Search
Sections
< All Topics
Print

44. Sharah [Al-Haqq]

Sharah [Al-Haqq]

 


 

83: الحق (Haqq, Sach)

 


 

Allah Azzawajal apni Zaat-o-Sifaat mein haq hai, Chunanacha woh wajib-ul-Wujood hai, Kaamil Sifaat aur khoobiyon wala hai, Us ka wujood us ki zaat ka lazimah hai, Us ke baghair kisi cheez ka koi wujood nahi, Woh hamesha se aur hamesha Hameesh ‘Azmat-o-Buzurgi, Aur Jamal-o-Kamaal ke khoobyon se muttasif hai aur hamesha se hamesha Hameesh Ahsaan-o-Karam se Maroof hai.

Chunancha us ki baat haq hai. Us ka kaam haq hai. Us ki mulaqaat haq hai, Us ke Rasool haq hain. Us ki kitaaben haq hain. Us ka Deen hi haq hai, Us wahdaho Lashrik ki ‘Ibadat haq hai. Aur us se nisbat rakhne wali har cheez haq hai. (Taiseer-ul-Kareem-e-Al Rahman Fi Tafseer Kalam-e-Al Mannan: 5/631-632, Qadre tasarruf ke sath)

 

Allah Azzawajal ka irshad hai:

 

ذٰلِكَ بِاَنَّ اللّٰهَ هُوَ الْحَقُّ وَاَنَّ مَا يَدْعُوْنَ مِنْ دُوْنِهٖ هُوَ الْبَاطِلُ وَاَنَّ اللّٰهَ هُوَ الْعَلِيُّ الْكَبِيْرُ 62؀

 

“Yeh sab is liye keh Allah hi haq hai aur us ke siwa jise bhi yeh pukarte hain woh baatil hai aur beshak Allah hi bulandi wala kibriyai wala hai .” (Al Hajj:   62)

 

Neez irshad hai:

 

وَقُلِ الْحَقُّ مِنْ رَّبِّكُمْ  ۣ فَمَنْ شَاۗءَ فَلْيُؤْمِنْ وَّمَنْ شَاۗءَ فَلْيَكْفُرْ 

 

“Aur ai’laan kar de keh yeh sarasar barhaq Quran tumahre Rab ki taraf se hai. Ab jo chahe Imaan laaye aur jo chahe kufar kare .” (Al Kahaf:  29)

 

Neez irshad hai:

 

فَذٰلِكُمُ اللّٰهُ رَبُّكُمُ الْحَقُّ  ۚ فَمَاذَا بَعْدَ الْحَقِّ اِلَّا الضَّلٰلُ

 

“So yeh hai Allah Ta’alaa jo tumhara Rab haqeeqi hai. Phir haq ke baad aur kaya rah gaya bajuz gumraahi ke.” (Younis: 32)

 

Neez irshad hai:

 

وَقُلْ جَاۗءَ الْحَقُّ وَزَهَقَ الْبَاطِلُ ۭ اِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوْقًا  81؀

 

“Aur ai’laan kar de keh haq aa chuka aur na-haq nabood ho gaya. Yaqeenan baatil tha bhi nabood hone wala.” (Al Israa:  81)

 

Neez irshad hai:

 

يَوْمَىِٕذٍ يُّوَفِّيْهِمُ اللّٰهُ دِيْنَهُمُ الْحَقَّ وَيَعْلَمُوْنَ اَنَّ اللّٰهَ هُوَ الْحَقُّ الْمُبِيْنُ 25؀

 

“Us din Allah Ta’alaa inhain poora poora badla Haq-o-Insaaf ke sath de ga aur woh jaan len ge keh Allah Ta’alaa hi haq hai (aur wahi ) zahir karne wala hai.” (Al Noor: 25)

 

Chunancha Allah ke ‘Azeem Ausaf haq hain. Us ke afaal hi haq hain. Us ki ‘Ibadat hi haq hai. Us ka wadah haq hai. Us ki dhamki aur hisaab saraapaa Adal hai jis mein koi Zulam-o-Ziyadti nahi.

(Taiseer-ul-Kareem-e-Al Rahman Fi Tafseer Kalam-e-Al Mannan: 5/405, Wa Tafseer Ibn-e-Kaseer: 3/277)

 

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

 

Table of Contents