04. Asmaa-e-Husnaa ki dalalat ki teen qismein hain
Choutha Mabhas:
Asmaa-e-Husnaa ki dalalat ki teen qismein hain
Allah kay saare naam nihayat achay aur piyare hain. Aur saare naam mutlaq kamaal aur mutlaq Hamd-o-Staish par dalalat karte hain. Aur saare naam apne ausaaf say mushtaq aur maakhuz hain. Lihaza un mein na tu Sifat-e-Almiyat (naam) kay manaafi hai. Aur na hi naam sifat kay manaafi hai. Aur in ki dalalat ki 3 qismein hain:
➤1. Dalalat mutabaqat: Yani jab ham naam ki tafseer us kay tamaam ma’aini kay zariye karen.
➤2. Dalalat tazammun: Yani jb ham naam ki tafseer us kay ba’az ma’aini kay zariye karen.
➤3. Dalalat iltizaam: Yani jab ham is naam kay zariye deegar un naamon par istadlaal karen jin par woh naam maoquf ho. Maslan “Al-Rahman” ki dalalat Sifat-e-Rahmat aur Allah ki zaat par Dalalat-e-Mutabaqat hai. Aur un donon mein say aik par Dalalat-e-Tazammun hai. Kiunkeh woh ziman mein dakhil hai. Aur us ki dalalat un naamon par jin kay subut kay bagair rahmat ka wujud he nahi ho sakta, Jaise hayaat, Ilm, Iraadah aur qudrat wagaira Dalalat-e-Iltizaam hai, Aur is akhari dalalat kay liye thos Ghur-o-Fikar darkar hoti hai. Aur is mein Ahal-e-Ilm kay darjaat mukhtalif hote hain. Kiunkeh is ki ma’arifat ka rastah yeh hai kay jab aap lafaz ko ya us kay Ma’aini-o-Madlool ko achi tarha samjh len, Tu phir ghur karen kay woh kin cheezon par moaquf hai jin kay bagair mumkin nahi ho sakta. Aur yeh qaa’ida aap kay liye tamaam shara’ai nusoos mein mufeed hoga. Chunacah Asma-ul-Husna ki yeh tenon dalalaten hujjat hein kiunkeh woh Ma’asum-o-Muhkam hain. (Tauzeeh-ul-Kafiyah Al Shafiyah Az Shaik Abdul Rahman Nasir Al Saadi رحمہ اللہ, Page: 132)
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.