Search
Sections
< All Topics
Print

17. Sharah: [Al- ‘Azeem]

Sharah: [Al- ‘Azeem]

 

 

✯ Irshaad-e-Baari hai:

 

وَلَا يَـــــُٔـــوْدُهٗ حِفْظُهُمَا  ۚ وَھُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيْمُ

 

“Aur Allah Ta’ala in ki hifaazat say na thakta hai aur na uktata hai, Woh tu bohat buland aur bohat bada hai”

[Al Baqarah:  255]

 

Allah Ta’ala ‘azeem hai, Mojib-e-T’azeem har wasaf-o-Ma’aina usi kay liye hai, Makhluq kamahaquho us ki Hamad-o-Sana nahi kar sakti. Na Allah ki Hamad-o-Sana ka iahaata kar sakti hai. Balkehh woh wesa hai jaisa kay khud us nay apni sana ki hai, Woh bandon ki Hamad-o-Sana say kaheen Buland-o-Bartar hai.

 

Jaan len kay Allah wahid kay liye t’azeem kay saabit ma’aini ki 2 qismen hain:

 

Pehli qisam: Allah Ta’ala kaamal kay har -o-saf say muttasif hai, Aur us kay liye is kamaal ka sab say a’alaa, ‘Azeem tareen aur was’eeh tareen darjah hai, Chunaacha Us kay paas tamaam cheezon ka muheet ‘ilm hai, Naafiz-e-Qudrat hai, Kibriyai aur ‘azmat hai, Aur us ki ‘azmat hi ka hissa hai kay A’asmaan-o-Zameen Rahman ki hatheli mein raai kay daane say bhi chote aur kamtar hain, jaisa kay Abdullah bin ‘Abbas (رضی اللہ عنہا) nay farmaya hai, Aur Allah ‘Azzawajal ka irshaad hai:

 

وَمَا قَدَرُوا اللّٰهَ حَقَّ قَدْرِهٖ ڰ وَالْاَرْضُ جَمِيْعًا قَبْضَتُهٗ يَوْمَ الْقِيٰمَةِ وَالسَّمٰوٰتُ مَطْوِيّٰتٌۢ بِيَمِيْنِهٖ

 

“Aur un logon nay jaisi qadar Allah Ta’ala ki karni chahiye thi, Nahi ki, Saari zameen qayaamat kay din us ki muthii mein hogi aur tamaam aasman us kay daahne haath mein lapetay huwe hongy.

[Al Zumar:  67]

 

✯ Neez irshaad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ يُمْسِكُ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضَ اَنْ تَزُوْلَا ڬ وَلَىِٕنْ زَالَتَآ اِنْ اَمْسَكَـهُمَا مِنْ اَحَدٍ مِّنْۢ بَعْدِهٖ

 

“Yaqeeni baat hai kay Allah Ta’ala aasmanon aur zameen ko thaame huwe hai kay woh tal na jayen aur agr woh tal jayen tu phir Allah kay siwa aur koi in ko thaam bhi nahi sakta”

[Faatir:  41]

 

✯ Neez irshaad hai:

 

وَھُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيْمُ

 

“Woh tu bohat buland aur bohat bada hai”

[ Al Baqarah:  255]

 

✯ Neez irshaad hai:

 

تَكَادُ السَّمٰوٰتُ يَتَفَطَّرْنَ مِنْ فَوْقِهِنَّ

 

“Qareeb hai aasman upar say phaat paren”

[Al Shoora:  5]

 

Isi tarha Nabi Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ki sahih hadees mein hai kay Aap nay farmaya:

 

“ان اللہ یقول: الکبریاء ردائی،والعظمۃ ازاری فمن نازعنی واحدا منھما عذبته”

 

Allah Ta’ala farmaata hai: Badai meri chaadar hai aur ‘azmat mera izaar hai, Jo in donon mein say kisi mein bhi mujh say jhagde ga, Mein usay ‘azab donga.

( Sahi Muslim, Kitab-ul-Birr Wal Silati Wal Aadab, Baab-o-Tahreem-e-Al Takbburi, Hadees: 2620)

 

Khulasah ainkeh Allah Ta’ala kay liye kibriyai aur ‘Azmat-o-Barai jaisi do khubiyaan aisi hain kay donon ka andaza lagaya ja sakta hai na un ki haqeeqat tak rasaai mumkin hai.

 

Dusari qisam: Allah Ta’ala ki ‘azmat kay ma’aini mein say aik ma’aina yeh hai kay jis tarha Allah ki ta’azeem ki jaati hai aur honi chahiye saari makhluq mein wesi ta’azeem ka mustahiq koi nahi. Allah Jal Jalaalahuho is baat ka mustahiq hai kay bande apne dilon, Apni zubaanon, Aur apne A’azaa-o-Jawareh say us ki Ta’azeem-o-Badai karen. Baaen tor kay us ki ma’arifat, Us ki muhabbat, Us kay saamne Zillat-o-Inkasari, Us ki kibriyai kay saamne pasti, Aur us say darne mein puri koshish saraf kar den. Aur apni zubaan ko Allah ki Hamad-o-Sana say tar rakhen aur apne A’azaa-o-Ja-o-raah say us ka Shukar-o-Bandagi bajaa layen.

Isi tarha us ki ta’azeem ka taqaazah yeh hai kay kamahaquho us ka taq-o-h ikhtiyaar kiya jaye, Chunaacha us ki ita’at ki jaye na-farmaani na ki jaye, Usay yaad rakha jaye bhulaya na jaye, Aur Us ka shukar baja laya jaye nashukri na ki jaye.

Isi tarha us ki ta’azeem ka taqaazah yeh bhi hai kay us kay haraam kardah aur mashruh kardah umoor ki’ kha-o-h woh Zaman-o-Makaan ya a’amaal hon ta’azeem ki jaye. Irshaad-e-Baari hai:

 

ذٰلِكَ  ۤ وَمَنْ يُّعَظِّمْ شَعَاۗىِٕرَ اللّٰهِ فَاِنَّهَا مِنْ تَقْوَي الْقُلُوْبِ  32؀

 

“Yeh sun liya ab aur suno! Allah ki nishaaniyon ki ‘Izzat-o-Hurmat kare is kay dil ki parhezgaari ki wajah say yeh hai”

[Al Hajj:  32]

 

✯ Neez irshaad hai:

 

ذٰلِكَ  ۤ وَمَنْ يُّعَظِّمْ حُرُمٰتِ اللّٰهِ فَهُوَ خَيْرٌ لَّهٗ عِنْدَ رَبِّهٖ

 

“Yeh hai aur jo koi Allah ki hurmaton ki ta’azeem kare us kay apne liye us kay Rabb kay paas behtari hai”

[Al Hajj:  30]

 

Neez us ki ta’azeem yeh bhi hai kay Allah nay jo kuch paida kiya hai ya mashru kiya hai un mein say kisi cheez par koi a’itraaz na kiya jaye.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 25, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/71)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents