Search
Sections
< All Topics
Print

PAYTM KA CASH BACK SHARAI NUQTA E NAZAR SE

PAYTM KA CASH BACK SHARAI NUQTA E NAZAR SE

 

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

 

Romanised: Khadija Muhammadi

 

Internet Ke Zamane Me Aksar Tijarti Usi Se Jud Gai Hai,Len Den Ka Inhisaar To Ab 100% Us Par Ho Gaya Hai Aur Khareed Farokhat Ke Maidan Me Internet Ne Kaafi Sahuliyaat Farahim Kar Di Hai. Ghar Bethe Marzi Ka Samaan Dastiyaab Ho Jata Hai Aur Aamad O Rafat Ki Mushkilaat Aur Akhraajat Bachne Lage.

Internet Se Jude Mobile Ka Ek Application Paytm Us Waqt Badi Maqbuliyat Haasil Kar Chuka Hai. Paytm Na Koi Bank Hai Na Tijarti Company Hai Aur Na Hi Maaliyaati Idarah Hai Yah Sirf Ek Application Hai. Usko Banane Wale Ne Is App Ko Mukhtalif Banks,Tijarti Idaaro, Online Khareed Farokhat Aur Landline, Mobile, Recharge,Bijli,Ticket (Train,Bus,Jahaz)TV,Sineema,Faishon,Hotel,Gas,Dawa,Ilaaj,Entertainment, Game,Bima,Charity Office Wagairah Se Marboot Kar Ke Un Kamo Ko Us Ek App Se Karna Aasaan Kar Diya Hai. Haqeeqat Me Is App Se Hazaaro Qisam Ke Maaliyaati Tijarti Aur Mamlaati Idaare Jude Hue Dikhaai Dete Hai Unme Kitne Gair Sharai Idaare Aur Gair Sharai Awaamil Maujud Hai.

Yaha Sawaal Yah Hai Ke Paytm Apne App Se Transaction Karne Par Cash Back Yani Kuch Paisa Wapis Deta Hai. Us Paise Ka Hasil Karna Ya Lekar Istemaal Karna Sharan Kaisa Hai?

Hota Is Tarah Hai Ke Kisi Be Is App Ke Zariya Koi Mobile 50 Rs Ka Recharge Kiya,Yah Recharge Mobile Company Se Hua,Mobile Company Se Len Den 50 Rs Ka Hua Yaha Par Paytm Ki Jaanib Se 30 Rs Ka Cash Back Milta Hai. Ab Sawal Yah Hai Ke Jab Paytm Mobile Company Nahi Hai To Cash Back Kuy Aur Kaha Se Deta Hai?

Jab Is Sawaal Ki Haqeeqat Jante Hai To Malum Hota Hai Ke Jis Tarah Google Company Blog,Website Aur You Tube Par Company Ke Tashheer Kar Ke Uska Kuch Hissa Faidah Un Samaji Rawabit Ke Istemaal Kunindah Ko Bhi Deta Hai Isi Tarah Ka Mamla Paytm App Me Bhi Hai.

Mene Is Se Pehle You Tube Par Video Upload Kar Ke Us Se Paise Kamane Ke Mutalliq Nawjawano Ko Aagaah Kiya Tha Aaj Paytm Ke Mutalliq Arz Karna Chahta Hu Ke Agar Us App Ke Sirf Istemaal Se Yani Uske Zariya Mobile Recharge Ya Kisi Qisam Ke Bill Ki Adaegi Par Cash Back Milta Hai To Uske Lene Me Rukawat Nahi Hoti Magar Mere Samne Is App Me Kai Rukawate Hai.

(1) Yah App Bima,Film,Entertainment, Aur Faishon Wagairah Ki Bhi Tashheer Karta Hai Aur Bahut Sari Online Tijarati Chizo Ki Nangi Picture Ke Sath Ishtihaar Maujud Hai.

(2) Transaction Par Cash Back Ishtihaar Par Madad Ke Badla Hai Aur Upar Ham Ne Jana Ke Ishtihaar Baazi Me Kai Sari Sharai Khamiya Hai.

(3) Is App Me Kai Qisam KI Online Tijarat Bhi Hai Jis Ke Mutalliq Dajal Aur Faraib Ka Bhi Imkaan Hai Nez Online Khareed Aur Farokhat Me Saman Par Qabza Kiye Bagair Use Dusre Ke Hath Bechna Aam Hai Jo Sharan Najaiz Hai Aur Agar Us Tijarat Me Haraam Chizo Ki Tijarat Bhi Ho To Us Haraam Chiz Ki Tashheer Me Madad Karna Bhi Haraam Hai.

(4) Is App Ko Share Karne Par Uska Koi Sathi Mobile Recharge Karta Hai Ya Bill Jama Karta Hai To Share Karne Wale Se 50 Rs Milne Ka Wada Hai. Jis Ne Yah App Share Kiya Hai Uski Wajah Se Koi Is App Se Flim Ka Ticket Kharidta Hai Ya Bima Karwata Ya Uska Premium Jama Karwata Hai To Us Gunaah Ka Zimma Daar Share Karne Wala Bhi Hoga. Isi Tarah Online Tijarat Me Koi Company Froud Ho To Invite Karne Wala Bhi Gunehgaar Hoga. App Share Karne Se Nangi Picture Ka Gunaah Bhi Is Par Aae Ga.

(5) Chun Ke Is App Me Senkdo Programme Maujud Hai Jin Me Se Chand Ka Mene Zikar Kar Hi Diya Hai Yah Gair Sharai Hai Mazeed Aur Kitne Gair Sharai Kaam Usme Maujud Hai Kon Musalmaan Uski Sachchai Ko Bataae Ga? Jab Mamla Shak Wala Hai To Kuch Paiso Ke Liye Kuy Apna Imaan Barbaad Kare?

(6) Khud Recharge Karne Par 30 Rs Jab Ke Invite Karne Par 50 Rs Cash Back Ke Taur Par Milte Hai Aur App Wale Ne Har New Friend Ke Transaction Par 50 Rs Keh Kar Rozana 1000 Rs Kamane Ka Lalach Diya Hai. Zaahir Si Baat Hai 1000 Rs Ki Fikar Me Jis Jis Ko Bhi Yah App Bheja Jaae Ga Us App Ke Andar Maujud Gair Sharai Kaamo Ka Gunaah Bhejne Wale Ke Sar Bhi Jaae Ga.

(7) Network Marketing Ki Tarah Usme Bhi Bada Bada Lalach Diya Gaya Hai Upar Ek Lalach Guzra Ke Rozana 1000 Kamaae Dusra Lalach Yah Hai Ke Har Ghanta 200 Aadmi 100%Cash Back Pata Hai Aur Teesra Sab Se Bada Lalach Lakhpati Banne Ka Hai Woh Yah Ke Har Hafta Recharge Ya Bill Ki Adaegi Par 1,00,000 Ka Lucky Draw Se Nikala Gaya Cash Back Paane Ka Mauqah Mile Ga. Teesra Lalach Is App Ka Sab Se Bada Jhansa Hai.

(8) Is App Me Badi Tadad Me Online Shopping Ki Chize Nazar Aati Hai Un Par Kai Hazaar Ka Cash Back Likha Hua Hai Mujhe Lagta Hai Ke Saaman Par Badi Qeemat Ka Cash Back Bas Dikhawa Hai Asal Qeemat Ko Badha Kar Uska Naam Cash Back Rakh Diya Gaya Hai.

Un Chand Bato Ke Zikar Ka Maqsad Yah Hai Ke Is App Se Paisa Kamana Sharai Nuqta Nazar Se Jaiz Nahi Malum Hota Hai Kuy Ke Is App Me Dhoka Ka Imkaan Bhi Hai Gair Sharai Tijarat Bhi Hai Aur Haraam Kaam Par Madad Bhi Hai. Agar Sirf Recharge Ya Bill Ki Adaegi Par Cash Back Hota Aur Kisi Qisam Ki Gair Sharai Chiz Ki Tashheer Na Hoti To Fir Jaiz Hone Ki Gunjaish Thi Magar Recharge Ya Bill Ki Adaegi Par Cash Back Asal Me Is App Me Maujud Mukhtalif Tijarti Idaaro Ki Tashheer Aur Un Se Mamlaat Ke Badle Hai Jin Me Gair Sharai Kaam Bhi Paae Jate Hai.

Is App Ki Maqbooliyat Ko Wajah Se Bahut Se Log Is Ke Zariya Kamaai Kar Rahe Hai Mujhe Un Ke Paiso Se Hasan Nahi Hai Taaham Unki Kamaai Ke Galat Pehlu Se Zaroor Taklif Hai Is Bina Par Yah Tehreer Qalam Band Karne Par Majboor Hua Hua. Ayse Tamam Muslim Bhaiyo Ki Khidmat Me Aarzi Aasi Bssade Ahtaraam Yah Paigaam Paish Karta Hai Ke Len Den Ka Jo Bhi Mamla Kare Idaare Ki Asal Office Se Ya Unki Saari Website Se Kare Maslan Mobile Recharge Kare,Bijli Bill Ada Karna Hai Uski Office Jaae Ya Uski Zaati Web Se Payment Kare,Isi Tarah Bank Ka Koi Kaam Karna Hai Usi Bank Se Kaam Kare. Online Koi Saman Kharidna Ho To Direct Company Ki Website Istemaal Kare Aur Pehle Uske Mutalliq Imtihaan Kare Fir Kharidari Kare. Mere Kehne Ka Maqsad Yah Hai Ke Mamlaat Apni Jagah Aur Kamaai Apne Jagah. Yah Dono Alag Alag Chize Hai Mamlaat Ko Mamlaat Hi Rehne De Aur Dhang Se Mamlaat Kare Jo Mehfuz Tareen Tariqah Ho Aur Kamaai Ko Alag Alag Zariya Rehne De Aur Halaal Tariqah Se Mehnat Aur Mashaqqat Ke Sath Rozi Kamaae Halaal Tariqe Se Kamaai Gai Kam Rozi Me Bhi Allaah Barkat De Ga Aur Bagair Mehnat Ki Haraam Rozi Me Kabhi Barkat Nahi Hoti.

 

Allaah Hame Halaal Tariqe Se Rozi Kamane Ki Taufiq De Aur Apne Fazal Se Hame Khushhaal Bana De. Aameen

 

 

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁
Table of Contents