Search
Sections
< All Topics
Print

VESTIGE MARKETING ME MIMBAR SAAZI KA SHARAI HUKAM

Vestige Marketing Me Mimbar Saazi Ka Sharai Hukam

 

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

 

Romanised by : Khadija Muhammadi

 

Is Waqt Vestige Marketing Naami Network Marketing Ka Logo Me Bada Charcha Hai,Kai Salo Se Yah Company Multi Level Tijarat Ke Maidaan Me Kaam Kar Rahi Hai Awaam Ki Aksariyat Is Company Par Atimaad Rakhti Hai Aur Ek Kaseer Tadad Me Us Se Jud Kar Paisa Kama Rahi Hai Gair Muslimo Ki Tarah Musalmano Ki Bhi Badi Tadad Is Se Jud Kar Apni Maashi Halat Behtar Banane Me Masruf Hai Balke Kuch Musalmano Ka Kehna Hai Is Business Se Munsalik Ho Kar Ham Apne Ahle Khana Ki Kifaalt Behtar Andaaz Me Kar Rahe Hai.

Islaam Hame Tijarat Karne Se Nahi Rukta Islaam Maashi Haalat Behtar Banane Se Nahi Rukta Aur Na Hi Ahle Khana Ki Behtar Taur Par Kifaalat Karne Se Rokta Hai Taaham Islaam Ne Hame Fitri Nizaam Zindagi Diya Hai Jis Me Allaah Aur Uske Rasool Ne Tijarat Ke Saaf Suthre Usool Batlaae Hai. Yaqeenan Islaam Ke Pakizah Tijarati Usool Me Hi Zindagi Ki Haqeeqi Sa’aadat Fard Aur Jamaat Ki Asal Kaamiyab Aur Duniya Ke Sath Aakhirat Ki Bhi Bhalaai Hai. Islaam Hame Kasbe Ma’aash Ke Liye Mehnat Par Ubharta Hai,Use Sharf Aur Fazilat Ka Maqaam Deta Hai, Mehnat Bhi Jaiz Tariqe Se Karni Hogi Tabhi Rozi Pakizah Aur Halaal Hogi Warna Na Jaiz Tariqe Se Tireless Mehnat Kar Ke Haasil Ki Gai Rozi Haraam Hogi.

Vestige Ka Jitna City Hai Uske Baare Me Logo Me Aur Internet Par Utni Hi Bate Pheli Hui Hai. Mene Us Company Ko Ke Usool Aur Maqaasid Ko Janne Ki Koshish Ki Aur Uske Tariqah Kaar Ka Jaiz Liya To Wahi Kuch Khamiya Jo Mene Multi Level Company Ke Mutalliq Raqba Mazmoon Me Bayan Kiya Hai Paai Hai Kuy Ke Yah Bhi Member Sazi Wali Company Hai Aur Zaahir Si Baat Hai Ke Member Sazi Ke Buniyadi Usool Hai Aur Har Aysi Company Me Paai Jaae Gi.

Usme Koi Shak Nahi Ke Us Company Ke Paas Apne Kuch Products Hai Jin Ke Sahare Yah Company Chalaai Ja Rahi Hai. Dawah Karne Wale Membaraan Ne Kuch 100 Ki Tadad To Kuch 200 Ki Tadad Tak Batlaai Hai. Logo Ko Nazar Bhi Aata Hai Ke Yah Company Apne Product Ki Tijarat Kar Rahi Hai. Is Company Se Judte Waqt Koi Fees Wasool Nahi Ki Jati, Bagair Fees Ke Aur Bagair Koi Shart Lagaae Member Ka Account Khol Diya Jata Hai. Ab Yah Mimber Vestige Se Tijarat Kar Ke Paisa Kamana Chahta Hai. Vestige Se Jud Kar Maal Kamane Ke 2 Tariqe Aham Hai.

(1) To Yah Hai Ke Jab Woh Is Company Ka Member Bana Hai To Zaahir Si Baat Hai Woh Ya To Samaan Khareed Kare Ga Ya Member Sazi Kare Ga. Go Ke Yah Ikhtiyaari Hai Magar Aur Koi Option Bhi Nahi Hai. Samaan Khareed Ne Par Kuch Jhooth Milti Hai Aur Kuch Bonus Point Milte Hai. Fir Us Kharide Gae Samaan Ko Ya To Khud Istemaal Karta Hai Ya Market Me Bech Kar Kuch Faidah Kamana Chahta Hai.

(2) Sab Se Bada Nafa Kamane Ka Tariqah Member Sazi Karna Yani Woh Logo Me Is Company Aur Uski Tijarat Ki Tashheer Kar Ke Unhe Us Se Jode. Kisi Ne Maslan 6 Aadmi Jode To Un 6 Aadmi Ki Company Se Khareed Par Faidah Ka Kuch Commission Jodne Wale Ko Mile Ga Yah 6 Shakhas Fir Apne Sath 6-6 Aadmi Ko Jodte Hai To Un Sab Ki Khareed Ke Faidah Ka Commissions Pehle Shakhas Ko Bhi Mile Ga. Is Tarah Jis Qadar Level Bante Jaenge Sare Level Ke Faidah Ka Commission First Shakhas Ko Bhi Hamesha Aata Rahe Ga Hatta Ke Woh Mar Jaae Tab Bhi.

Is Market Me Ameer Banne Aur Achanak Gareebi Door Karne Ka Jo New Formula Logo Ko Bataya Jata Hai Us Jhanse Me Aakar Log Iska Mimber Ban Jate Hai Aur Ek Martaba Mimber Banne Ke Baad Ya To Woh Company Ka Product Kharide Ga,Saman Nahi Kharidne Ka Sawal Hi Paida Nahi Hota Kuy Ke Mimber Bana Hi Jata Hai Saman Kharidne Ke Liye Warna Tijarat Kis Kaam Ki. Market Rate Se Kai Guna Mehnge Saman Kharidne Se Member Ko Faidah Nahi Bahut Ziyada Nuqsaan Uthana Padhta Hai Magar Yah Nuqsaan Dar Asal Ameer Banne Ke Lalach Me Bardasht Kiya Jata Hai Aur Is Baat Ko Aam Logo Par Chupa Kar Rakha Jata Hai. Jin Chizo Ko Zaroorat Nahi Woh Bhi Mehnge Damo Par Company Se Khareed Kar Member Apna Point Badhana Chahata Hai. Yaha Ek Member,Member Nahi Reh Jata, Investors Ban Jata Hai Fir Bhi Company Ki Nazar Me Customer Hi Kehlata Hai Chizo Ki Khareed Aur Farokhat Se Hasil Shuda Point Commission Aur Chhut Mamuli Hoti Hai Asal Faidah To Member Sazi Me Hai. Ek Martaba Chand Member Bana Liye Fir Ghar Bethe Bila Mehnat Faidah Aata Rehta Hai.

Vestige Se Musalmaan Bhi Badi Tadad Me Jude Hai Unke Judne Ki Wajah Yah Khush Fehmiya Hai Ke Markazi Jamiat Ulmae Hind Aur Dubai Halaal Maraakiz Ne Is Company Ki Tasdeeq Ki Hai Yani Yah Company Halaal Certified Hai Yah Bhi Kehna Hai Ke Bahut Sare Musalman Is Se Jude Hue Hai Aur Aaj Tak Musalmaan Ulma Ki Taraf Se Iski Mukhalifat Nahi Hui Hai. Khush Fehmiya Me Ziyada Izaafa Karne Wala Darul Uloom Nadwatul Ulma Luckhnw Ka Fatwah Hai Jis Me Is Business Ko Halaal Aur Us Se Musalmano Ke Judne Ko Jaiz Kaha Gaya Hai.

Me Un Musalmano Bhaiyo Ko Batlana Chahta Hu Ke Vestige Ke Talluq Se Apni Khush Fehmi Khatam Kare Aur Halaal Tariqe Se Rozi Kamaae Allaah Ne Zameen Bahut Kushadah Banai Hai Is Rue Zameen Par Rozi Kamane Ke Lakho Jaiz Zaraae Aamadni Hai.

Musalmano Ki Khush Fehmiya Se Mutalliq Pehli Baat Yah Ke Markazah Jamiat Ulmae Hind Aur Dubai Halaal Maraakiz Ne Is Vestige Ki Product Ko Halaal Kaha Hai Yah Nahi Kaha Ke Is Product Bechne Ke Tariqe Bhi Halaal Hai Is Baat Ko Samjhne Ki Zaroorat Hai Aur Jaha Tak Nadwah Ke Fatwah Ki Baat Hai To Sawal Karne Wale Ne Fatwah Me Chalaaki Se Sawal Kiya Hai Company Ke Haqeeqi Surat E Haal Ka Zikar Nahi Kiya Hai Aur Mufti Saahibaan Ne Bhi Tehqeeq Kar Ke Jawab Dene Ke Banaae Jald Bazi Se Kaam Liya Hai. Bahar Haal! Taaza Khabar Ke Mutabiq Nadwah Ne Pichle Fatwah Se Ruju Kar Liya Hai Aur Baad Me Is Company Se Parhez Karne Ki Salaah Di Hai. Darul Uloom Devband Ne Bhi Vestige Se Jud Kar Member Sazi Ke Zariya Faidah Kamane Ko Jaiz Nahi Kaha Hai.

Aaiye Me Aap Ko Vestige Se Judne Ki Sharai Haisiyat Batau Agar Aap Is Company Ka Member Ban Kar Sirf Saman Ki Khareed Aur Farokhat Tak Apne Aap Ko Mehdood Rakhte Hai Aur Kisi Qisam Ki Galat Tashheer Me Hissa Nahi Lete Hai To Yaha Tak Mamla Sahih Hai Magar Koi Bhi Member Multi Level Company Me Member Sazi Se Baaz Nahi Reh Sakta Aakhir Isi Me Ameer Banne Ka Nuskha Hai Aur Is Baat Ke Jhanse Me Aakar Company Me Shamuliyat Ikhtiyaar Kiya Gaya Hai Yah Kaise Mumkin Hai Ke Koi Member Us Company Ke Saste Aur Bila Kaam Wala Saman Mehnge Qeemat Me Khareed Karta Rahe Jab Ke Bazaar Me Us Se Kai Guna Sasta Saman Maujud Hai?

Member Sazi Ke Zariya Paisa Kamana Pehle Level Tak To Jaiz Hai Jin Ko Khud Se Bila Wasta Company Ka Member Banaya Hai Lekin Unhone Jin Logo Ko Member Banaya Hai Ya Unke Baad Wale Jin Ko Member Banaya Hai Ya Unke Baad Wale Jin Ko Member Banaen Ge Un Logo Ke Munafa Se Commission Lena Jaiz Nahi Hai. Shariat Ki Ru Se Munafa Ki Jaiz 3 Surte Banti Hai.

(1) Ya To Ham Ne Karobaar Me Raqam Lagaai Ho Aur Mehnat Bhi Karte Ho,Yah Shirkat Hai.

(2) Ya Sirf Raqam Lagaai Ho Mehnat Koi Dusra Kare,Yah Muzaribat Hai.

(3) Ya Bagair Raqam Ke Mehnat Karte Ho Use Ajarah Yani Mazduri Kehte Hai. Member Sazi Ka Talluq Is Teesri Qisam Se Hai Is Lihaaz Se Apni Mehnat Ki Mazduri Sirf Pehle Level Tak Hi Jaiz Hai Uske Baad Wale Marhalo Ka Munafa Aur Commission Lena Na Jaiz Hai.


Vestige Ki Mazeed Chand Khamiya Aap Ke Samne Rakhna Chahta Hu Taaki Uske Nuqsaanat Se Ek Musalmaan Bekhabar Rahe Aur Khud Ko Us Company Se Alag Rakhe.


(1) Duniya Bhar Ki Multi Level Companiya Apne Se Jodne Ke Liye Jhoothe Qisse,Banawti Kahani Aur Laffaazi Ke Zariya Logo Ko Apna Shikaar Banati Hai,Yah Comoaniya Apne Memberan Ko Uski Hi Asal Training Deti Hai Ke Logo Ko Kaise کنونس Karna Hai Aur Kis Tarah Company Join Karwana Hai?

Goan Walo Ko Kaisa Phansana Hai Aur City Ko Kaise Lubhana Hai? Vestige Ki Hazaaro Videos You Tube Par Dastiyaab Hai Jaha Logo Ko Apna Shikaar Banane Ki Tarah Tarah Ke Formula Bayan Kiye Gae Hai Duniya Ki Ghatiya Se Ghatiya Tijarti Company (Jo Multi Level Na Ho) Apna Saman Farokhat Karne Ke Liye Ayse Harbe Nahi Apnati.

(2) Yah Sahih Hai Ke Vestige Ke Paas Zaati Product Hai Bazaahir Usi Ki Tijarat Nazar Aati Hai Aur Hukoomat Se Registered Karane Ke Liye Bhi Koi Na Koi Suboot Dena Padhe Ga Yah Products Hukoomat Ki Nazar Me Tijarti Saboot Hai Taaham Iske Tamaam Members Ki Tavjjoh Ka Markaz Aseel Sirf Member Saazi Hai Goya Baraae Naam Tijarat Hai Uske Pase Pardah Logo Ka Maal Baatil Tariqe Se Khaya Ja Raha Hai.

(3) Company Aur Chizo Ki Advertising Me Jhooth, Dhoka, Grian, Coagulation Aur Anokhe Khawaab BAYAN Kiye Jate Hai Yaha Tak Ke Dabaao Tak Banaya Jata Hai Islaam Me Na Is Tarah Koi Saman Farokhat Karne Ki Ijazat Hai Aur Na Hi Kisi Company Ki Is Tarah Advertising Karne Ki Ijaazat Hai.

(4) Member Saazi Ke Zariya Ek Tarah Se Pure City Aur Mulk Ko Hostage Banane Ki Koshish Hai Is Network Market Se Judne Wala Fir Dusre Tamam Market Se Mehroom Ho Jata Hai Ya Aysa Bhi Keh Sakte Hai Ke City Aur Mulk Ku Tamam Tijarat Ke Liye Nuqsaan Deh Hai.

(5) Jis Tarah Aadmi Gambling Me Paise Lagata Jata Hai Taaki Kabhi Na Kabhi Achanak Ameer Ban Jaae Ga Isi Tarah Iske Members Lalach Me Har Month Ziyada Se Ziyada Company Ke Product Kharidte Hai Halan Ke Unhe Unki Zaroorat Nahi Hoti Hai Sirf Lalach Use Yah Saman Kharidwata Hai.

(6) Agar Koi Member Company Se Online Kharidta Hai Aur Us Saman Par Qabza Karne Se Pehle Bech Deta Hau To Yah Surat Bhi Jaiz Nahi Hai Isko Misaal Se Ayse Samjhe Ke Kisi Member Ne Vestige Ka Koi Product Booked Kiya Fir Us Saman Par Apna Qabza Karne Se Pehle Hi Kisi Dusre Ke Hath Bech Deta Hai.

(7) Vestige Ke Bahut Hi Motivational Mane Jane Wale Speakers Sharma Ka Kehna Hai Ke Ek Shakhas Ki Maut Ke Baad Bhi Uski Biwi Ko 17,00,000 Ka Check Mila Kuy Ke Usne Mimbers Ka Jaal Banaya Tha Goya Mimber Saazi Ka Commission La Mehdood Hai. Jo Musalmaan Bhai Yah Kehte Hai Ke Ham Ko Company Sirf 8 Ya 9 Level Tak Commission Deti Hai Kuy Ke Hamari Mehnat Un Level Tak Hi Mehdood Rehti Hai Sarasar Jhooth Hai. Bhala Ek Shakhas Marne Ke Baad Kiya Mehnat Karta Hai?

(8) Member Saazi Ke Alawah Lalach Me Mehnge Saman Ki Khareed Par Member Jitna Paisa Saal Bhar Barbaad Karta Hai Us Se Apni Koi Choti Moti Tijarat Shuru Kar Sakta Hai.

(9) Jo Log Samjhte Hai Ke Vestige Ke Zariya Ham Achanak Ameer Ho Jaen Ge Woh Badi Bhul Me Waqe Hai Aur Jhoothe Logo Ki Jhoothi Tasalli Me Pade Hue Hai Woh Kam Az Kam Is Company Ke Sab Se Ziyada Mashhur Aur Motivational Mane Jane Wale Speakers Jai Sharma Ke Bayanat Sun Le Ke Kamyabi Ke Liye Kis Qadar Mehnat Chaahiye? Jab Vestige Ke Zariya Kamane Ke Liye Uska Member Ban Kar Apne Paisa Se Office Kholna Hai Apne Paisa Se Product Khareedna Hai Aur Tireless Mehnat Karni Hai To Fir Kuy Na Zaati Tijarat Khol Le Ya Kisi Halaal Tijarat Ki Agency Le Le Mumkin Hai Aamadni Kam Ho Magar Jaiz Aur Halaal To Hogi.

(10) Ek Baat Aur Aap Ko Bata Du Ke Multi Level Companiyo Me Kamyabi Chand Logo Ko Milti Hai Vestige Ke Members Lakh Se Ziyada Hai Aur Us Company Ki Website Par 16 Logo Ki Kamyabi ka Mamooli Zikar Mile Ga Baqiyah Nineteen Ninety Nine Thousand Nine Hundred Fourteen Ki Kamyabi Ka Koi Zikar Nahi Mile Ga Mahino Me Lakho Aur Karodo Kamane Wale 2 Ek Honge Baqi Sare Lakho Members Invest Kar Rahe Hai Aur Kadi Mehnat Kar Rahe Hai Magar Woh Kamyabi Unke Hisse Me Nahi Hai Yah Dolat Ki Gair Munsifana Taqseem Hai Jo Sarmaya Darana Nizaam Me Paai Jati Thi Fir Ishtiraakiyat Ne Baraabri Ka Na’ra Lagaya Aur Woh Bhi Apni Maut Aap Mar Gai. Islaami Nizaam E Maishat Ki Khubi Hai Ke Is Me Sarmaya Darana Nizaam Ki Tarah Daulat Ki Gair Munsifana Taqseem Hai Aur Na Hi Ishraakiyat Ki Tarah Masaawaat Ka Naqabile Qabul Dawah Balke Islaam Un Dono Ke Bich Logo Ke Darmiyan Adal Ke Sath Atidaal Aur Tawazun Bhi Qaaim Karta Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:

 

كي لا يكون دولة بين الأغنياء منكم.(الحشر:7)

 

Tarjumah: Taaki Tumhare Daulat Mando Ke Haath Me Hi Maal Ghumta Na Rahe.

 

In Sari Bato Ke Baad Aakhir Natijah Yah Nikalta Hai Ke Vestige Se Jud Kar Member Sazi Ke Zariya Paisa Kamana Musalmano Ke Liye Jaiz Nahi Hai Lihaza Hame Is Se Nahi Judna Chahiye Ha Is Company Se Koi Aadmi Halaal Food Ya Halaal Product Khareedta Hai To Isme Koi Harj Nahi Hai.

 

 

❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁❁
Table of Contents