(58) WUZOO MEIN TARTEEB WAJIB HAI
(58) WUZOO MEIN TARTEEB WAJIB HAI
(1) Kiyonkeh Nabi ﷺ nay hamaishah murattab wuzoo kiya aur ussi ka dusron ko hukam diya.
(2) Hadith-e-nabawi hai:
” إذا توضأتم فابدؤوا بميامنكم “
” Jab tum wuzoo karo to daayen janib say shuroo karo “.(1)
Is hadith mein bhi murattab wuzoo kay wujoob ki taraf wazih isharah maujood hai.
(3) Nabi ﷺ nay aik dehati say farmaya:
” توضأ كما امرك الله “
” Ussi tarah wuzoo karo jis tarah Allah ta’ala nay tumhain hukam diya hai “.(2)
( Imam Shaukani ( رحمه الله )
Wuzoo mein tarteeb wajib hai, Aur ghair murattab wuzoo kifaayat nahi karta.(3)
( Nawab Siddique Hasan Khan( رحمه الله )
Issi kay qaail hain.(4)
( Sayyid Saabique ( رحمه الله )
Tarteeb wajib hai.(5)
(1) SAHIH: Sahih Ibn-e-Majah hadith no: 323. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 4141, Kitab-ul-libaas. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 1766. Sahih Ibn-e-Khuzaimah hadith no: 178. (2) SAHIH: Musnad-e-Abi Awanah 1 / 253. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 83. (3) Al-sail-ul-jaraar 1 / 87. (4) Al-rauzat-un-nadiyah 1 / 140. (5) Fiqah-us-sunnah 1 / 33. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.