Search
Sections
< All Topics
Print

(35A). (Dua); PANAH MANGNA AUR FARAGHAT KAY BAAD ISTEGHFAAR-O-HAMD KARNA MUSTAHAB HAI

QAZA-E-HAAJAT KI IBTEDA MEIN PANAH MANGNA {1}
AUR FARAGHAT KAY BAAD ISTEGHFAAR-O-HAMD KARNA MUSTAHAB HAI

 


[[[[ وَتَنۡدُبُ الۡإِسۡتِعَاذَةُ عِنۡدَالشُّرُوۡعِ وَالۡإِسۡتِغۡفَارُ وَالۡحَمۡدُ بَعۡدَالۡفَرَاغِ ]]]]


( Qaza-e-haajat ki ibteda mein panah mangna {1} aur faraghat kay baad Isteghfaar-o-Hamd karna mustahab hai {2})

 

 

{1}=Sayyiduna Anas ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ jab bait-ul-khala mein dakhil hotay to yeh Dua padhtay:

” اَللّٰهُمَّ إِنِّيۡ أَعُوۡذُبِكَ مِنَ الۡخُبُثِ وَالۡخَبَاعِثِ “

” Aye Allah: Main khabees jinnon aur khabees chudailon say teri panah mein ata hon “(1)

 

Sunan-e-Saeed Ibn-e-Mansoor aik riwaayat mein is Dua ki ibteda mein ” بسم اللّٰہ ” bhi hai.

Hafiz Ibn-e-Hajar ( رحمه الله ) nay us ki sanad ko Muslim ki shart par kaha hai, Jabkeh Shaikh Albani ( رحمه الله  ) nay usay shaaz qaraar diya hai.(2)

 

Agar is Dua kay sath بسم الله kay alfaaz saabit na bhi hon, Lekin aik doosri sahih hadith mein mutlaqan بسم الله kahnay ka suboot milta hai. Jaisa keh:

Sayyiduna Ali ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:

” Bait-ul-khala mein dakhil hotay waqat agar koi بسم الله padh lay to jinnon ki ankhon aur Ibn-e-Adam ki auladon kay sataron kay darmiyan pardah haail ho jata hai.(3)

 

{2}=Sayyidah Ayesha ( رضي الله عنها ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ jab bait-ul-khala say kharij hotay to kahtay:

” غفرانك “

” Aye Allah ! Teri bakhshish matloob hai “(4).

Jis riwaayat mein hai keh Rasoolullah ﷺ bait-ul-khala say nikaltay waqat yeh Dua padhtay thay:

” الحمد لله الذي أذهب عني الأذى و عافاني “

woh za’eef hai. (5)

 

(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 142,

Kitab-us-salaah.

Al-adab-ul-mufrad hadith no: 692.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 375.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 4.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 20.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 5, 6.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 298.

Sunan-e-Daarimi 1 / 171.

Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 1.

Musnad-Abi Yaala hadith no: 3902.

Sahih Ibn-e-Hibban hadith no: 1404.

Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 95.


(2) Fat’h-ul-baari 1 / 244.

Tamam-ul-minnah page no: 57.


(3) SAHIH:

Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 50.

Tamam-ul-minnah page no: 58.

Sahih-ul-jami-us-sagheer hadith no: 3611.



(4) SAHIH:

Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 52.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 30,

Kitab-ut-tahaarah.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 7.

Sunan-e-Nasaayi 6 / 24.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 300.

Musnad-e-Ahmad 2 / 155.

Sunan-e-Daarimi 1 / 174.

Al-adab-ul-mufrad hadith no: 693.

Sahih Ibn-e-Khuzaimah 1 / 48.

Mustadrak Hakim 1 / 158.

Al-muntaqa Ibn-ul-Jarood hadith no: 42.

Sunan-ul-kubra Baihaqui 1 / 97.

Imam Nawawi nay isay sahih kaha hai:

Al-majmoo’u 2 / 90.

Al-azkaar page no: 56.


(5) ZA’EEF:

Irwaa-ul-ghaleel hadith no: 53.

Takhreej-ul-azkaar 1 / 217.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 301,

Kitab-ut-tahaarah.

Nataaij-ul-azkaar 1 / 219.

Hafiz Bauseeri nay isay za’eef kaha hai:

Al-zawaaid 1 / 129.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

Table of Contents