(63) DAURAN-E-WUZOO KALAM JAAIZ HAI
(63) DAURAN-E-WUZOO KALAM JAAIZ HAI
(1) Kiyonkeh mamaani’at ki koi daleel maujood nahi.
(2) Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Shoubah ( رضي الله عنه ) say marwi hai keh main Rasoolullah ﷺ kay mauzay utaarnay kay liye jhuka to ap ﷺ nay farmaya:
” دعهما فإني أدخلتهما طاهرتين”
” Inhain chhaud do, main nay jab inhain pahna tha us waqat main wuzoo say tha “
Phir ap ﷺ nay un par masah kar liya.(1)
Maloom huwa keh Nabi ﷺ nay jab Sayyiduna Mugheerah Ibn-e-Shoubah ( رضي الله عنه ) say kalam kiya to us waqat ap ﷺ ka wuzoo mukammal nahi huwa tha, Balakeh ap ﷺ nay mauzon par masah baad mein kiya,
Lihazah saabit huwa keh dauran-e-wuzoo kalam jaaiz-o-dorust hai.
(1) Sahih-ul-Bukhari hadith no: 206, Kitab-ul-wuzoo. Sahih-ul-Muslim hadith no: 408. Sunan-e-Abi Daud hadith no: 150. Sunan-e-Tirmazi hadith no: 100. Sunan-e-Nasaayi 1 / 76. Sunan-e-Ibn-e-Majah hadith no: 545. Musnad-e-Abi Awanah 1 / 259. Sunan-e-Daaro Qutani 1 / 192. Sunan-ul-kubra baihaqui 1 / 58. Musnad-e-Ahamd 4 / 244. |
REFERENCE:
BOOK: Duraral Bahiyah “Imam Shawkaani” Fiqh-o-Hadeeth
Tahqeeq: Allamah Nasir Uddin Albani Rahimahullah
Urdu Tarjumah Tarteeb-o-Taleef by : Haafiz Imraan Ayub lahori.