53. TAWHEED AUR AQEEDAH KI AHM KUTUB:
TAWHEED AUR AQEEDAH KI AHM KUTUB
BARADAR-E-MUKARRAM! Zaiyl mein aqeedah e tawheed ke muta’alliq kuchh ahm kitaabon ki fehrist di jaa rahi hai- meri ye naseehat hai keh in kitaabon ko hasil kiya jae aur inka mutali’ah kiya jae.
Taakeh deen mein aap ki baseerat mein izafa ho; aur kamyabi ki shahraah par chal saken- aur is kamyabi ki raah par gamzan hon jiska raahi najaat yaafta hota hai, aur faida uthaata hai- aur jo koi is raah se munh mor leta hai woh na kaam wa na murad hojata hai.
Ae Baradar-e-mukarram! Jaan lijie keh Tawheed ka mutali’ah karna aur aqeedah ki taleem hasil karna tafaqquh fi adDeen ki sab se bari aur ahm tareen aqsaam mein se hai- ba’az Ulema-e-ikram (رحمہ اللّٰہ علیہم) ilm ki taqseem yun kiya karte the:
Fiqh-e-Akbar:
Is se murad Tawheed aur Aqeedah ke masaiyl hua karte the.
Fiqh-e-Asghar:
Is se murad Ibadaat aur mu’amilat ke ehkaam wa masaiyl hua karte the.
AB IN KITAABON KE NAAM AAP KI KHIDMAT MEIN PESH HAIN:
1- usoole thalatha
2- qawaide Arb’a
3- kashfush-shubhaat
4-kitabut-tawheed
[Ye tamam kitaabain shaikh Muhammad bin Abdul Wahhab Rahimahullah ki hain]
5- Majmoo’ah atTawheed anNajdiyah
6- Fathul majeed sharah kitaab atTawheed by shaikh Abdur Rahman bin hasan Rahimahullah
7-Taiseerul azeezul hameed sharah kitaab atTawheed by shaikh sulaiman Bin Abdullah Rahimahullah.
8-m,aarijul- qubool
9- a’laamus Sunnatil manshoorah.
[Ye donon kitaabain hafiz Hikmi Rahimahullah ki hain]
10- Al qawlul mufeed sharh kitaab atTawheed by shaikh Muhammad bin saleh al Uthaymeen Rahimahullah.
11- Kitaabut-tawheed
12- Al irshadu ilaa saheehil ai’tiqaad
[Ye dono kitabain shaikh Saleh Al Fawwzan Hafizahullah ki hain]
13- Aqeedah wastiyah Shaikh ul Islam Ibnu Taymiyyah Rahimahullah
14- sharh Aqeedah wastiyah Muhammad bin saleh al Uthaymeen Rahimahullah
15- sharh Aqeedah wastiyah shaikh Saleh Al Fawzan Hafizahullah
16- Al qawaidul muthla fee sifaatillahil wa asmaaihil husna shaikh Muhammad Bin saleh al Uthaymeen Rahimahullah
17-Aqeedah tahawiyyah aur uski sharah libnu abil izz al hanafi Rahimahullah
In ulema-e-karaam ki kitaab aur fataawa pargne ki bharpir koshish karain
- Shaikhul Islam Ibnu Taymiyyah Rahimahullah
- Shaikhul Islam Ibnu Qayyim Rahimahullah
- Shaikhul Islam Muhammad bin abdul Wahhab Rahimahullah
- Shaikh Abdul Azeez bin Abdullah bin baaz Rahimahullah
- Shaikh Muhammad Bin saleh al Uthaymeen Rahimahullah..
- Shaikh Abdullah alJibreen Rahimahullah
- Shaikh Saleh alFawzan Hafizahullah
Inke elawah bhi jin bare ulema e karaam ki kitaabain aqeedah aur Tawheed ke muta’alliq mil jaen to unke mutali’e ka ehtemam karna chahye.
REFERENCE:
KITAAB “TAWHEED MUYASSAR” / ASAAN TAWHEED
BY: “ABDULLAH BIN AHMAD AL HAWAIL”