(0D). AUR AISAI JAGAHON MEIN QAZA-E-HAAJAT KARNAY SAY IJTENAAB KARAY
AUR AISAI JAGAHON MEIN QAZA-E-HAAJAT KARNAY SAY IJTENAAB KARAY
[[[[ وَتَجۡتَنِبُ الۡأَمۡكِنَةَ الَّتِيۡ مَنَعَ عَنِ التَّخَلِّيۡ فِيۡهَا شَرۡعٌ أَوۡ عُرۡفٌ ]]]]
( Aur aisai jagahon mein qaza-e-haajat karnay say ijtenaab karay jin say shari’at nay mana kiya hai ya aam log jahan qaza-e-haajat kay liye bethnay ko bura samajhtay hain.{1}
{1}=(1) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إتقواللاعنين الذي يتخلي في طريق الناس أو في ظلهم “
” 2 laanat ka sabab ban’nay wali jagahon say ijtenaab karo:
Aik logon kay raasatay mein, Dusra un kay ( bethnay aur araam karnay ) saaya daar jagah mein qaza-e-haajat karnay say.(2)
(2) Sayyiduna Ma’aaz ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إتقوالملاعن الثلاثة ألبراز في الموارد، و قارعة الطريق، والظل “
” Laanat kay 3 asbab say ijtenaab karo, Ghaaton par, Shahrah-e-aam par, Aur saaye kay nichay qaza-e-haajat karnay say “(3)
(1) Sahih-ul-Muslim hadith no: 229, Kitab-ut-tahaarah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 25. Musnad-Abi Awanah 1 / 194. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 67. Sahih Ibn-e-Hibban hadith no: 1415. Mustadrak Hakim 1 / 185. Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 97. Musnad-e-Ahmad 2 / 372. (2) HASAN: Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 62. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 26, Kitab-ut-tahaarah. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 328. Mustadrak Hakim 1 / 167. Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 98. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.