Search
Sections
< All Topics
Print

(35) PAANI AUR PATHAR DONON SAY ISTINJAA KARNA

(35) PAANI AUR PATHAR DONON SAY ISTINJAA KARNA

 

Is ziman mein koi hadith sahih nahi hai,  Albattah koi mazeed tahaarat kay liye dhailon kay baad paani iste’imaal karay to is mein koi haraj nahi.

Sayyiduna Ibn-e-Abbas ( رضي الله عنهما ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay Ahl-e-Qubaa say sawal kiya keh Allah ta’ala nay tumhari pakeezgi kay baaray mein badi taareef farmayi hai is ki kiya wajah hai ?

To unhon nay jawab diya keh:

” إنا نتبع الحجارة الماء “

” Hum dhailon kay baad mazeed tahaarat ki gharaz say paani ka iste’imaal kartay hain “(1).

 

Imam Haisami ( رحمه الله )  bayan kartay hain keh is mein Muhammad Ibn-e-Abdul Azeez Ibn-e-Omar Zuhri Raawi ko Imam Bukhari aur Imam Nasayi ( رحمهما الله ) nay za’eef kaha hai.

 

( Allamah Albani ( رحمه الله )

Unhon nay is hadith kay za’eef honay ki bina par is amal ko ikhtiyaar karnay par ” Deen mein Ghuluwwo ” ka andaishah zahir kiya hai.(2)

 

( Allamah Aini ( رحمه الله )

Raqam-e-taraz hain keh jam’hoor salaf-o-khalaf ka mazhab aur ahl-e-fatwa ka jis par ijmaa hai woh yeh hi hai keh paani aur patharon ko jama karna afzal hai,

Lihazah patharon ko pahlay aur phir paani ko iste’imaal kiya jaye.(3)

 

(1) ZA’EEF:

Tamam-ul-minnah page no: 65.

Musnad-ul-Bazzaar  1 / 130.

Majma-uz-zawaaid 1 / 215.


(2) Tamam-ul-minnah page no: 65.


(3) Umdat-ul-Qari 2 / 276.

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

Table of Contents