(22) JO NAMAZI LA ILAMI KI WAJAH SAY NAJAASAT LAGAY KAPDON MEIN NAMAZ PADH LAY ?:
(22) JO NAMAZI LA ILAMI KI WAJAH SAY NAJAASAT LAGAY KAPDON MEIN NAMAZ PADH LAY ?
Aisay aadimi ko chahiye keh najaasat ka ilam honay par usay dho lay.
Us par namaz dohrana zaruri nahi,
Jaisa keh Sayyiduna Abu Saeed Khudr ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh aik din Rasoolullah ﷺ nay apnay sahabah ko namaz padhatay huway achanak apnay jootay bayin janib utaar diye ,
Logon nay jab yeh dekha to unhon nay bhi apnay jootay utaar diye,
Rasoolullah ﷺ nay namaz mukammal kar li to farmaya ” tumhain apnay jootay utaarnay par kis cheez nay ubhara ?
Unhon nay araz kiya keh hum nay apko dekha keh ap nay apnay jootay utaar diye hain to hum nay bhi utaar diye.
Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إن جبرئيل عليه السلام أتاني فأخبرني أن فيهما قذرا “
” Jibreel ( عليه السلام ) nay aa kar mujhay khabar di keh in jooton mein gandagi hai “
Ap ﷺ nay mazeed farmaya keh:
” Jab tum mein say koi masjid ki taraf aaye to usay chahiye keh wo apnay jootay dekhay, Agar un mein gandagi paaye to unhain zameen par ragday aur phir un mein namaz padh lay “.(2)
Is hadith say maloom huwa keh Rasoolullah ﷺ nay la ilami mein gandagi kay sath jitni namaz padhi usay dohraya nahi, Lihazah aisa karna bhi zaruri nahi hai.
(2) SAHIH: Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 284. Sunan-e-Abi Daud hadith no 65. Musnad-e-Ahmad 3 / 20. Musnad-e-Abi Daud Al-tayaalasi hadith no: 360. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 2 / 417. Sunan-e-Daarimi 1 / 320. Musnad-e-Abi Yaala hadith no: 1194. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 1017. Mustadrak-e-Hakim 1 / 260. Sunan-ul-kubra lil-baihaqui 2 / 431. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.