Search
Sections
< All Topics
Print

(17) KUTTAY KY ILAWAH DEEGAR JANWARON KAY LU’AAB KA HUKAM

(17) KUTTAY KY ILAWAH DEEGAR JANWARON KAY LU’AAB KA HUKAM:

 

Tamam haiwanaat yaani Ghauda, Khachar, Gadha, Darinday makool-ul-laham hon ya ghair makool-ul-laham in sub ka lu’aab paak hai.

( Shafi’eiyah, Hanabilah ) Yeh hi mo’aqqaf rakhtay hain.(1)

 

In kay dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Sayyiduna Amar Ibn-e-Kharijah ( رضي الله عنه  ) say marwi hai keh Allah kay Rasool ﷺ nay sawaari par maqam-e-(…) mein hamain khitab farmaya,

” ولعابها يسيل على كتفي”

” Aur us untini ka lu’aab-e-dahan meray kandhay par bah raha tha.(2)

( Ameer San’aani ( رحمه الله ) Yeh hadith is baat ka suboot hai keh makool-ul-laham janwaron ka lu’aab paak hai.(3)

 

(2) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Allah kay Rasool ﷺ say un hauzon kay muta’allaq sawal kiya gaya jo makah aur madinah kay darmiyan thay, Aur Kuttay aur Darinday un par warid huwa kartay thay, To ap ﷺ nay farmaya:

” لها ما أخذت في بطونها و لنا ما بقي شراب و طهور “

” Un kay liye hai jo unhon nay apnay paiton mein dakhil kar liya, Aur jo baqi rah gaya woh hamaray liye pinay ki cheez aur paak karnay wala hai “ (4)

 

(3) Aik riwayaat mein hai keh sahabah nay Allah kay Rasool ﷺ say dariyafat kiya keh kiya hum aisay pani say wuzoo karain jisay gadhon nay ( iste’imaal kay baad ) baqi chhauda ho ?

To ap ﷺ nay farmaya:

” نعم، وبما أفضلت السباع كلها “

” Han, Aur aisay pani kay sath bhi wuzoo dorust hai jisay tamam darindon nay baaqi  chhauda ho.(5)

 

In ahadith mein wazaahat hai keh darindon ( jo keh ghair makool-ul-laham hai ) nay jis paani ( mein munh daal kar usko ) baaqi chhaud diya ho woh paak hai.(6)



(1) Al-majmoo 1 / 227.

Al-mughni 1 / 46.

Mughni-ul-mohtaj 1 / 83

Kashaaf-ul-qanaa 1 / 221

Fiqah-us-sunnah 1 / 16.


(2) SAHIH:

Sahih Tirmazi hadith no: 1722,

Kitab-ul-wasayah, Baab maa jaa la wasiyata li-warisin.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 2120.

Sunan-e-Nasaayi hadith no: 3582.

Musnad-e-Ahmad 4 / 186.


(3) Subul-us-salam 1 / 63


(4) Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 31.


(5) Maarifat-us-sunan wa-al-asaar 1 / 313, 368.


(6) Nail-ul-Autaar 1 / 79.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents