Search
Sections
< All Topics
Print

45. Sharah [Al Jameel]

Sharah [Al Jameel]

 


 

84: الجميل ( Haseen, Khobsorat )

 


 

Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka irshad graami hai:

 

إن الله جميل یحب الجمال

 

“Yaqeenan Allah khoobsorat hai khoubsurti ko pasand karta hai.”

(Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Baab-o-Tahreem-e-Al Kibri Wa Bayanihi, Hadees: 91)

 

Chunancha Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa apni zaat, Apne Asma, Apne Sifaat aur apne afaal mein khoobsorat hai kisi makhlooq ke liye Allah ki zaat ke m’amooli jamaal ki tabeer bhi mumkin nahi jitni keh Ahal-e-Jannat bawajood ke woh aisi daimi nematon aur Lazzat-o-Suroor aur be panah khoshion mein hon ge jis ka andaza nahi kiya ja sakta jab apne Rab Ta’alaa ka deedar karein ge aur us ke jamaal se lutf andoz hon ge to apni naematain bhool jaaein ge, Aur un ki be panah khusihyan Anqa ho jaaein gi aur tamanna karein ge keh kash yahi haalat hamesha baqi rehti aur woh Allah ke Jamaal-o-Noor se kuch Kasab-e-Faiz kar ke apna Husn-o-Jamaal do baala kar lete! Aur un ke dil Allah ke deedar ke liye hamesha Shoq-o-Justojoo mein aur us ke liye lapakte rahein ge, Aur is mazeed “Deedar-e-Ellahi” ke din se is qader Shadan-o-Farhan hon ge jaise un hi dil hi ud jaaein.

 

Isi tarhan Allah Ta’alaa hi apne naamon mein khoobsorat hai, Kiunkeh tamaam hi Asma nihayat umdah aur haseen hein, Balkeh mutlaq tor par sab se umdah aur khoobsorat naam hain. Irshad-e-Baari hai:

 

وَلِلّٰهِ الْاَسْمَاۗءُ الْحُسْنٰى فَادْعُوْهُ بِهَا     ۠ وَذَرُوا الَّذِيْنَ يُلْحِدُوْنَ فِيْٓ اَسْمَاۗىِٕهٖ  ۭ سَيُجْزَوْنَ مَا كَانُوْا يَعْمَلُوْنَ ١٨٠؁

 

“Aur ache ache naam Allah hi ke liye hein so un naamon se Allah hi ko mosoom kya karo.”

(Al Aaraf:  180)

 

Neez irshad hai:

 

هَلْ تَعْلَمُ لَهٗ سَمِيًّا

 

“Kaya taire ‘ilm mein us ka hamnaam ham palla koi aur bhi hai ?”

(Maryam: 65)

 

Chunancha saare Asma Hamd-o-Sana, Buzurgi aur kamaal ki intihaa par dalalat karte hain. Allah ka koi naam Kamaal-o-Ghair kamaal mein taqseem nahi hai.

Isi tarhan Allah Ta’alaa apne Ausaf mein bhi khoobsorat hai. Kiunkeh Allah ke tamaam Ausaf kamaal ke hain. Aur saari khoobiyan Hamd-o-Sana ki hain. Chunancha yeh Ausaf sab se zayada was’ee, ‘aam aur sab se zayada ta’alluq wale hain. Bilkhushoos rahmat, Ahsaan, Karam aur Sakhwat-o-Fayyazi ke Ausaf.

Isi tarhan Allah ke tamaam tar afaal bhi khoobsorat aur haseen hein, Kiunkeh Allah ke afaal ki do hi halatain hain. Woh ya to Ahsaan-o-Karam ke afaal hein jin par Hamd-o-Sana ki jati hai aur us ka shukar bajalaya jata hai. Ya to Adal-o-Insaaf ke afaal hain jin par Allah ki hamd ki jati hai kiunkeh woh hukum ke muwafiq hain Lihaza Allah ke afaal mein koi lagao, Nadani, Fuzool, Aur zulam nahi hai, Balkeh saare afaal saraapaa Khair-o-Bhalai, Hidaayat, Rahmat, Neki aur Adal-o-Insaaf hein, Irshad-e-Baari Ta’alaa hai:

 

اِنَّ رَبِّيْ عَلٰي صِرَاطٍ مُّسْتَقِيْمٍ

 

“Yaqeenan mera Rab bilkul sahih raah par hai.”

(Hood:  56)

 

Chunancha Allah ke kamaal jis par koi Allah ki sana ka shumaar nahi kar sakta ke sabab Allah ke afaal Kaamil-o-Mukammal hue, Aur is ke nateeja mein us ke Ahkaam-o-Faisale sab se umdah aur behtareen thehre aur Allah ki Takhleeq-o-Kaarigari sab se umdah Takhleeq-o-Kaarigari hai Allah Azzawajal ne pukhta aur mazboot kaarigari farmai. Irshad-e-Baari Ta’alaa hai:

 

صُنْعَ اللّٰهِ الَّذِيْٓ اَتْقَنَ كُلَّ شَيْءٍ  ۭ اِنَّهٗ خَبِيْرٌۢ بِمَا تَفْعَلُوْنَ   

 

“Yeh hai Sannat Allah ki jis ne har cheez ko banaya .”

(Al Namal:  88)

 

Aur umdah takhleeq farmai, Irshad-e-Baari hai:

 

الَّذِيْٓ اَحْسَنَ كُلَّ شَيْءٍ خَلَقَهٗ

 

“Jis ne nihayat khoob banai jo cheez bhi banai.” (Al Sajdah: 7)

 

Neez irshad hai:

 

ۭوَمَنْ اَحْسَنُ مِنَ اللّٰهِ حُكْمًا لِّقَوْمٍ يُّوْقِنُوْنَ  

 

“Allah Ta’alaa se behtar faisale aur hukum karne wala kon ho sakta hai ?” (Al Maidah: 50)

 

Saari kaainaat tarhan tarhan ke Husan-o-Jamaal par mushtamil hai, Aur un ka jamaal Allah ke dam se hai, Us ne inhain jamaal se aarasta kiya hai aur Husan-o-Khoubsurti bakhtsha hai Lihaza Allah Husan-o-Jamaal ka un se zayada haqdaar hai kiunkeh jamaal ataa karne wala jamaal ka zayada haqdaar hua karta hai. Chunacha Dunia-o-Akhirat ka har Husan-o-Jamaal posheeda aur zahiri hai. Bilkhushoos woh be payaan Husan-o-Jamaal jo Allah Ta’alaa Jannat ke Mard-o-khawateen ko ataa farmaye ga, Keh agar Hoor-e-Aain ki aik kalai duniya mein zahir ho jaye to woh aftaab ki sofashani ko aise hi maand kar de gi jaise aftaab sitaron ki roshni ko maand kar deta hai bhala kiya jis ne inhain yeh Husn-o-Jamaal bakhsha hai aur un par is Husan-o-Kamaal ka ahsaan farmaya hai, Un se zayada aise jamal ka mustahiq nahi, Jis ke missal koi chez na ho? chunacah yeh aik wazih ‘aqli daleel hai is ‘Azeem masla aur Allah ki deegar Sifaat ke silsila mein jis ke muqadmaat Musllam hein Allah Azzawajal ka Irshad-e-Giraami hai:

 

وَلِلّٰهِ الْمَثَلُ الْاَعْلٰى

 

“Allah ke liye to bohat hi buland sift hai.” (Al Nahal:  60)

 

Lihaza makhlooqat mein jo bhi kamaal maojood hai is mein Nuqs-o-‘Aib lazim nahi aasakta kiunkeh us ka ataa karne wala y’ani Allah Subhan-o-Wa Ta’alaa laine wale ke bil-muqabil is ka zayada mustahiq hai bayen tor ke us mein aur un mein sire se koi nisbat nahi jaise un ki zaaton ko Allah ki zaat se koi nisbat nahi. Aur un ki Sifaat ko Allah ki Sifaat se koi nisbat nahi, Kiunkeh jis zaat ne inhain samaat, Basarat, Zindagi, Ilm, Qudrat aur Husan-o-Jamaal bakhsha hai woh us ka un se zayaada haqdaar hai aur koi Allah ke Jamaal-o-Khoobroi ki tabeer kuynkar kar sakta hai jabke us ke bare mein makhlooq mein sab se zayaada ‘ilm wale ne keh diya hai:

 

لا أحْصی ثناء علیْك أنْت كما أثنیت على نفْسك .

 

“Teri tamaam Hamd-o-Sana karna mere bas mein nahi tu -waisa hai jaisa tu ne khud apni tareef ki hai”.

 

(Sahih Muslim, Kitab-ul-Salata, Baab-o-Maa Yuqaalo Fil Rukoo Wal Sujood, Hadees: 486)

 

حجابه النور لو كشفه لأخرقتْ سبحات وجْهه ما انْتهى إلیْه بصره من خلقه

 

“Us ka hijaab noor hai agar woh use khol de to us ke chehre ki zofshaniyan us ki Muntha-e-Nigah tak ki saari makhloqaat ko jala kar rakh dain gi.”

(Sahih Muslim, Kitab-ul-Imaan, Baab Fi Qaol-e-Al Nabi صلی اللہ علیہ وسلم: ان اللہ لا ینام, Hadees: 179)

 

Lihaza Allah ki zaat un baton se nihaayat pak aur Munazza hai jo us ke kamaal ki nafi karne wale zalim us ke bare mein kehte hain aur un par Allah ke gazab aur khasare ke liye yahi kaafi hai keh woh Allah ki Maarifat tak rasai aur us ki muhabbat se haasil hone wali Farhat-o-Inbisaat se mahroom hain.

(Tauzeeh-e-Al Haqq-e-Al Mubeen Fi Sarah-e-Tuheed-e-Al Anbiyaa Wal Mursaleen Minal Kafiyati Wal Shafiyati Az Abdul Rahman bin Nasir Al Saadi, Page: 29-32, Mamoli tasarruf ke sath)

 

 Hadees-e-Sahih mein Nabi-e-Kareem (صلی اللہ علیہ وسلم) ka Irshad-e-Giraami hai:

 

“لا أحد أصبر على أذى سمعه من اللَّه يَجْعَلُونَ لَهُ الْوَلَدَ، وَهُوَ يُعَافِيهِمْ وَيَرْزُقُهُمْ ..

 

“Koi takleef deh baat sun kar us par Allah se zayada sabar karne wala koi nahi log Allah ke liye aulaad qaraar dete hain. Woh phir bhi inhain aafiat mein rakhta hai aur rozi deta hai.” (Sahih Bukhari, Kitab-ul-Tuheed, Baab-o-Qaolillahe Talaa: ان اللہ ھو الرزاق ذو القوۃ المتین (Al Zariyaat: 58), Hadees: 7378, Wa Sahih Muslim, Kitab-o-Sifat-e-Al Munafiqeen Wa Ahkamihim, Baab-o-Laa Ahadun Asbara Aala Azan Minallahi Azzawajalla, Hadees: 2804)

 

Neez aik doosri hadees mein farmate hain:

 

قال الله تعالى: كَذَّبَنِي ابْنُ ادمَ وَلَمْ يَكُن لَهُ ذَلِكَ، وَشَتَمَنِي ابْنُ ادم وَلَمْ يَكُنْ لَهُ ذلك، فَأَمَّا تَكْذِيبُهُ إِيَّايَ فَقَوْلُهُ: لَنْ يُعِيدَنِي كَما بدأني وليس أوّلُ الخَلْقِ بأهونَ عَليَّ مِنْ إِعَادَتِهُ، وَأَمَّا شَتْمُهُ إِيَّايَ فَقَوْلُهُ: اتَّخذ الله ولدا، وأنا الأحدُ الصمَدُ، لَمْ أَلِدْ وَلَمْ أُولَدَ، وَلَمْ يكن لي كُفْؤا  أَحدٌ

 

Allah Ta’alaa farmata hai: “Aadam ke bacha ne mujhe jhutlaya, Halaanke yeh use zaib nahi deta. Aur us ne mujhe gaali di, Jabke yeh us ke liye rawan nahi. Us ka mujhe jutlana yeh hai keh: “Woh kehta hai keh jaise mein ne use aaghaz mein peda kiya hai dobarah hargiz peda nahi kar sakta. Halanke Aaghaz-e-Takhleeq mere liye dobarah takhleeq se aasaan tha” Aur us ki gaali yeh hai keh: “Woh kehta hai keh Allah ne aulaad banali hai, Halaanke mein akela be niaaz hoon, Jana hoon na jana gaya hoon, Aur na mera koi hamsar aur muqabil hai.

(Sahih Bukhari Kitab-ul-Tafseer, Baab-o-Sorat-e-Ikhlaas, Hadees: 4974)

 

Chunancha Allah Ta’alaa apne bandon par khawah farmanbardar ho ya gunahgaar roziyon ki barkha barsata hai, Jabke gunahgaar hamesha Allah se ladne, Use jhutlane Us ke Rasoolon ko jhutlane aur Us ke Deen ko mitane ke darpe rehte hain lekin Allah Ta’alaa un ke Aqwal-o-Afaal par bada Aleem-o-Burdbar hai, Woh pe dar pe buraiyan karte rehte hain aur woh un par naematain Nichawar karta rehta hai, Aur us ka sabar nihayat kaamil sabar hai, Kiunkeh woh kamaal qudrat, Makhlooq se kamaal be nayazi aur kamaal Rahmat-o-Ahsaan ke bawajood hai, Lihaza bada babarkat hai woh meharbaan Parwar-digaar jis ke misal koi cheez nahi jo sabar karne walon se muhabbat karta hai aur har m’uaamla mein un ki madad farmata hai

(Al Haqq-ul-Wazih-ul-Mubeen: Page: 57-58, Mamoli tasarruf ke sath) .

 

 

REFERENCE:
BOOK: Sharah Asma-o-Husna kitaab-o-Sunnat ki raushni mein.
Taleef : Dr. Sa’id bin Ali bin Wahf Al-Qahtani
Urdu Tarjumah by: Shaikh Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani.

 

 

Table of Contents