Search
Sections
< All Topics
Print

16. HUKMRAAN KA RAYAYA SE DAGHA BAAZI AUR ZULM KARNA [A Leader is duping his followers and treating them unjustly]

Hukumran ka ra’iyat se dagha Bazi aur zulm karna:

 

Allah ta’ala ne farmaya:

 

اِنَّمَا السَّبِیْلُ عَلَى الَّذِیْنَ یَظْلِمُوْنَ النَّاسَ وَ یَبْغُوْنَ فِی الْاَرْضِ بِغَیْرِ الْحَقِّؕ-اُولٰٓىٕكَ لَهُمْ عَذَابٌ اَلِیْمٌ۞

 

“Ilzaam tou un par hai jo logon par zulm karte hain, aur mulk mein na haq fassad phelate hain, un logon kay liye Dard naak Azab hai”.

(Ash shoora 42: 42)

 

Aur farmaya:

وَلَا تَحْسَبَنَّ ٱللَّهَ غَـٰفِلًا عَمَّا يَعْمَلُ ٱلظَّـٰلِمُونَ ۚ إِنَّمَا يُؤَخِّرُهُمْ لِيَوْمٍۢ تَشْخَصُ فِيهِ ٱلْأَبْصَـٰرُ۞مُهْطِعِينَ مُقْنِعِى رُءُوسِهِمْ لَا يَرْتَدُّ إِلَيْهِمْ طَرْفُهُمْ ۖ وَأَفْـِٔدَتُهُمْ هَوَآءٌۭ۞

 

“Aur Allah ko un kaamon se be khabar khayal na kijiye jo zulm kar rahe hain, wo tou un ko us din tak muhlat de raha hai, jis din ankhen khuli ki khuli reh jaengi. Sar upar ko uthae haibat kay mare jaldi jaldi ankhen jhapak rahe honge, un ankhen un ki taraf phir na paltengi, aur un kay Dil pareshan honge”.

(Ibrahim 14: 42-43)

 

Aur Allah Tala ne farmaya:

 

وَسَيَـعۡلَمُ الَّذِيۡنَ ظَلَمُوۡۤا اَىَّ مُنۡقَلَبٍ يَّـنۡقَلِبُوۡنَ

 

“Aur jin logon ne zulm kiya hai, un ko jald maloom hojaega keh wo kis jahah lout kar jate hain”.

(Ash-Shu’ara ; 26/227 )

 

Aur Allah Tala ne farmaya:

 

كَانُوۡا لَا يَتَـنَاهَوۡنَ عَنۡ مُّنۡكَرٍ فَعَلُوۡهُ ‌ؕ لَبِئۡسَ مَا كَانُوۡا يَفۡعَلُوۡنَ‏ ۞

 

“Wo jo bure kaam kar bethte the, un se aik dosre ko roktr na the, waqa’i hi un ka ye fail bohat bura tha”.

( Al-Maida : 5/78-79 )

 

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

Jis shakhs ne ham ne dagha baazi ki woh ham mein se nahin” [Muslim: 101]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Zulm Roz-e-Qayamat zulumaat (ka sabab) hoga” [ Bukhari:  2447; Muslim 2579]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

” Tum mein se har shakhs nighiban wa zimmedar hai, aur Tum mein se har ek apni ra’iyat kay baare mein jawab-deh hai” [Bukhari: 893; Muslim 1829]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jis zimmedar shakhs ne apni ra’iyat se dagha baazi ki tou woh Jahannumi hai” [Musnad Ahmed: 25/5]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya :

“Allah jis shakhs ko kisi ra’iyat ka zimmedar bana de phir woh unse Khair khuwahi na kare tou Allah ne us par jannat Haram kar di hai” [Bukhari: 7151]

Aur farmaya:

“Aur woh jis din is haal mein faut ho jae keh woh apni ra’iyat kay muta’alliq dagha baaz ho tou Allah ne us par jannat ko Haram qarar dia hai” [Bukhari: 7151; Muslim: 142]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jo Hakim logon kay mabain faisla karta hai, tou Qayamat kay roz use rok lia jaega aur farishte ne use uski guddi se pakar rakha hoga, agar us (Allah) ne farma dia keh use daal do tou woh use daal dega tou woh Jahannum mein 40 baras tak rahega” [ Ibne Majah aur hazar ne isi tarah hadith Ibne Mas’ood رضي الله عنه se riwayat kia hai, donon ki sanad mein mujalid bin Saeed mukhtalif feeh hai]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

Hukumranon, zimmedaraan aur amanat daaron kay lie wail hai, Roz-e-Qayamat log aarzu karenge keh Kash un kay gaisu surayya kay sath mu’allaq hote aur woh azab mein mubtala rehte lekin ye imarat waghera kay kaam ikhtiyar na karte” [Ahmed]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Roz-e-Qayamat adal karne wale qazi par ek aisi ghari aegi keh woh khuwahish karega keh us ne do aadmion kay darmian ek khajoor kay baare mein bhi kabhi faisla na kia hota” [Bzar Tabrani fil ausat]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“10 a aadmion kay ameero Hukumran ko Qayamat kay din laya jaega keh uska hath uski gardan kay Sath bandha hua hoga , ab ya tou uska adal use chura dega ya uska zulm use halak kar dega” [Ahmed; Ibne Hibban]

RasullAllah ﷺ ki Dua hai keh aap ne farmaya:

“Ae Allah! Jis shakhs ko is ummat kay kisi maamle ka zimmedar bana dia jae aur woh un kay Sath narmi kare, tou tu bhi ua kay Sath narmio meherbani farmana aur jo shakhs un par sakhti kare tou tu bhi us par sakhti farmana” [Muslim; Nisai]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Allah jis shakhs ko musalmanon kay umoor mein se kisi cheez ka zimmedar bana de aur woh unki hajaato zaruriaat aur un kay faqar kay muta’alliq kaar baraari na kare, chupa rahe, tou Allah bhi uski hajaato zarurat aur us kay faqro mohtaji kay aage pardah daal dega” (unhen Hal nahin karega jis tarah woh logon kay masaail Hal nahin kia karta tha) [Abu Dawood; Tirmidhi]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Anqareeb fasiq zalim Hukumran honge, pas jis shakhs ne un kay jhoot ki tasdeeq ki aur un kay zulm par unki madad ki, tou aisa shakhs mujh se hai na main usse aur woh hauze kausar par bhi nahin aega”                       [Ahmed; Abu Dawood]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Meri ummat mein se do qisam kay log hain , jinhen Meri shafa’at naseeb nahin hogi: zalimo dagha baaz badshah aur Deen mein ghuluw karne wala, un kay khilaf gawahi di jaegi aur unse la ta’alluqi ka izhar kia jaega”            [Tabrani fil kabeer]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Roz-e-Qayamat zalim badshah ko sab se ziada azab dia jaega “ [Tabrani]

Aur Hadith mein hai keh RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Logon! Naiki ka hukum do aur burai se roko, is se pehle keh Tum Allah se duaen karo aur woh qubool na hon, Tum Allah se maghfirat talab karo woh tumhen ma’af na kare, kyun keh yahood kay ulama aur eesaion kay rahibon ne jab naiki ka hukum dena aur burai se rokna chor dia tou Allah ne un kay anbia’ ki zaban par un par la’anat farmai phir un par umoomi taur par azab bhej dia “

[isbahani ne hadith Ibne Umar se riwayat kia hai aur munzari ne is kay zo’af ki taraf ishara kia hai]

 

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya hai:

“Jis shakhs ne hamare is Amar (Deen) mein koi Naya Kam jaari kia Jo usse nahin tou woh mardood hai aur jis ne koi Naya Kam jaari kia ya kisi naey kaam jaari karne wale (bid’ati) ko panah di tou us par Allah , farishton aur tamam insanon ki la’anat ho , Allah uska koi farz qubool karta hai na nafil” [Bukhari; Muslim]

Aur Hadith mein ye bhi hai:


“Jo shakhs Reham nahi karta, us par Reham nahi kiya jata aur jo shakhs logon par Reham nahi karta tou Allah us par Reham nahi karta”. [ Bukhari’ Muslim ‘ Tirmizi]

Aur Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Imam Adil ko Allah us roz apne saae mein jagah Naseeb farmaega, jab us kay saae kay siwa koi saya nahi hoga “[Bukhari ( 660 )’ Muslim ( 1013 )]

Aur farmaya:
“Insaaf karne wale Noor kay minbarom par honge, jo apne faislon, apne Ahl o Ayaal aur matihaton kay darmiyan insaaf karte the”. [Muslim ( 1827 )]

Jab Rasool Allah ﷺ ne Ma’az رضي الله عنه ko Yaman ki taraf bheja tou farmaya:
“Un kay qeemti aur umda qisam kay maal lene se bachna aur mazloom ki bad dua se bhi bachna, kyun keh us (bad dua) kay aur Allah kay mabain koi parda nahi”. [ Bukhari ( 2448 )]

Aur Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Teen qisam kay log hain jin se Allah Roz e qayamat Kalam nahi farmaega. Ap ne jhooti badshah ka bhi us mein zikar farmaya”. [ Muslim ( 107 )]

Aur Ap ne farmaya:
“Tum yaqeenan Amarat o hukumrani ki hirs karoge, jab’keh Roz e qayamat wo nadamat ka baais hogi”.                    [ Bukhari ( 8147 )]

Aur Bukhari ki riwayat mein ye bhi hai:
“Allah ki qasam! Ham is Amal (Amarat) par kisi aise shakhs ko mamoor nahi karenge jo us ka Talab gaar ho ya wo us ka harees ho”. [Bukhari ( 8149′) Muslim ( 14 )]

Aur Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Ka’ab bin Ajrah ! Allah ko nadanon ki Amarat se panah mein rakhe, mere ba’ad hukumran honge, jo Meri hidayat kay zare’a hidayat hasil karenge na meri sunnat par chalenge”. [Ahmed ( 3/321 )’ Hakim ( 4/422 )]

Abu Huraira ﷺ رضي الله عنه se riwayat karte hain, Ap ne farmaya:
“Jo shakhs Musalmanon kay Qazi ban’ne ka mansab talab kare hatta keh wo us par faaiz hojae, phir us ka adal, us kay zulm par ghalib ajae tou us kay liye Jannat hai aur jis ka zulm us kay adal par ghalib ajae tou us kay liye jahannum hai”. [Abu Daood]

Aur Ap ne farmaya:
“Tum anqareeb Amarat ki hirs karoge Roz e qayamat wo nadamat ka baais hogi”. [Pori Hadith is tarah hai: “us ka milna acha hai aur us ka chale jana bura hai” ( Bukhari, Nisai)]
Umar رضي الله عنه se kaha: mujhe koi Hadith bayan karen jo Ap ne Rasool Allah ﷺ se suni ho tou Abuzar رضي الله عنه bayan karte hain, main ne Rasool Allah ﷺ ne farmate hue suna:

“Hukumran ko Roz e qayamat laya jaega aur usse jahannum kay pal par phenk diya jaega, wo pal us shiddat se hilaega keh us ka koi joor apni jagah par nahi rahega, pas agar wo Apne Amal mein Allah ki Ita’at karne wala hua tou wo wahan se guzar jaega aur agar us ne apne Amal mein Allah ki nafarmani ki hogi tou pal mein sorakh hojaega aur usse pacchas Saal ki miqdar jahannum mein phenk diya jaega.”

Tou Umar رضي الله عنه ne farmaya: Abuzar! Isse kon talab karega? Unho ne kaha: Jo Allah kay liye Apni naak kaat de aur apne rukhsar ko matti mein mila de [5]

Amr bin muhajir bayan karte hain:

Umar bin Abdul Aziz ne mujhe farmaya:

Jab Tum mujhe Haq se inhiraf karta hua dekho tou apna hath mere gireban par rakh kar kehna:

“Umar kia kar rahe ho?”

Zalim kay naam par razi hone wale! Tum par kis qadar mazalim hain, qaid Jahannum hai aur Hakim Haq hai, jis cheez kay baare mein Tum jhagra karte ho us mein tumhare lie koi hujjat nahin, qabar holnak hai, pas Tum apni aseeri ko yaad karo, hisab taweel hai pas apne aap ko rihao karao, Umar ek din ki tarah hai pas jaldi karo, tu apne maal se khush hota hai jab keh kamai Haram hai, tu apni umeedon par itrata hai halan keh chalna jaldi se hai , beshak zulm Jo hai us se ungli kay paur kay barabar bhi kuch nahin chora jaega, pas jab Tum zalim ko dekho keh zulm bohot ho gaya hai tou phir pur-sukoon raho, kyun keh ba’az oqat jab woh kisi rat soega tou us kay jisam mein phore Nikal aenge

[1] is tarah ki riwayat Ibne abid Dunia ne Abu Hurairah se riwayat ki hai, jise munzari ne za’eef qarar dia hai.

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.
#16: URDU – Are You Losing Hope in Life? || Must Watch || Shaikh Zafar Ul Hasan Madani || AMAU

Table of Contents