(34) PAANI KI MAUJOODGI MEIN PATHARON SAY ISTINJAA
(34) PAANI KI MAUJOODGI MEIN PATHARON SAY ISTINJAA
Is mas’alay mein ulama ka ikhtelaaf hai.
( Shafi’eiyah, Hanafiyah )
Paani kay sath istinjaa karna wajib nahi hai balakeh patharon say bhi kifaayat kar jata hai, Jaisa keh aik hadith mein hai keh:
” فإنها تجزي عنه “
” Yaani 3 pathar us say kifaayat kar jayen gay “(1).
Sayyiduna Saad Ibn-e-Abi Waqqas, Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Zubair, ( رضي الله عنهما ) Saeed Ibn-e-Musayyab aur Imam Ataa ( رحمهما الله ) ka bhi yeh hi mo’aqqaf hai.
( Hasan Basri, Ibn-e-Abi Laila ( رحمهما الله )
Agar namaz bhi ada karni hai to phir kifaayat nahi karen gay balakeh paani iste’imaal karna wajib-o-muta’ayyan hai.
In ki daleel yeh aayat hai:
” فَلَمۡ تَجِدُواْ مَآءٗ فَتَيَمَّمُواْ “
Surah An-nisaa, Ayah 43.(2)
Is ka jawab youn diya gaya hai:
(1) Yeh aayat wuzoo kay muta’allaq hai istinjaa kay muta’allaq nahi hai.
(2) Nabi ﷺ kay mujarrad fail say wujoob saabit nahi hota, Agar aisa hai to phir unhain pathar iste’imaal karnay ka wujoob bhi tasleem karna paday ga, Kiyonkeh woh bhi ap ﷺ kay fail say saabit hai.(3)
( RAAJIH )
Mazhab-e-Shafi’eiyah ahadith kay ziyadah qareeb hai.(4)
(1) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 31. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 40.
(2) Al-majmoo’u 2 / 111. Badaayi-us-sanaayi’o 1 / 79. Al-Asal 1 / 61. Fat’h-ul-qadeer 1 / 177. Hashiyat-ud-dusooqui 1 / 109. Al-ummo 1 / 19.
(3) Nail-ul-autaar 1 / 165.
(4) Nail-ul-autaar 1 / 165. Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 112. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.