Search
Sections
< All Topics
Print

19. Sharah [Al Aleem; Al-Khabeer ; Al-Hameed] 

Sharah [Al Aleem; Al-Khabeer ; Al-Hameed] 

 


13: العلیم ( Jan’ney wala)


14:الخبیر ( Khabar rakhney wala)


 

Allah ‘Azzawajal ka irshaad hai:

 

وَهُوَ الْقَاهِرُ فَوْقَ عِبَادِهٖ  ۭ وَهُوَ الْحَكِيْمُ الْخَبِيْرُ   18؀

 

“Aur wohi Allah apne bandon kay upar ghalib hai bartar hai, Aur wahi badi hikmat wala, Aur puri khabar rakhne wala hai”

[Al Anaam:  18]

 

Neez irshaad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيْمٌ 

 

“Beshak Allah Ta’ala har cheez ka janane wala hai” [Al Anfaal:  75]

 

Tu Allah Ta’ala ‘ilm wala hai jis ka ‘ilm har cheez ko muheet hai, Khawah woh wajibaat hon ya na mumkinat, Baharhaal Allah Ta’ala ko apni zaat Kareem, Paak-o-Muqaddas Sifaat aur ‘azeem khubiyon ka ‘ilm hai. Yahi wajibaat hain jin ka wujood hi mumkin hai (‘Adam wujood na-mumkin) isi tarha woh na-mumkin cheezon ko ‘adam imkaan ki halat mein bhi janta hai, Aur yeh bhi janta hai kay agar un ka wujood hota tu kaya hota, Jaisa kay Allah Subhaan-oahu Wa Ta’ala ka irshaad hai:

 

لَوْ كَانَ فِيْهِمَآ اٰلِهَةٌ اِلَّا اللّٰهُ لَفَسَدَتَا 

 

“Agar Asmaan-o-Zameen mein si-o-ye Allah Ta’ala kay aur bhi ma’bud hote tu yeh donon darham barham ho jaate”

[Al Anbiyaa:  22]

 

Neez irshaad hai:

 

مَا اتَّخَذَ اللّٰهُ مِنْ وَّلَدٍ وَّمَا كَانَ مَعَهٗ مِنْ اِلٰهٍ اِذًا لَّذَهَبَ كُلُّ اِلٰهٍۢ بِمَا خَلَقَ وَلَعَلَا بَعْضُهُمْ عَلٰي بَعْضٍ

 

“Na tu Allah Ta’ala nay kisi ko beta banaya, Aur na us kay sath aur koi ma’abud ha, warna har ma’abud apni makhluq ko liye liye phirta aur har aik dusare par chadh dodta” [Al Mominoon:  91]

 

Chunaacha yeh aur in jaisi deegar aayten na-mumkinaat kay ‘ilm say muta’aliq hain jinhen Allah khub jaanta hai aur Allah kay is baare mein khabar dene say muta’aliq hain kay agar bilfarz un ka wujood maan liya jaye tu is surat mein kaya haal hoga. Isi tarha Allah Ta’ala mumkinaat ko bhi jaanta hai ya’ani woh cheezain jin ka wujood aur Adam-e-Wujood donon mumkin hai, Aur jin cheezon ka wujood ho chuka hai aur jin cheezon ka wujood nahi hu-o- hai, Kiunkeh Allah ki hikmat us kay wujood mein laane kay mutqaazi na hui, Algharz Allah Subhaan-oahu -o- Ta’ala woh ‘ilm -o-ala hai jis ka ‘ilm ‘Aalam-e-Baala-o-‘Aalam-e-Safali donon ko muheet hai, Us kay ‘ilm say koi Zaman-o-Makaan khaali nahi. Woh Ghaib-o-Haazir, Zaahir-o-Baatan aur Poshidah-o-A’ilaniya ka janane wala hai. Allah ‘Azzawajal ka irshaad hai:

 

اِنَّ اللّٰهَ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيْمٌ

 

“Beshak Allah Ta’ala har cheez ka janane wala hai” [Al Anfaal:  75]

 

Allah kay ‘ilm kay muheet hone aur us ki mauloomaat ki baareekiyon ki tafseel kay silsale mein itni kasrat say nusus mujood hain kay unka Hisar-o-Shumaar mumkin nahi hai. Yaqeenan Allah Ta’ala say aik zare kay barabar bhi koi sheh poshidah nahi, Na zameen mein aur naa aasman mein. Aur na hi is say choti aur badi koi cheezz aur na hi woh ghafil hota hai na bhulta hai, Neez agar makhluqaat ki -o-s’eeh aur tarha tarha ki mauloomaat ko Allah ki taraf mansoob kiya jaye tu woh pas-murdah aur na-ped ho kar reh jaayen gi. Jaisa kay agar un ki qudraton ko Allah ki qudrat taraf mansoob kiya jaye tu Allah ki qudrat say kisi tarha isy koi nisbat na hogi. Chunaacha Allah he nay unhain in baaton ki ta’aleem di hai, Jo woh nahi jaante thy, Aur usi nay unhain in baaton ki qudrat di hai jo un kay bas mein na thi.

Aur jis tarha Allah ka ‘ilm A’alam-o-Baala-o-Safali, Aur is mein basne wali makhluqaat aur in ki zaat, Sifaat, Afa’aal aur tamaam umoor ko muheet aur shaamil hai, Isi tarha maazi mein jo kuch ho chuka hai, Aur laa-mutanaahi mustaqbil mein jo kuch hoga, Jo nahi huwa agr hota kesa hota, Usay in tamaam baaton ka bhi bakhubi ‘ilm hai. Is tarha woh mukallifeen (jin par shara’ai ahkaam lagu hain) ko paida karne say ly kar, Unhain maut deny kay baad aur phir dubara zindah karne kay baad kay ahwal say bhi waqif aur aagah hai. Us ka ‘ilm un kay tamaam ache bure a’amaal, Un a’amaal ki jaza, Aur daimi thikaane ki jagah (akhirat) mein uski tamaam tar tafseelaat ko gheray huwe hai.

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 37-38, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/73, Wa Tafseer Al Saadi: 5/621)

 

Khulasah kalam ye kay Allah he ki woh zaat hai jis ka ‘ilm tamaam Zaahir-o-Baatan, sar Bastah-o- A’ilaniya isi tarha wajibaat, Mahaal-o-Na-mumkinaat aur mumkinaat, neez A’alim-e-Baala-o-Safli, Maazi, Haal aur mustaqbil sab ko muheet hai. Koi bhi cheez Us say makhafi ya poshidah nahi hai. ( Tafseer Abdul Rahman Al Saadi رحمہ اللہ: 5/621)

 


15: الحمید ( Laiq-e-Tareed, Khobiun wala)


 

Irshaad-e-Baari hai:

 

يٰٓاَيُّهَا النَّاسُ اَنْتُمُ الْفُقَرَاۗءُ اِلَى اللّٰهِ ۚ وَاللّٰهُ هُوَ الْغَنِيُّ الْحَمِيْدُ  15؀

 

“Ay logo! Tum Allah kay muhtaaj ho, Aur Allah be-niyaaz khubiyon wala hai” [Faatir:  15]

 

Imaam Ibn-e-Qayyim رحمہ  الله nay zikar farmaaya hai kay Allah Ta’ala do haisiyaton say khubiyon wala hai:

 

Awwal: Is haisiyat say kay tamaam makhluqaat Allah ki Hamad-o-Sana kay gun gaa rahi hain. Chunaacha har hamad ho asmaanon aur zameen walon mein tamaam Awwaleen-o-Akhaireen ki taraf say waq’e hui hai aur har hamad jo un say Duniya-o-Akhirat mein waq’e hogi. Aur har hamad jo un say waq’e nahi hui balkeh Mafruz-o-Maqaddar hai, Jab tak bhi zamanah ka silsala jaari rahe, Aur auqaat judte rahen aur woh bhi aisi hamad jis say A’alam-e-Baala-o-Safali ka pura wujood labrez ho jaye aur wujood kay misal bhi labrez hojaye jis ka koi Hisar-o-Shumaar na ho, Allah Ta’ala in tamaam Hamad-o-Sana ka bohat saare wujood say mustahiq aur sazawar hai: Jaise yeh kay Allah Ta’ala hi nay unhain piada kiya hai, Unhain Rozi diya hai, Aur usi nay un par Zahari-o-Baatni, Deeni-o-Duniyawi ne’ymaten nichaa-o-r ki hain, Neez un say Masaaib-o-Pareshani ko phera hai. Khulasah ainkeh bandon par jo bhi ne’ymat hai Allah hi ki jaanib say hai, Aur buraaiyaan bhi wohi taalta hai, Lihaza woh is baat ka mustahiq hai kay bande hamawaqat Allah ki tareef karen aur lamha lamha us ki Madah-o-Sana aur shukriya ada karte hain.

Dom: Yeh kay Allah Ta’ala apne Asma-o-Sifaat, Sifaat-e-Aaliya Kamila, Saari Madah-o-Sataish aur tamaam ‘Azeem-o-Jaleel-ul-qadar khubiyon par apni hamad ka mustahiq hai. Kiunkeh us kay paas har sifatt kamaal hai aur har Sifat-o-Khubi nihayat kaamil aur ‘azeem tar hai, Chunaacha Allah Ta’ala apni Sifaat mein say har sifat par kaamil tareen Hamad-o-Sana ka mustahiq hai tu bhala tamaam muqaddas Sifaat ka kya haal hoga. Lihaza Allah ki zaat par uski hamad hai, Uski Sifaat par Uski hamad hai, Us kay af’aal par uski hamad hai, Kiunkeh us kay af’aal Fazal-o-Ahsaan kay af’aal aur Adal-o-Hikmat kay af’aal kay darmiyaan ghumte hain, Jin par woh kamaal hamad ka mustahiq hai, Aur Allah hi kay liye tamaam ta’reefen hain, Uski takhleeq par, Uski shariyat par, Us kay qadari ahkaam par, Us kay shara’ai ahkaam par, Aur Duniya-o-Akhirat mein Jaza-o-Badle kay ahkaam par aur us ki hamad aur Laiq-o-Hamad-o-Sana ausaaf aur khubiyon ki tafseelaat ka Ihaatah-e-Ifkaar aur aqlen nahi kar sakteen, Aur na qalmon say unka shumaar ho sakta hai.  (Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 39-40, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/75, Wa Tauzeeh-ul-Maqasid Wa Tasheeh-ul-Aqaid: 2/215)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

Table of Contents