Search
Sections
< All Topics
Print

05. Beja Laad-o-pyar.

*Be Ja Laad-o-Payaar*

 

Oolaad say muhabbat rakhna zaroori hai lekin be ja laad-o-payaar inhain bad khalaq aur aawaarah bana deta hai, bachon ki har jaiz-o-najaiz farmaish pori karna, inhain har jagah anay janay ki khuli Choot dena, aur un ki har ghalat baat ko yeh ketay huay bardaasht karna keh abhi tou yeh bacha hai jab bada ho ga to sudhar jaye ga is ka natijah ma’aashray mein ladkon kay inharaaf aur ladkiyon ki maan baap aur islaami iqdaar say baghaawat ki shakal mein saamnay ata hai, waalidain jab bachon ki sarkashi aur tughyaani mehsoos karain tou inhain narmi aur mohobbat say naseehat karen, jab is ka faaida na ho tou in say izhaar-e-naraazgi kay tour par baat cheet na karen jaisa keh Hazraat Sahaaba (ر ضى ا لله عنهم) ki aa’daat mubaarka thi. Hazrat Abdullah Bin Maghfil nay apnay aik qaraabat daar ko kankriyaan phainktay hue daikh kar yeh kehtay hue mana’ kiya:

 

” إنها لا تصيد صيدا ولا تنكأ العدو ، وإنها يفقاً العین ویکسر السن ، “

 

Is say na shikaar maara ja sakta hai na dushman ko qatal kiya ja sakta hai, lakin yeh harkat (kissi bhi rahgeer ki) aankh phod sakti hai aur daant tod sakti hai. Lakin is nay in ki suni un’suni kartay hue yehi harkat dubaara ki to farmaaya:

 

: ( أحدثك أن رسول الله ﷺ نهى عنه ، ثم عدت تخذف ؟ لا أكلمك أبدا ، ) متفق علیہ

 

Main tujh say yeh keh raha hun keh Rasool Ullah (ﷺ) nay is say roka hai aur tu dobaara yehi harkat kar raha hai? Main tujh say kabhi baat nahin karun ga.

 

 

Hazrat Abdullah Bin Umar (رضی اللہ عنہا) nay aik martaba yeh Hadees bayaan ki:

” لا تمنعوا إماء الله عن المساجد،

 

Allah ki londiyon (aurton) ko namaaz kay liye masjid janay say na roko. Aap kay aik farzand nay is ki mukhaalafat ki air mojooda haalaat ka waasta daitay hue kaha keh:

“Allah ki qasam! Hum inhain masjid jaanay say zaroor rokain gay”

Yeh sun kar Hazrat Abdullah Bin Umar (رضی اللہ عنہا) nay zindagi bhar apnay larkay say baat nahin ki.

Jab yeh sazaa bhi kaargar na ho to phir baap ki zimmedaari hai keh wo aulaad ki tarbiyyat kay liye inhain jismaani sazaa day, lakin malhooz rahay keh yeh maar baraaye tarbiyyat ho na keh baraaye maar. Balkeh maarnay say zayaada daraanay kay pehloo par amal kare, islaaf kay muta’lliq aata hai keh wo apnay gharon mein numaayan maqaam par koda latkaaye rakhtay thay taakeh bachon mein kisi be adabi, gustaakhi aur bad’tameezi par girift ka ehsas ho. Baap apnay bachon ko be tahaasha na maaray aur na hi aisi maar keh jis say jisam par nishaan pad jayen aur chehray par na maaray. Bachiyon ki zayaada naaz burdaari, laad o payaar aur makhloot taa’limi idaaron mein in ka daakhila basaa auqaat inhain awaara bana deta hai, mojooda makhloot collage aur universtiyon ka maahol achay say achay gharaanay ki larki kay ikhlaaq o adaat ko tabaah kar kay rakh deta hai. Shaayad issi liye Akbar Alah AaBaadi nay kaha tha:

“Yun qatal say bachon kay wo bad’naam na hota

Afsos keh Fira’un ko collage ki nahin soojhi”

Aur Rasool Akram (ﷺ) ki paishan goi:

 

: ” كيف بكم إذا فسق فتياتكم و طغى نساؤكم ؟ ، ( ترندی : کتاب الفتن )

 

Tarjuma:

Tumhaara kya haal ho ga jab tumhaari ladkiyaan mubtalaa-e-fisaq hon aur tumhaari aurtain baaghi aur sarkish (ya’ani jab keh tumhaary ghar kay andar ki zindagi bhi kharaab ho jaye aur aurtain tak mubtalaa-e-fisaq o fujoor hon).

Aj harf ba’harf poori ho rahi hai.

 

 

REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”

 

 

Table of Contents