Search
Sections
< All Topics
Print

36. Sharah [ الفتاح ]

Sharah [ الفتاح ]

 


 

55: الفتاح ( Hakam, Faisala karne wala )

 


 

Irshad-e-Baari Ta’ala hai:

 

قُلْ يَجْمَعُ بَيْـنَنَا رَبُّنَا ثُمَّ يَفْتَـحُ بَيْـنَنَا بِالْحَقِّ ۭ وَهُوَ الْفَتَّاحُ الْعَلِـيْمُ  26؀

 

Inhain khabar de dijiye keh ham sab ko hamara Rab jam’a kar ke phir ham mein sache faisale kar de ga woh faisale chukaane wala hai aur Dana. (Saba: 26)

 

الفاتح Ka maien’e faisala karne wale ke hain, aur ” الْفَتَّاحُ “ mubalagha ka Sigha hai. Aur ” الْفَتَّاحُ “ ka maien’e Mohsin, Sakhi, Faisala karne wala hai. Aur Allah ke fatah (faisala) ki do qismein hain:

 

Pehli qisam: Allah ka apne Deeni hukum ke zariy’a aur jazayi (Badla-o-Saza) hukum ke zariy’a faisala karna.

 

Doosri qisam: Allah ka apne taqdeeri faisala ke zari’ya faisala karna.

 

Allah ka Deeni faisala darasal Rasoolon ki zabani Allah ki mashroo kardah woh tamaam baatein hain jin ki mukallafeen ko haajat hai aur jin ke zari’ya woh Siraat-e-Mustaqeem par gamzan reh satke hain.

 

Aur Allah ka jazayi faisala darasal apne Anbiaa ( علیہم السلام) aur un ke mukhaalifeen aur apne doston aur dushmanon ke darmiyaan Allah ka faisala karna hai y’ani Anbiaa aur un ke Muttabieen ki i’zzat afzai aur unhain nijaat dena aur un ke dushmanon ki toheen aur unhain sazain dena. Isi tarhan qayamat ke din Allah ka makhloqaat ke darmiyaan faisala farmata hai. Jab har ‘amal karne wale ko apne ‘amal ka bharpoor badla diya jaye ga.

 

Raha Allah Ta’ala ka taqdeeri faisala to woh Khair-o-Shar naffa nuqsaan aur dena na dena hai jo Allah Ta’ala apne bandon par muqaddar farmaata hai. Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

مَا يَفْتَحِ اللّٰهُ لِلنَّاسِ مِنْ رَّحْمَةٍ فَلَا مُمْسِكَ لَهَا ۚ وَمَا يُمْسِكْ ۙ فَلَا مُرْسِلَ لَهٗ مِنْۢ بَعْدِهٖ ۭ وَهُوَ الْعَزِيْزُ الْحَكِيْمُ  Ą۝

 

“Allah Ta’ala jo rahmat logon ke liye khol de so us ka koi band karne wala nahi aur jis ko band kar de so is ke baad us ka koi jari karne wala nahi aur wahi ghalib hikmat wala hai.” (Faatir: 2)

 

Lihaza Rab Subhan-o-Wa Ta’ala hi faisala chukane wala aur ‘Ilm wala hai jo apne ita’at guzaar bandon ke liye apne Jood-o-Sakha ke khazane khole ga aur apne dushmanon ke liye is ke bar ‘aks ka faisala farmaaye ga, Aur yeh cheezen mahaz Allah ke fazal aur us ke ‘Adal ka nateeja hon gi ).

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 83, Sarah Al Qaseedah Al Nooniyah Az Harras: 2/107)

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents