06. Aik Waqiya.
*Aik Larki Kay Inharaaf Ka I’brat Aamoz Waaqiyah*
Molaana Mukhtaar Ahmad Sahib Nadwi, apnay mujallah “Albalaagh” Bumbai, kay kaalim “Behtay Ansoo”
Mein issi tarhan ki aik sarkish ladki ki daastaan tahreer farmaye hai, jo saaray waalidain kay liye baa’is-e-i’brat hai. Tahreer farmaatain hain:
“Ye aik college girl ki dardnaak daastaan hai, jis nay saaray khaandaan ko tabaah kar kay rakh diya, ye apnay waalidain ki ikloti ladki thi, achay rang-o-roop aur naak naqshay ki maalik thi, waalidan kay laad-o-payaar nay issay had say zayaada azaad aur aawaarah bana diya tha, college kay be-raah ro ladkon ki ye manzoor-e-nazar thi, college kay tamaam tafreehi aur social taqreebaat mein ye kaleedi kirdaar ki maalik thi.
Musalsal imtahaanaat mein fail honay ki bina par ye college say nikalnay par majboor hui to waalidain nay issay ghar par rehnay ki taakeed ki aur aur aawaarah gardi chodnay kay liye sakhti kiya to is nay khudkooshi ki dhamki day di aur saaf kah diya keh agar meri zaati zindagi mein dakhal diya gaya to main khudkooshi kar loon gin aur is tarhan saaray khaandaan ko tabaah kar kay rakh dun gin. Jaisay jaisay waalidain nay sakhti ki haalaat bigadtay gaye aur ab is kay saathiyon kay dhamki aamaiz phone ghar par aanay lagay, ab ladki kaye kaye din ghar say ghaaib rehnay lagi aur ab issay nashay ki bhi aa’dat pad chuki thi, achaanak ghar say qeemti cheezain ghaaib honay lagin, majbooran issay aik kamray tak rehnay par majboor kar diya gaya jis ka natijah ye hua keh ladki nay apnay doston kay zari’ye budhay waalidain ko nikaal kar ghar par qabzah karnay ki koshish shuru ki, waalidain nay police say apni hifaazat kay liye madad talab ki, police abhi ladki aur waalidain kay darmayaan beech bachao ki tadbeer soch hi rahi thi keh raat ko ladki nay apnay doston ko lay kar raaton raat ghar par qabzah kar liya. Waalidain apni ikloti ladki ko
Qanoon kay hawaalay karnay ki himmat nahin kar saktay thay kiyunkay wohi inki zindagi ki aakhari nishaani thi, bilaakhir inhon nay ladki say minnat samaajat kar kay ghar kay aik konay mein panaah leinay ki faryaad ki lekin ladki nay is shart par inhain rehnay ki ijaazat di keh poora ghar is kay naam muntaqil kar diya jaye aur wo mehmaan ki tarhan apni zindagi kay baqiyah din yahaan chup chaap guzaarain, marta kaya na karta inhon nay saari jaaidaad ladki kay naam muntaqil kar diya aur behtay aansuyon kay saath laawaaris budhon kay liye banaaye gaye hakoomat kay “Old House” mein ja kar panaah li. (Maahnaamah Albalaagh: Shumarah January 2001)
REFERENCE:
Book: Aulaad ki islami Tarbiyat
Taaleef: “Muhammad Anwar Muhammad Qasim Al Salfi”