(0C). KULLI KARAY AUR NAAK MEIN PAANI CHADHAYE
KULLI KARAY AUR NAAK MEIN PAANI CHADHAYE
[[[[ وَ يَتَمَضۡمَضُ وَ يَسۡتَنۡشِقُ ]]]]
( Kulli karay aur naak mein paani chadhaye {1})
{1}= LUGHAWI WAZAHAT: (1)
” مضمضه ” Munh mein paani ko harkat dena
” إستنشاق “ Naak mein paani dakhil karna
” إستنثار ” Naak say paani kharij karna
“Mazmazah” aur “Istinshaaq” kay wujoob mein agarcheh ikhtelaaf hai, Lekin Raajih wujoob hi hai aur us kay dalaail hasb-e-zail hain:
(1) فَاغۡسِلُوۡا وُجُوۡهَكُمۡ ۞
” ( Dauran-e-wuzoo ) Apnay chahron ko dho lo “
[ Al-Maaidah, Ayah no: 6 ].
Chahray mein Mazmazah aur Istinshaaq ki jagah bhi shamil hai, Jaisa keh Allamah Albani ( رحمه الله ) nay yeh wazahat farmayi hai.(2)
(2) Rasoolullah ﷺ say issi par “Mudaawamat” ( Hamaishgi ) saabit hai.
(3) Sayyiduna Laqeet Ibn-e-Saburah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إذا توضأت فمضمض “
” Jab tum wuzoo karo to kulli karo “.(3)
(4) Sayyiduna Laqeet Ibn-e-Saburah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” بالغ في الإستنشاق إلا أن تكون صائما “
” Naak mein paani chadhanay mein mubalighah karo, Magar yeh keh tum rauzahdaar ho “.(4)
(5) Sayyiduna Abu Hurairah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay farmaya:
” إذا توضأ أحدكم فليجعل في أنفه ماء ثم لينتثر “
” Tum mein say jab koi wuzoo karay to apnay naam mein paani dakhil karay phir usay jhaaday “.(5)
( Imam Ahmad, Imam Is’haque Rahaway ( رحمهم الله )
Mazmazah aur Istinshaaq donon wajib hain.(6)
( Imam Shaukani ( رحمه الله )
Wujoob ka qaul hi barhaq hai.(7)
( Allamah Albani ( رحمه الله )
Yeh hi baat Raajih hai.(8)
( Nawab Siddique Hasan Khan ( رحمه الله )
Yeh bhi wujoob kay qaail hain.(9)
Imam Abu Saur, Imam Abu Ubaid, Imam Daud Zaahiri, Imam Abu Bakar Ibn-e-Munzir aur Imam Ahmad ( رحمهم الله ) say aik riwaayat kay mutabiq ghusal aur wuzoo mein naak mein paani dakhil karna wajib hai, Jabkeh kulli karna sunnat hai.(10)
( Imam Abu Hanifah, Imam Malik, Imam Shafie ( رحمهم الله )
Mazmazah aur Istinshaaq donon wajib nahi hain, ( Albattah Imam Abu Hanifah ( رحمه الله ) kay nazdeek ghusal-e-janabat mein farz hain ),
Imam Auzayi, Imam Lais, Imam Hasan Basari, Imam Zohri, Imam Rabi’ah, Imam Yahya Ibn-e-Saeed, Imam Qatadah, Imam Hakam Ibn-e-Utbah, Imam Muhammad Ibn-e-Jareer Al-tabri ( رحمهم الله ) bhi issi kay qaail hain.(11)
In kay dalaail hasb-e-zail hain:
(1) Hadith-e-nabawi hai keh:
” عشر من سنن المسلمين “
” 10 ashiya musalmanon ki sunnaton say hain “
Hafiz Ibn-e-Hajar ( رحمه الله ) un ka radd k kartay huway bayan kartay hain keh hadith kay alfaaz yeh nahi hain, Balakeh yeh hain ( عشر من الفطرة )
“10 ashiya fitrat say hain” (12).
Aur agar pahlay alfaaz bhi manqool hotay tab bhi yeh hadith adam-e-wujoob ki daleel nahi thi, Kiyonkeh yahan sunnat say murad tariqah hai, Na keh istelahi-o-usooli maana murad hai.(13)
(2) Aik riwaayat mein hai keh:
” المضمضة والإستنشاق سنة “
” Kulli karna aur naak mein paani dakhil karna sunnat hai “(14).
(1) Al-qamoos-ul-muheet page no: 588. Unees-ul-fuqaha page no: 54. Al-fawaaid-ul-bahiyah page no: 149. (2) Tamam-ul-minnah page no: 93. (3) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 131, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 144. Hafiz Ibn-e-Hajar aur Imam Nawawi nay is ki sanad ko sahih kaha hai, Fat’h-ul-baari 1 / 349. Sharah Sahih-ul-Muslim 2 / 108. (4) SAHIH: Sahih Abu Daud hadith no: 129. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 142. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 38. Sunan-e-Nasaayi hadith no: 87. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 407. Sunan-e-Daarimi 1 / 179. Musnad-e-Ahamd 4 / 32. Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah 1 / 11. Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 80. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 150. Mustadrak Hakim 1 / 147. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 51. Sharah-us-sunnah 3 / 490. (5) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 162, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 237. Mo’attah 1 / 19. Musnad-e-Ahamd 2 / 242. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 140. Sunan-e-Nasaayi 1 / 65. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 49. Musnad-e-Abi Awanah 1 / 247. Musnad-e-Humaidi hadith no: 957. Musnad-e-Abi Yaala hadith no: 6255. Sahih Ibn-e-Hibban hadith no: 1466 ( Al-ihsaan ). (6) Al-Majmoo’u 1 / 363. Al-rauz-un-nazeer 1 / 205. (7) Al-sail-ul-jaraar 1 / 81. (8) Tamam-ul-minnah page no: 93. (9) Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 121, 123. (10) Sharah-ul-Muslim lin-nawawi 2 / 108. Neel-ul-autaar 1 / 219. (11) Al-durr-ul-mukhtaar 1 / 108. Al-Majmoo’u 1 / 263. Qawanee-ul-ahkam-is-shar’eiyah page no: 36. (12) SAHIH: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 238, Kitab-ut-taharah. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 293. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 53. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 2757. (13) Talkhees-ul-habeer 1 / 130, 132. (14) ZA’EEF: Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 85, Kitab-ut-taharah. Hafiz Ibn-e-Hajar nay isay za’eef kaha hai, Kiyonkeh is ki sanad mein Ismail Ibn-e-Muslim Raawi za’eef hai. [ Talkhees-ul-habeer 1 / 132 ] |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.