06. BILA UZR RAMAZAAN KA ROZA NA RAKHNA [Not fasting a day of Ramadan without a valid Excuse]
Bila-uzar Ramzan ka roza na rakhna:
Allah ta’ala ne farmaya:
یٰۤاَیُّهَا الَّذِیْنَ اٰمَنُوْا كُتِبَ عَلَیْكُمُ الصِّیَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِیْنَ مِنْ قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُوْنَۙ۞اَیَّامًا مَّعْدُوْدٰتٍؕ-فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَّرِیْضًا اَوْ عَلٰى سَفَرٍ فَعِدَّةٌ مِّنْ اَیَّامٍ اُخَرَؕ
“Ae Iman walo! Tum par roze isi tarah farz kie gae hen jis tarah keh tum se pehle logon par farz kie gae the, taakeh tum muttaqi ban Jao (roze) ginti kay chand roz hain, phir tum mein se jo bimar ho ya safar mein ho, tou woh us ginti ko ba’ad mein pura kar de”
(Al Baqarah 2: 183-184)
Nabi ﷺ se riwayat hai keh aap ne farmaya:
“Islam ki buniyad 5 cheezon par hai , gawahi dena keh Allah kay Siwa koi ma’bud nahin, aur yeh keh Muhammad ﷺ Allah kay Rasul hain, namaz qaim karna, zakat adaa karna, baitullah ka Hajj karna aur Ramzan kay roze rakhna” [Bukhari : 8; Muslim: 16]
Aur Aap ﷺ ne farmaya:
“Jo shakhs Ramzan ka ek roza bila-uzar chor de tou phir woh agar zindagi bhar bhi roza rakhta rahe tou woh uski qaza nahin de sakta” [Tirmidhi; Nisai; Ibne majah]
Ibne Abbas رضي الله عنهما ne farmaya:
Islam kay kunde aur Deen ki buniyaden 3 cheezon par hai , gawahi dena keh Allah ta’ala kay Siwa koi ma’bud nahin, namaz aur roza, pas jis shakhs ne in mein se kisi ek ko chor dia tou woh kafir hai.
Na’uzu billahi min zalik
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.