Search
Sections
< All Topics
Print

32. FAISLA KARNAY PAR RISHWAT LENA [Taking bribes for judgement]

FAISLE PAR RISHWAT LENA:

 

Allah ta’ala ne farmaya:


وَلَا تَأْكُلُوٓا۟ أَمْوَٰلَكُم بَيْنَكُم بِٱلْبَٰطِلِ وَتُدْلُوا۟ بِهَآ إِلَى ٱلْحُكَّامِ لِتَأْكُلُوا۟ فَرِيقًا مِّنْ أَمْوَٰلِ ٱلنَّاسِ بِٱلْإِثْمِ وَأَنتُمْ تَعْلَمُونَ۞

 

“Aur apas mein nahaq aik dusre kay maal na khao aur na hi maal ko is niyat se hukkam tak pohonchao keh logon kay maal mein se kuch najaiz tareeqon se kha jao halan keh tum jante ho”

Al-Baqarah 2 : 188

Ya’ani apne amwal hukkam tak na pohonchao ya’ani unhen rishwat na do keh woh tumhare elawa kisi ka haq tumhen deden halan keh tum jante ho keh woh tumhare lie halal nahin, Abu Hurairah رضي الله عنه bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Allah ne hukum mein rishwat dene wale aur rishwat lene wale par la’anat farmai”  [Ibne Hibban]

Abdullah bin Amr bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne rishwat dene wale aur rishwat lene wale par la’anat farmai hai

Ulama ne farmaya:
الراشي
Woh hai jo rishwat deta hai aur
المرتشي
Woh hai jo rishwat wusool karta hai, aur rishwat dene wala tab la’anat ka mustahiq theherta hai jab woh us kay zarie kisi musalman ko aziat pohonchane ya kisi aisi cheez ko hasil karne kay lie rishwat deta hai jo uska haq nahin, raha woh shakhs jo apna haq wusool karne aur apne se zulm dur karne kay lie rishwat deta hai tou woh la’anat kay zumre mein nahin ata, Jahan tak hakim ka ta’alluq hai tou us par rishwat haram hai, woh us kay zarie haq ko baatil kare ya us kay zarie kisi zulm ko dur kare

Aur dusri riwayat mein marwi hai keh rishwat dilane wale par bhi la’anat hai
الراش
Yeh woh shakhs hai jo un donon kay darmian koshish karta hai aur yeh rishwat dene wale kay zumre mein Aata hai, agar uska khairo bhalai ka qasad ho tou phir la’anat usko lahaq nahin hoti, agar yeh qasad na ho tou phir woh la’anat ka mustahiq theherta hai.

FASAL:

Isi baare mein woh riwayat hai jise Imam Abu Dawood ne apni sanad mein riwayat kia hai, Abu Umama bahili bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jis shakhs ne kisi aadmi ki sifarish ki, phir us par use hadiya paish kia gaya tou woh sood kay abwab mein se aik bohot bare baab ko pohoncha”

Ibne Mas’ood رضي الله عنهما ne farmaya: haram ye hai keh tum apne bhai kay lie koi hajat talab karo, woh puri hojae aur woh tumhen koi hadiya paish kare aur tum uski taraf se use qubool karlo

Masrooq se riwayat hai keh unhon ne Ibne Ziyad se kisi zulm kay baare mein sifarish ki tou us ne us (zulm) ko dur kardia, mazloom shakhs ne unhen aik ghulam ka tohfa paish kia tou unhon ne use wapas kardia aur use qubool na kia aur unhon ne kaha: main ne Ibne Mas’ood ko farmate hue suna hai:

“Jis ne kisi musalman se koi zulm dur kia aur us (mazloom) ne us par use qaleel ya kaseer cheez ataa ki tou woh rishwat hai”

Aadmi ne kaha: Abu Abdur Rahman! Ham tou sirf faisle mein rishwat dene ko haram samajhte the, unhon ne kaha: woh tou kufur hai, ham is kay muta’alliq Allah se panah talab karte hain aur ham Allah se har azmaish aur napasandeedah Amar se afwo aafiat ka sawal karte hain

HIKAYAT:

Imam Abu Umar Auza’i se riwayat hai woh bairut mein rihaish pazeer the keh aik nasrani un kay pas aya tou us ne kaha: ba’lbak kay sarbarah ne mujh par zulm kia hai , main chahta hun keh ap use ruq’a likh den, woh ap kay pas sheher ka matka le kar aya, Auza’i ne kaha: agar tum chaho tou main matka tumhen wapas kardeta hun aur us kay nam tumhen ruq’a likh deta hun aur agar tum chaho tou matka le leta hun (ruq’a nahin likhta) pas ap ne us sarbarah kay lie use ruq’a likh dia keh is nasrani kay khiraj mein kuch kami kar den us ne matka aur ruq’a kia aur sarbarah ki taraf chal dia, pas us ne use woh ruq’a dia tou us ne imam ki sifarish par us se 30 dirham kam kardie , Allah un par rehem farmae aur hamen un kay zumre mein shamil farmae

NASEEHAT:

Allah kay bandon! Awaqib par ghauro fikar karo, manaqib ki quwwat se bacho, saza dene wale ki saza se daro, salb karne wale kay salb karne se khauf khao kyun keh Allah ki qasam! Talib ghalib hai, woh log kahan hain jo khuwahishat ki talab mein bethe rahe aur phir khare hogae aur woh daare kooch ki muwafqat mein ghume aur unhon ne hifazat ki? Woh kitna hi kam thehre aur kitna hi pura hai jo unhon ne qiyam ki aur unhon ne apni qabron kay garhon mein, apne aap par un aa’mal ki wajah se jo unhon ne aage bheje the afsos kia aur malamat ki

أما والله لو علم الأنام
لما خلقوا لما هجعوا وناموا
لقد خلقوا الأمر لورأته
عيون قلوبهم تاهوا وهاموا
ممات ثم قبر ثم حشر
وتوبيخ وأهوال عظام
ليوم الحشر قد عملت رجال
فصلوا من مخافته وصاموا
ونحن إذا أمرنا أو نهينا
كاهل الكهف أيقاظ نيام

“Sun lo! Allah ki Qasam! Agar log apni takhleeq ka maqsad jaan len tou woh rat ko na soen”

“Woh aik kam kay lie paida kie gae hain agar un kay dil ki ankhen use dekh len tou woh khauf zadah hojaen aur ehtemam karen”

“Maut hai phir qabar phir hashar, zajaro taubeekh aur holnakian hain, hashar kay din kay lie logon ne namazen parhi aur us kay dar se roze rakhe”

“Aur ham hain, jab hamen hukum dia gaya ya hamen mana’ kia gaya tou ham ashabe Kahaf ki taraf khuwabo baidari ki halat mein ho jate hain “

Ae woh shakhs! Khataon ki gandagi se lithre hue, museebton ki aafat mein mile hue, ae woh shakhs us kay kalam ko sunte ho jo malamat karta aur dant’ta hai, taubah ka aqad bandhta hai hatta keh jab sham hoti hai tou faskh kardeta hai, apni zaban ko mutlaq azad chorne wale! Farishta shumar karta aur naqal karta hai, ae woh shakhs jis kay seene mein khuwahish kay parinde ne ghonsla banaya aur chooza dia, maut ne kitne hi oonche Paharon jese badshah ko halak kardia, kitni hi buniyadon ko hila dia jo keh kibar mein pukhta thi aur unhen lahad kay andhere mein basa dia aur un kay peeche barzakh hai, ae woh shakhs jiska dil us kay badan se gunahon kay sath maila ho gaya hai, ae azaaim se muqabla karne wale! Kia tu isse be khauf ho gaya hai keh tujhe dhansa dia jae ya tujhe maskh kardia jae, ae woh shakhs burhape kay aa jane kay ba’ad bhi aib ko lazim pakarne wale! Uska fail tareekh ka hissa ban raha hai

Aur har tarah ki ta’reefo shukar hamesha Allah kay lie hai

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

Bribery

 Allah Most High says, {And do not eat up your property among yourselves for vanities, nor use it as a bait for the judges, with intent that ye may eat up wrongfully and knowingly a little of (other) people’s property.}

(Al-Baqarah: 188)

Muslims are prohibited to bribe a judge or a public officer to unfairly obtain a decision in favor of one’s self against a rival or to unlawfully consume the property of others while they are aware of the prohibition of this act.

On the authority of Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) that the Messenger of Allah (pbuh) said,

“Allah’s curse is on the one who offers the bribe and on the judge who accepts it.”¹

On the authority of ‘Abdullah Ibn ‘Amr (may Allah be pleased with him) that,

“The Messenger of Allah (pbuh) cursed the one who offers the bribe and the one who receives it.”²

However, the Muslim scholars affirm that bribery is prohibited when it is aimed at consuming other’s property or rights unfairly. Thus, if someone finds himself in a situation in which all avenues of redressing a wrong done him, or recovering a right which has been forfeited, are blocked except through the payment of a bribe, the sin of it will not be on him but on the recipient of the bribe.

Another narration of the hadith explains that

“The Messenger of Allah (pbuh) cursed also the one who arranges for the payment of a bribe. ” Furthermore, what is mentioned above concerning the ruling of the one who offers a bribe applies to the one who arranges it, i.e., if it is aimed at obtaining fair ends, he would be sinless; and vice versa.

Gifts to officials are a form of bribery. Abu Umamah AI-Bahli (may Allah be pleased with him) said that the Messenger of Allah (pbuh) said, “Whoever intercedes on behalf of his brother and therefore he offers him a gift, it would be nothing other than a grievous usury.” ³

Ibn Mas’ud (may Allah be pleased with him) said, “To accept a gift from your brother because of fulfilling his need is the precise meaning of consuming the forbidden things.” Once Masruq asked Ibn Zyad to assist him in removing a wrong inflicted upon him. Having assisted him, Masruq offered Ibn Zyad a slave as a gift. Zyad, on his part, rejected the gift saying, “I have heard Ibn Mas’ud say, ‘Forbidden is the gift offered because of removing a wrong from a Muslim.) “He wondered, “O Abu’ Abd AI-Rahman! Is not bribery restricted to offering a bribe to judges!” He replied, “This latter is a form of Shirk (association).”4

 
¹Reported by At -Tirmidhi.
²Reported by At- Tirmidhi.
³Reported by Abu Dawud.

4. Mentioned by A1-Haithami in in Magama’ Al-Zawa’d.

Once, a Christian man came to Imam Abi ‘Amr AI-Awza’i (may Allah bestow mercy on him), who was living in Beirut, complaining of the ruler of Ba’labak and asking him to send to the ruler ordering him to stop from doing wrong to the Christian man. However, the Christian man brought with him a bottle of honey as a gift to Abi ‘Amr. Therefore, Abi ‘Amr commented, “If you wish I would refuse your gift and send to the ruler of Ba’labak ordering him to stop from oppressing you; and if you wish I would accept your gift. Imam’ Abi ‘Amr send to the ruler of Ba’labak to reduce the amount of Kharaj (land-tax) from the Christian. Consequently, the Christian took the letter and his bottle of honey and traveled to the ruler of Ba’labak. Having read the letter of Abi ‘ Amr, the ruler reduced 30 Dirhams from Kharaj of the Christian man.

REFERENCE:
BOOK: “MAJOR SINS” OF IMAM SHAMSU ED-DEEN DHAHABI.
Distributed by : www.islambasics.com
Table of Contents