43. Sharah [Al-Waasi’ ; Al Kaafi]
Sharah [Al-Waasi’ ; Al Kaafi]
80: بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالْأَرْضِ ( Asmano aur zameen ka anokha, Bilaa namona peda karne wala )
بَدِيْعُ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ ۭوَاِذَا قَضٰٓى اَمْرًا فَاِنَّمَا يَقُوْلُ لَهٗ كُنْ فَيَكُوْنُ ١١٧
“Woh zameen aur Asmano ka ibtidaan peda karne wala hai, Woh jis kaam ko karna chahe keh deta hai keh ho jaa bas woh wahin ho jata hai”. (Al Baqarah: 117)
Y’ani Allah Ta’alaa asmano ka peda karne wala, Aur unhain nihaayat khobsorat, Anokhi banawat aur ajeeb thos nizaam ke sath ibtidaan wujood bakhsne wala hai.
Neez irshad badi hai:
وَهُوَ الَّذِيْ يَبْدَؤُا الْخَــلْقَ ثُمَّ يُعِيْدُهٗ
“Wahi hai jo awwal baar makhlooq ko peda karta hai phir se dobarah peda kare ga.” (Al Room: 27)
Y’ani Allah ne saari makhlooq ko ibtidaan peda kiya hai taakeh inhain aazamaaye keh un mein sab se acha ‘amal karne wala kon hai. Phir inhain dobarah peda kare ga taakeh naikkaaron ko un ki neki ka aur bad’amlon ko bad’amli ka ka badla de.
Isi tarhan Allah Ta’alaa hi rafta rafta makhloqaat ki ijaad shuru karta hai phir inhain har baar dobarah peda karta hai.
Neez irshad baari hai:
اِنَّ رَبَّكَ فَعَّالٌ لِّمَا يُرِيْدُ
“Yaqeenan tera Rab jo kuch chahe kar guzarta hai.” (Hood: 107)
Neez irshad hai:
ذُو الْعَرْشِ الْمَجِيْدُ 15ۙ فَعَّالٌ لِّمَا يُرِيْدُ 16ۭ
“Arsh ka Maalik ‘Azmat wala hai. Jo chahe use kar guzarne wala hai. (Al Burooj: 15-16)
Yeh Allah ki kamaal quwwat aur us ki Mashiyat-o-Qudrat ke yakeeni nifaz ka hissa hai keh Allah Ta’alaa jo kaam bhi karna chahta hai bilaa rukawat daalne aur kisi muarazah karne wale ke kar guzarta hai. Aur kisi bhi anjaam pane wale mu’aamla mein us ka koi Muawin-o-Madadgaar nahi hai,” Balkeh Allah jab kisi cheez ko kehta hai keh: “Ho ja to woh foran ho jati hai. Aur bawajood yekeh Allah jo chahe kar guzarne wala hai us ka iradah us ki Hikmat-o-Hamd ke tab’e hai. Lihaza woh kamaal qudrat aur Nifaz-e-Mashiyat se bhi muttasif hai aur har kiye hue ya karne wale kaam mein shaamil hikmat se bhi muttasif hai.” (Tafseer Allamah Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi: 5/628-629)
82: الكافی ( kaafi honay wala )
Irshad baari Ta’alaa hai:
اَلَيْسَ اللّٰهُ بِكَافٍ عَبْدَهٗ
“kia Allah Ta’alaa apne bande ke liye kaafi nahi ?” (Al Zumar: 36)
Chunancha Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa apne bandon ki tamaam Haajat-o-Zaroriat ke liye kaafi hai, Albatta jo Allah par imaan laaein hain. Us par bharosa kiya hai, Aur apne Deen-o-Duniya ki zaroriat mein us se madad chaha hai un ke liye khusoosi kifaayat ke sath kaafi hai.
82: الواسع ( kushadgi wala )
Irshad baari hai:
وَاللّٰهُ يَعِدُكُمْ مَّغْفِرَةً مِّنْهُ وَفَضْلًا ۭ وَاللّٰهُ وَاسِعٌ عَلِيْمٌ ٢٦٨ڦ
Aur Allah Ta’alaa tum se apni bakhshish aur fazal ka wadah karta hai. Allah Ta’alaa Wus’att wala aur ‘ilm wala hai .”
(Al Baqarah: 268)
Chunancha Allah Ta’alaa ki Sifaat, Khoobiyan aur un ke mutalliqat is qader was’ee hain keh koi Allah Azzawajal ki Hamd-o-Sana ka shumaar nahi kar sakta balkeh woh aisa hai jaise khud us ne apni Sana farmai hai. Neez Allah kushadah ‘Azmat aur Saltanat-o-Badshahat wala hai, Aur was’ee Fazl-o-Ahsan aur bada Jood-o-Sakha wala hai.
REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.