Search
Sections
< All Topics
Print

(0E). PHIR APNAY SAR AUR KAANON KA MASAH KARAY

PHIR APNAY SAR AUR KAANON KA MASAH KARAY

 


[[[[ ثُمَّ يَمۡسَحُ رَأۡسَهُ مَعَ أُذُنَيۡهِ ]]]]



( Phir apnay sar {1} aur kaanon ka masah karay {2})


 

{1}= ” وَامۡسَحُوۡا بِرُؤُسِكُمۡ “

” Aur apnay saron ka masah karo “

[ Surah Al-Maaidah_Ayah no: 6 ]

 

Masah-ur-raas kay wujoob mein koi ikhtelaaf nahi hai, Balakeh mahall-e-nazar baat yeh hai keh kiya mukammal sar ka masah karna wajib hai ya sar kay kuch hissay ka masah bhi kifaayat kar jata hai ?

 

Mukammal sar kay masah ko wajib kahnay walon kay dalaail hasb-e-zail hain:

 

(1) Masah kay liye Quran mein lafaz-e-Raas iste’imaal huwa hai aur “Raas” mukammal sar ko kahtay hain.

 

Is ka jawab youn diya gaya hai keh yahan Mutlaqan sar ka masah karna murad hai, Aur baaz hissay ka masah bhi masah hi kahlata hai,

Jaisay koi kahay keh ” Main nay sar par maara ” to is say yeh lazim nahi ata keh mukammal sar par maara, Balakeh kisi aik juz’o par maarna bhi maarna hi kahlaye ga.

( Yaad rahay keh agarcheh ba’zaahir aqalan yeh baat dorust maloom hoti hai lekin aaindah sahih hadith is ka rad kar rahi hai.)

 

(2) Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Zaid ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh Rasoolullah ﷺ nay apnay sar ka masah is tarah kiya keh:

” فأقبل بيديه و أدبر “

” Apnay dono hath sar kay aagay say peechay ki taraf lay gaye aur phir peechay say aagay ki janib lay aaye “

 

Aik riwaayat mein yeh alfaaz hain:

” بدأ بمقدم رأسه حتى ذهب بهما الى قفاه ثم ردهما حتى رجع الى مكان الذي بدأ منه “

” Ap ﷺ hathon ko sar kay aglay hissay say shuroo kar kay pichlay hissay yaani “Guddi” tak lay gaye aur phir issi tarah donon hathon ko sar ka masah kartay huway ussi jagah wapis lay aaye jahan say masah ka aghaaz kiya tha.(1)

 

Is ka jawab yeh diya gaya hai keh mujarrad fail say wujoob saabit nahi hota,

Lekin is baat ka rad is tarah kiya jata hai keh hadith mein ijmaal-e-wajib ka bayan hai, Aur wajib-e-mujmal ka bayan bhi wajib hota hai.

 

Jin hazraat nay sar kay baaz hissay kay masah ko bhi dorust qaraar diya hai unki daleel yeh hadith hai:

” أنه توضأ و مسح بناصيته “

” Ap ﷺ nay wuzoo kiya aur apni paishani kay baalon par masah kiya “(2).

 

Is ka jawab yeh hai keh is hadith kay mukammal alfaaz yeh hain:

” مسح بناصيته و على العمامة “

” Ap ﷺ nay apni paishani kay baalon aur pagdi par masah kiya “

 

Is say saabit huwa keh jis waqat ap ﷺ nay paishani kay baalon par masah kiya tha us waqat pagdi par bhi masah kiya tha jo keh mukammal sar kay hukam mein hi hai, Na keh us say yeh saabit hota hai keh mahaz paishani kay baalon kay baqadar sar ka masah kaafi hai.

 

( Imam Shafie ( رحمه الله )

Kam az kam jitnay hissay par masah ka lafaz saadiq ata hai utnay hissay ka masah farz hai.

 

( Imam Abu Hanifah ( رحمه الله )

Sar kay chauthayi hissay ka masah wajib hai.

 

( Imam Malik ( رحمه الله )

Mukammal sar ka masah wajib hai.

 

( Imam Ahmad ( رحمه الله )

Mard kay liye mukammal sar ka masah wajib hai, Jabkeh aurat kay liye siraf sar kay saamnay walay hissay ka masah karna hi kaafi hai.(3)

 

( Imam Shaukani ( رحمه الله )

Mukammal sar kay masah kay wujoob ki koi daleel nahi hai.(4)



( Imam Nawawi ( رحمه الله )

Mukammal sar ka masah ulama kay ittefaaq kay sath mustahab hai.(5)

 

( RAAJIH )

Mukammal sar ka masah wajib hai,

Kiyonkeh kisi aik hadith mein bhi yeh nahi milta keh Rasoolullah ﷺ nay sar kay kuch hissay par kabhi masah kiya ho,

Aur jab ap ﷺ paishani kay baalon par masah kartay to usay pagdi par mukammal kartay thay, Jaisa keh Hadith-e-Mugheerah ( رضي الله عنه ) mein hai.

( Wazih rahay keh ) Ap ﷺ kabhi apnay mukammal sar ka masah kartay thay, Kabhi siraf pagdi par masah kartay thay, Aur kabhi paishani kay baalon aur pagdi ( donon ) par masah kartay thay.)

Lihazah saabit huwa keh Quran kay hukam ki wazahat Nabi ﷺ kay amal say mukammal masah-ur-raas par Mudaawamat kay sath hoti hai, issi liye yeh hi Raajih hai ) Jaisa keh Imam Ibn-e-Qayyim ( رحمه الله ) nay bayan kiya hai.(6)

 

( Ibn-e-Qudamah Hanbali ( رحمه الله )

Issi kay qaail hain.(7)

 

( Imam Bukhari ( رحمه الله )

Baab Qaaim kiya hai ” مسح الرأس كله ” ” Mukammal sar ka masah karna “

Us kay tahat Saeed Ibn-e-Musayyib ( رحمه الله ) ka qaul naqal kiya hai keh aurat bhi ( is amal mein ) mard kay darjay mein honay ki bina par apnay sar ka masah karay gi.(8)

 

Sar kay masah kay liye hathon kay bachay paani kay ilawah naya paani laina zaruri nahi, Kiyonkeh Rasoolullah ﷺ say donon tarah saabit hai,

Jaisa keh ahadith mein hai:

 

(1) ” مسح برأسه بماء غير فضل يديه “

” Ap ﷺ nay apnay hathon kay bachay huway paani kay ilawah naye paani say apnay sar ka masah kiya “(9).

 

(2) ” أن النبي مسح برأسه من فضل ماء كان في يده “

” Nabi ﷺ nay apnay sar ka masah ussi zaaid paani say kiya jo ap ﷺ kay hath mein maujood tha “(10).

 

{2}= Kaanon kay masah kay wujoob ki daleel Sayyiduna Abu Umamh, Sayyiduna Ibn-e-Abbas, Sayyiduna Ibn-e-Omar, Sayyidah Ayesha, Sayyiduna Abu Moosa, Sayyiduna Anas, Sayyiduna Samurah Ibn-e-Jundub aur Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Zaid ( رضي الله عنهم ) say marwi sahih hadith hai:

” ألأذنان من الرأس “

” Donon kaan sar say hain “.(11)

Jab donon kaan sar mein shamil hain to choonkeh sar ka masah farz hai lihazah kaanon ka masah bhi farz huwa.

Issi bina par Nabi ﷺ sar kay sath kaanon ka bhi masah kar liya kartay thay, Jaisa keh hadith mein hai:

” فمسح برأسه و أذنيه “

” Ap ﷺ nay apnay sar aur donon kaanon ka masah kiya “.(12)



(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 185,

Kitab-ul-wuzoo.

Sahih-ul-Muslim hadith no: 235.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 18.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 32.

Sunan-e-Nasaayi 1 / 72.

Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 434.

Musnad-e-Humaidi 1 / 202.

Sharah-us-sunnah 1 / 216.

Mo’attah 1 / 18.

Musannaf Abdul Razzaque hadith no: 5.

Musnad-e-Ahamd 4 / 38.


(2) Sahih-ul-Muslim hadith no: 274,

Kitab-ut-taharah.


(3) Al-mughni 1 / 176.

Kashaaf-ul-qanaa 1 / 109.

Mughni-ul-mohtaaj 1 / 53.

Fat’h-ul-qadeer 1 / 10.

Badaayi’o-us-sanaayi’o 1 / 4.

Bidaayat-ul-mujtahid 1 / 11.


(4) Al-sail-ul-jaraar 1 / 85.



(5) Sharah-ul-Muslim 2 / 125.


(6) Neel-ul-autaar 1 / 244.

Subul-us-salaam 1 / 97.


(7) Al-mughni 1 / 176.


(8) Sahih-ul-Bukhari qabal az hadith no: 185, kitab-ul-wuzoo.


(9) Sahih-ul-Muslim hadith no: 347,

Kitab-ut-taharah.

Musnad-e-Ahamd hadith no: 15845.

Sunan-e-Daarimi 3 / 70.


(10) HASAN:

Sahih Abu Daud hadith no: 120,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 130.

Sunan-e-Tirmazi hadith no: 33.


(11) SAHIH:

Silsilat-us-sahihah hadith no: 36.


(12) HASAN:

Sahih Abu Daud hadith no: 99,

Kitab-ut-taharah.

Sunan-e-Abi Daud hadith no: 108.

 

 

REFERENCE:
BOOK:  Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq:  Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by :  Haafiz Imraan Ayub lahori.

 

 

 

Table of Contents