe Aasudgi Di Gai Thi Aur Woh Gunehgaar The.

Ab Chand Hadees E Zikar Karta Hu Jin Me Deen Ki Dawat Chhod Dene Par Halaakat Khezi Ka Zikar Hai. Jareer Bin Abdullaah Bijli RA Bayan Karte Hai Ke Me Ne Nabi SAV Ko Farmate Hue Suna:

ما من رجل يكون في قوم يعمل فيهم بالمعاصي يقدرون على ان يغيروا إلا أصابهم الله بعذاب من قبل ان يموتوا.(صحيح ابي داؤد: 4339)

Tarjumah: Jo Koi Aysi Qaum Me Ho Ke Unme Allaah Ki Na Farmaaniya Ki Jaa Rahi Ho Aur Woh Log Unki Islaah Aur Unke Badalne Par Qaadir Ho Uske Bawajood Woh Unki Islaah Na Kare Aur Unhe Na Badle To Allaah Un Sab Ko Unke Marne Se Pehle Azaab De Ga.

Abu Baqar Siddiq RA Se Rivayat Hai Unhone Kaha:

يا أيها الناس انكم تقرؤون هذه الآية يا أيها الذين آمنوا عليكم أنفسكم لا يضركم من ضل إذا اهتديتم واني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول ان الناس إذا راؤ ظالما فلم يأخذوا على يديه أوشك أن يعمهم الله بعقاب منه.(صحيح الترمذي: 3057)

Tarjumah: Ay Logo Tum Yah Aayat Padhte Ho

{يا أيها الذين آمنوا عليكم أنفسكم لا يضركم من ضل إذا اهتديتم}

Aur Mene Rasool SAV Ko Yah Kehte Hue Suna Bhi Hai Ke Jab Log Zaalim Ko(Zulam Karte Hue) Dekhe Fir Bhi Uske Haath Pakad Na Le(Use Zulam Karne Se Rok Na De)To Qareeb Hai Ke Un Par Allaah Ki Taraf Se Umoomi Azaab Aa Jaae (Aur Woh Un Sab Ko Apni Pakad Me Le Le.)

Huzaifah Bin Yamaan RA Se Rivayat Hai Ke Nabi SAV Ne Farmaya:

والذي نفسي بيده لتامرن بالمعروف ولتنهون عن المنكر أو ليوشكن الله ان يبعث عليكم عقابا منه ثم تدعونه فلا يستجيب لكم.(صحيح الترمذي:2169)

Tarjumah: Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Haath Me Meri Jaan Hai Tum Bhalaai Ka Hukam Do Aur Buraai Se Roko Warna Qareeb Hai Ke Allaah Tum Par Apna Azaab Bhej De Fir Tum Allaah Se Dua Karo Aur Tumhari Dua Qabool Na Ki Jaae.

Noamaan Bin Basheer RA Se Rivayat Hai Woh Nabi SAV Se Bayan Karte Hai Ke Aap Ne Farmaya:

مثل القائم على حدود الله والواقع فيها كمثل قوم استهموا على سفينة فأصاب بعضهم أعلاها وبعضهم أسفلها فكان الذين في أسفلها إذا استقوا من الماء مروا على من فوقهم فقالوا لو انا خرقنا في نصيبنا خرقا ولم نؤذ من فوقنا فإن يتركوهم وما أرادوا هلكوا جميعا وان أخذوا على ايديهم نجوا ونجوا جميعا.(صحيح البخاري:2493)

Tarjumah: Allaah Ki Hudood Par Qaaim Rehne Wale Aur Usme Ghus Jane Wale(Yani Khilaaf Karne Wale)Ki Misaal Ayse Logo Ki Si Hai Jinhone Ek Kushti Ke Zariya Qur’a Taqseem Kar Liya Kuch Logo Ke Hisse Me Upar Wala Tabqa Aaya Jab Ke Kuch Logo Ke Hisse Me Nichla Hissa Le Liya. Ab Nichle Hisse Walo Ko Jab Paani Ki Zaroorat Hoti To Woh Upar Walo Ke Paas Se Guzarte Unhone Khayaal Kiya Ke Agar Ham Apne Nichle Hisse Hi Me Suraakh Kar Le To Achcha Hoga Is Tariqah Se Ham Upar Walo Ke Liye Takleef Ma Baais Nahi Hon Ge Ab Agar Upar Wale Niche Walo Ko Unke Iraade Ke Mutabiq Chhod De To Sab Halaak Ho Jaae Ge Aur Agar Woh Unka Haath Pakad Le To Woh Bhi Bach Jaaen Ge Aur Dusre Bhi Mehfooz Rahen Ge.

In Aayat Aur Ahaadees Se Jo Baat Saaf Saaf Samjh Me Aa Rahi Hai Woh Yah Hai Ke Aksar Musalmano Ne Dawati Fareeza Chhod Rakha Hai Jis Ke Natijah Aaj Woh Qisam Qisam Ke Dunyawi Azaab Me Mubtila Hai Dusri Taraf Ham Dekhte Hai Ke Dawat Dene Walo Ki Bhi Kuch Kami Nahi Hai Bade Paimaane Par Aur Bade Bade Ijlaas Munaqid Ho Rahe Hai Basa Awqaat Ek Ek Programme Ki List Me 100-100 Taqreer Karne Aur Maqala Nigaar Ke Naam Hote Hai,Un Afraad Ki Koshisho Me Sirf Ek Ek Faidah Talash Kiya Jaae To Samaj Ke Liye Is Programme Se 100 Faidah Bante Hai Magar Haqeeqat Me Samaaj Ko Un Jaise Programmo Se Aaj Koi Faidah Hota Nazar Nahi Aa Raha Hai. Duniya Ki Un Sari Dawato Ko Dekhte Hue Hame Lagta Hai Ke Dawat Ka Kaam Nahi Ho Raha Hai Ya Agar Kuch Daawati Kaam Ho Raha Hai To Usme Bahut Sari Khaamiya Paida Ho Gai Hai. Aaiye Talash Karte Hai Kamiya Kaha Hai?

* Ek Badi Khamiya To Yah Hai Ke Musalmano Ki Ek Badi Tadad Jaamiaat Aur Madaaris Se Faarig Hoti Hai Aur Ziyada Taadad Me Deen Ka Ilm Rakhne Wale Ilm Haasil Karne Ke Baad Dusra Maidaan Ikhtiyaar Kar Lete Hai Aur Sire Se Tableeg Hi Nahi Karte.

*Dusri Khaami Yah Hai Ke Jab Ahle Ilm Ne Deen Ki Tableeg Me Kotaahi Ki Logo Tak Deen Pohnchane Me Susti Se Kaam Liya To Unki Jagah Jaahilo Ne Le Li Yahi Wajah Hai Ke Aaj Kam Ilm Wale Mufti Aur Aalim Bane Ummat Ko Gumraahi Ki Taraf Le Ja Rahe Hai.

* Jo Log Firqa Parasti Ki Dawat De Rahe Hai Woh Logo Se Haq Chupate Hai Aur Baatil Ki Dawat Dete Hai,Mere Kehne Ka Matlab Yah Hai Ke Woh Deen Ke Nusoos Ko Tod Marod Kar Apne Maslak Par Muntabiq Karte Hai Aur Logo Se Haq Chhupa Kar Apne Khood Sakhta Aqwaal Ki Taraf Bulaate Hai.

* Ek Khaami To Yah Hai Ke Ummat Ke Padhe Likhe Afraad Dawat Me Asal Chiz Ki Dawat Se Kinara Kashi Ikhtiyaar Kar Rahe Hai Ambiya Ki Asal Dawat ” Tavheed” Ki Nashar O Ishaat Aur “Shirk” Ki Baikh Kuni Thi Jis Se Aaj Ke Aksar Ulma Katra Rahe Hai Illa Ma-Sha-Allaah.

* Aaj Ilm Tijaarat Ban Gaya Waqt Aur Aalim Ke Qadar Ke Hisaab Se Taqreer Ma Paisa Mutaiyyan Kiya Jata Hai Ayse Me Dawat Kaha Hogi,Woh To Tijaarat Ban Gai Aur Jab Daawat Tijaarat Ban Jaae To Ummat Ko Kya Khood Ko Bhi Faidah Nahi Pohnch Sakta.

* Dawat Ka Circle Bilkool Mehdood Ho Kar Reh Gaya Hai Deen To Musalmaano Ke Paas Hai Hi Ulma Ke Liye Tableeg Ka Asal Maidaan Gairo Par Islaam Paish Karna Hai Magar Afsos Ke Sath Kehna Padhta Hai Ke Is Maidaan Me Asri Taaleem Yaafta Kuch Dr. Aur Engineer To Kaam Kar Rahe Hai Magar Ambiya Ke Asal Warwseen Nazar Nahi Aate.

* Daawat Ka Circle Is Mani Me Bhi Tang Ho Gaya Hai Ke Musalman Mukhtalif Toliyo Me Bate Hue Hai Har Firqa Wala Sirf Apne Circle Me Dawat De Kar Magan Hai Aur Samjh Raha Hai Ke Ham Dawat Ka Bada Kaam Kar Rahe Hai Jab Ke Na Hi Gair Muslimo Tak Pohnch Rahe Hai Aur Na Hi Apne Siwa Dusre Musalmano Ke Paas Ja Paate Hai.

* Jo Chand Daai Paae Jaate Hai Unme Aksar Apne Nafas Ki Dawat Se Bilkul Gaafil Hai Samjhte Hai Ke Quraan Aur Hadees No Dusro Par Paish Kar Dena Hi Daawat Hai Hamare Liye Un Baato Ka Amal Me Lana Koi Zaroori Nahi Hai Yah Baat Khood Se Kehte Nahi Hai Magar Amalan Aysa Hi Zaahir Hota Hai Ayse Daai Ki Taqreer Me Asar Kaha Se Paida Hoga?

* Dawat Me Ek Pehlu Hukam Ka Hai Aur Dusra Nahi Ka Yani Jis Tarah Ham Par Bhali Baato Ka Hukam Dena Waajib Hai Usi Tarah Buri Baato Se Rokna Bhi Waajib Hai Aaj Achchi Achchi Baato Ki Badi Tableeg Hoti Hai Magar Munkiraat Par Koi Kisi Ko Tokne Wala Nahi Hai.

* Kuch Daai Nafarmaano Ko Tableeg Nahi Karte Yah Sochte Hai Ke Tableeg Se Unko Kya Faidah Hoga Yah Badi Bhul Hai Jis Ka Irtikaab Pehle Bani Israail Bhi Kar Chuki Hai Buraai Karne Walo Ko Jab Saaleheen Nasihat Karte To Kuch Log Kehte Ke Un Par Azaab To Aana Hi Unhe Nasihat Kar Ke Kya Faidah?

Un Bato Ka Khulasa Yah Hai Ke Dawat Ham Musalmano Ka Aham Fareeza Hai Uski Adaaegi Me Amanatdaari Ka Saboot De. Deen Ki Itni Hi Daawat De Jitni Maloomaat Yaqeen Aur Burhaan Ke Sath Hai Nez Daawat Ke Maidaan Me Saadir Hone Wali Mazkoorah Bala Khaamiya Apne Darmiyaan Se Door Kare Tabhi Hamari Daawat Kaamiyaab Aur Hamara Yah Amal Najaat Ka Baais Ban Sakta Hai.

Allaah Ham Sab Ko Ikhlaas Aur Lillaahiyat Ke Sath Dawat Dene Ki Taufeeq De. Aameen

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁
Table of Contents