(22D). JIS CHEEZ KO DHONA MUMKIN NA HO (MASALAN: ZAMEEN AUR KANWAN WAGHAIRAH
JIS CHEEZ KO DHONA MUMKIN NA HO ( MASALAN: ZAMEEN AUR KANWAN WAGHAIRAH
[[[[ وَمَا لَايُمۡكِنُ غَسۡلُهُ فَبِالصَّبِّ عَلَيۡهِ أَوِالنَّزۡحِ مِنۡهُ حَتّٰی لَا يَبۡقٰی لِلنَّجَاسَةِ أَثَرٌ ]]]]
( Aur jis cheez ko dhona mumkin na ho ( masalan: zameen aur kanwan waghairah ) us par itna paani baha diya jaye ya us say itna paani nikaal liya jaye keh najaasat ka asar baaqi na rahay ( to woh paak ho jaye gi ).{1}
{1} Zameen ko paak karnay kay 2 tariqay hain:
(1) Us par paani baha diya jaye.
( Imam Shafi’e, Imam Ahmad, Imam Malik aur Imam Zofar ( رحمهم الله )
Issi kay qaail hain.
In ki daleel Sayyiduna Anas ( رضي الله عنه ) say marwi hadith hai keh aik dehati nay masjid kay aik kaunay mein pishaab kar diya to Rasoolullah ﷺ nay us par paani ka aik daul bahanay ka hukam diya.(1)
( Imam Shaukani ( رحمه الله )
Yeh hadith is baat ka suboot hai keh paani bahanay say zameen paak ho jati hai,
Usay khaudna zaruri nahi.(2)
( Ahnaaf )
Yeh amal sakhat zameen kay sath khaas hai, Agar naram zameen ho to pishaab ki jagah say Matti khaud kar us par paani bahana wajib hai.
In kay dalaail za’eef riwayaat par mabni hain, Jaisa keh aik riwaayat mein hai:
” إحفروا مكانه ثم صبوا عليه “
” Us ki jagah ko khaud kar us par paani baha do “
Yeh riwaayat za’eef hai.(3)
Issi tarah aik aur riwaayat mein hai:
” فأمر رسول الله ﷺ بمكانه فاحتفر و صب عليه دلو من ماء “
Lekin yeh riwaayat bhi za’eef hai, Jaisa keh Imam Daaro Qutani ( رحمه الله ) nay bayan kiya hai keh is ki sanad mein “Sam’aan Raawi” maj’hool hai.(4)
Maloom huwa keh ahnaaf kay dalaail kamzaur honay ki bina par un ka mo’aqqaf dorust nahi.(5)
(2) Zameen sooraj ya hawa ki wajah say khushak ho jaye, Yahan tak keh najaasat ka asar bhi zaail ho jaye to paak ho jati hai,
( Abu Hanifah, Abu Yousuf, Imam Muhammad ( رحمهم الله ) issi kay qaail hain.(6)
In ki daleel yeh hadith hai:
Sayyiduna Ibn-e-Omar ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh main Rasoolullah ﷺ kay zamanay mein masjid mein raat guzaarta tha,
” وكانت الكلاب تبول و تقبل و تدبر في المسجد فلم يكونوا يرشون شيئا من ذلك “
” Kutay masjid mein pishaab kartay aur aatay jatay thay, Lekin woh us wajah say kuch chintay nahi masrtay thay ( yaani pishaab ki jagah ko paak karnay kay liye paani nahi bahatay thay ).(7)
( Ibn-e-Hajar ( رحمه الله ) Farmatay hain keh Imam Abu Daud ( رحمه الله ) nay hadith kay in alfaaz ( فلم يكونوا يرشون ) say istedlaal kiya hai keh najaasat lagi zameen khushak honay say paak ho jati hai, Kiyonkeh agar zameen khushak honay say paak na hoti to woh log usay aisay hi na chhaudty.(8)
( Shams-ul-haque Azeem-abadi ( رحمه الله )
Yeh istedlaal bil’kul waazih hai.(9)
( Abdul Rahman Mubarakpori ( رحمه الله )
Is hadith say Imam Abu Daud ( رحمه الله ) ka yeh istedlaal keh ” zameen khushak honay say paak ho jati hai ” sahih hai aur mujhay is mein koi khadsha nahi hai.(10)
( RAAJIH )
Ziyadah sahih tariqah woh hi hai jis ka Rasoolullah ﷺ nay hukam diya hai aur woh paani bahana hai, Lekin agar paani na bahaya ja sakay aur zameen khushak ho jaye to hum yeh nahi kah saktay keh zameen napaak hai, Balakeh paak hai Jaisa keh Sayyiduna Ibn-e-Omar ( رضي الله عنه ) say marwi riwaayat say yeh mas’alah saabit hai,
Aur Imam Abu Daud, Shams-ul-haque Azeem-abadi aur Abdul Rahman Mubarakpori ( رحمهم الله ) kay qaul say is mo’aqqaf ki mazeed tayeed hoti hai. Wallaho Aalam.
Agar kanwain mein najaasat gir jaye to guzishtah bayan kardah musallam usool us ka faisal hoga, Yaani ausaaf-e-salasah mein koi tabdeel ho jaye to paani najas hai warna paak hai, Jaisa keh is usool par ijmaa ho chuka hai.(11)
Is liye agar najaasat girnay ki wajah say kanwain ka paani mutaghayyar ho jaye to usay paak karnay kay liye us waqat tak paani nikala jaye ga jab tak keh taghayyur khatam na ho jaye, Kiyonkeh paani kay najas honay ka sabab yeh hi hai,
Yahan yeh yaad rahay keh asal maqsood paani mein waaqie taghayyur ka zaail hona hai, Woh kam paani nikaalnay say ho ya ziyadah nikaalnay say, Ya baghair nikaalay hi zaail ho jaye to paani paak hai,
Aur kanwain ka paani kam ya ziyadah honay mein bhi koi faraq nahi hai,
Lihaza jab taghayyur zaail ho jaye to paani paak ho jaye ga.(12)
Is ziman mein koi had muta’ayyan karna masalan:
(( Agar kanwain mein chidya ya chuhiyah gir kar mar jaye to usay nikaalnay kay baad paani paak karnay kay liye mazeed 20 daul paani nikala jaye ga,
Agar murghi ya Billi gir kar mar jaye to usay nikaalnay kay baad paani say 40 daul nikaalay jayen gay…
…Agar bakri kanwain mein gir kar mar jaye aur marnay kay baad usay nikala jaye ya us waqat nikala jaye jab keh woh paani mein phool gayi ya phat gayi ho, Ya choohay, chidya, Billi ya murghi ko phool janay ya phat janay kay baad nikala jaye to saara paani nikaalnay say kanwan paak hoga,
Aur kanwain ka saara paani nikaalnay ki had Imam Abu Hanifah aur Qazi Abu Yousuf ( رحمهما الله ) kay nazdeek yeh hai keh paani ka aksar hissa nikaal liya jaye, Aur Imam Muhammad Ibn-e-Hasan ( رحمه الله ) kay nazdeek 200 daul hai.
Agar billa, chooha, ya chipkali kanwain mein gir jaye aur usay zindah nikaal liya jaye to paani paak hai.
Agar kuta ya gadha gir jaye aur usay zindah nikaal liya jaye to saara paani nikaalna zaruri hai.
Aur agar bakri kanwain mein pishaab kar day to bhi saara paani nikaalna zaruri hai khawah pishaab kam ho ya ziyadah )) mahaz qiyaas-o-aaraa hain jin ka sharayi ilam say koi ta’alluq nahi.(13)
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 221, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 284. Musnad-e-Ahmad 3 / 110. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 148. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 528. Sunan-e-Nasaayi 1 / 1765. Sunan-e-Daarimi 1 / 189. Musnad-e-Abi Awanah 1 / 213. Musnad-e-Humaidi hadith no: 1196.
(2) Nail-ul-autaar 1 / 88. (3) ZA’EEF: Nasb-ur-raayah 1 / 212. Al-ilal-ul-mutanaahiyah 1 / 333. Al-badr-ul-muneer 2 / 294. (4) Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 31. Sharah Ma’aani-ul-asaar 1 / 14. Musnad-e-Abi Yaala 6 / 310. (5) Tafseel kay liye mulahazah ho: Nail-ul-autaar 1 / 88. Sharah Muslim lin-nawawi 2 / 194. Al-ummo lis-shafi’e 1 / 118. Al-mughni 2 / 499. Aun-ul-maabood 2 / 43. Fat’h-ul-baari 1 / 247. (6) Al-fat’h-ul-qadeer 1 / 172. Sharah-ul-mohazzab, page no: 616. Al-ummo 1 / 119. (7) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 368, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 382. Sahih-ul-Bukhari ( taaliqan ) hadith no: 174. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 300. Sharah-us-sunnah 2 / 82. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 243. (8) Fat’h-ul-baari 1 / 279. (9) Aun-ul-maabood 1 / 43. (10) Tohfat-ul-ahwazi 1 / 462. (11) Al-ijmaa li-ibn-e-munzir page no: 33. Al-majmoo’u lin-nawawi 1 / 110. Al-mughni li-ibn-e-qudamah 1 / 53. (12) Al-sail-ul-jaraar 1 / 51. (13) Al-mohalla bil’asaar 1 / 147, 150. Al-sail-ul-jaraar 1 / 51. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.