34. DAYYUS AUR BEGHAIRAT MARD [Being a wittol]
DAYOOS AUR BE-GHAIRAT:
Allah ta’ala ne farmaya:
ٱلزَّانِى لَا يَنكِحُ إِلَّا زَانِيَةً أَوْ مُشْرِكَةً وَٱلزَّانِيَةُ لَا يَنكِحُهَآ إِلَّا زَانٍ أَوْ مُشْرِكٌ ۚ وَحُرِّمَ ذَٰلِكَ عَلَى ٱلْمُؤْمِنِينَ۞
“Zaani mard, bajuz zaniah ya mushrikah aurat se, kisi se shadi nahin kar sakta aur zaniah aurat se bhi zaani ya mushrik mard kay siwa koi aur nikah nahin kar sakta aur yeh musalmanon kay lie haram qarar dia gaya hai”
An-Nur 24: 3
Abdullah bin Amr رضي الله عنه Nabi ﷺ se riwayat karte hain aap ne farmaya:
“3 qisam kay log jannat mein nahin jaenge apne walidain ka nafarman, be-ghairat shakhs, aur aurton se mushabihat karne wala” [ Nisai 80,81/5; Ahmad 134/2]
RasullAllah ﷺ ne farmaya:
“3 qisam kay log hain jin par Allah ne jannat haram qarar de di hai, aadi sharab nosh, apne walidain ka nafarman aur woh be-ghairat shakhs jo apni ehlia mein bad-kaari par khush ho” [Nisai]
Ya’ani woh ehlia kay muta’alliq bad-kaari ko pasand karta ho
نعوذ بالله من ذلك
Musannif ne farmaya: jis shakhs ko apni ehlia kay muta’alliq fahishah hone ka yaqeen ho lekin woh usse muhabbat hone ya us kay zimme us aurat ka qarz ho jise woh adaa nahi kar sakta ya haq meher bohot ziada ho ya us kay chote chote bache hone ki wajah se ghaflat baratta ho, tou woh aurat qazi ki taraf rujoo’ karegi aur un (bachon) kay huqooq ka mutalibah karegi pas yeh un mein se nahin jis se airaz kia jae aur jis shakhs mein ghirat na ho us mein koi khairo bhalai nahin , pas ham Allah ta’ala se har qisam ki azmaisho musibat se aafiat talab karte hain
NASEEHAT:
Fana hone wali shahawat mein mashghool shakhs! Tu aane wali maut kay baare mein kab tayari karega, tu guzre hue qaaflon se milne ki kab tak koshish nahin karega,, kia tum tama’ rakhte ho jab keh tum sadaat kay milne mein ghaleechon kay rehen (girwi) ho? Afsos hai, afsos hai, afsos hai! Ae apne zo’am mein lazzaton ki umeed rakhne wale, lazzaton ko torne wali (maut) kay dhawa bolne se dar, uski chaalon aur tadbeeron se bach , woh sanson aur lamhon mein posheedah hai”
تمضى حلاوة وبعدها
تبقى عليك مرارة التبعات
يا حسرة العاصين يوم معادهم
لو أنهم سبقوا إلى الجنات
لولم يكن إلا الحياء من الذي ستر العيوب لأكثرواالحسرات
“Jo tum ne chupaya woh halawat chali gai, us kay ba’ad us kay asraat ki karwahat tere han baqi reh gai”
“Haae gunahgaron ki hasrat, un kay wa’de ka din (Qayamat) kash keh unhon ne jannaton ki taraf paish qadmi ki ho”
“Agar sirf us zaat se jo uyoob ko chupati hai, haya hoti tou woh ziada hasraten karte”
Ae woh shakhs jiska naamahe aa’mal gunahon se bhara hua hai aur gunahon ki kasrat ki wajah se uski (naikion wali) tarazu halki hogai hai, kia tum nahin dekhte keh uski umeedon ka palra bhar gaya hai? Kia tum ne tanhaion kay dulhon ko nahin dekha keh woh lahdon ki taraf tayyar kar die gae hain, kia tum ne aasoodah haal logon kay badnon ko nahin dekha keh unhen kafan mein daal kar lapet dia gaya hai, kia tum ne rehmon mein jismon kay tayyar hone ka mu’ainah kia hai? Ae oonghne wale! Apne nafs ko churane kay lie tum kab baidar hoge?
Tum apne elawa kisi ur kay makano haweli (kay khandar banne) se kab naseehat hasil karoge? Kahan hain shehenshah , bahadur aur shahsawar, samandaron , khushion aur hawaon par girift rakhne wale Kahan hain? Chehron par tewrian charhane wale mutakabbir kahan hain? Kushada mehlon kay aadi kahan hain? Jinhen qabron ki tangi mein mabhoos kar dia gaya hai, apne libas ko daraz kar kay itra kar chalne wale kahan hain? Apni matti (qabar) mein kapron se uriyan hain, apni umeed aur apne ehel ae ghafil aur apni maut se ghafil kahan hain, maut ki hatheli ne achanak use aa dabocha, amwal jama karne wala kahan hai jiski hifazat ki jarae thi woh salab kar lia gaya aur hifazat karne wale pehre daar ko halak kar dia gaya! Jis shakhs ne dunia kay makro chaal ko jaan lia us par haq hai keh woh use jarak de, jo us kay intiqal ki haqeeqat ko samajhta ho woh usse naseehat hasil kare jise nai’maten mayassar hon woh shukar kare jise darussalam (jannat) ki taraf bulaya jae woh khuwahishat kay samandar ko uboor kare taakeh wahan pohonch sake.
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.
The Pimp and the One Who Permits his Wife to Fornicate
Allah Most High says,”The adulterer cannot have sexual relations with any but an adulteress or an idolatress, and the adulteress,none can have sexual relations with her but an adulterer or an idolater; to the believers such a thing is forbidden.”
(An-Nur: 03)
On the authority of ‘Abdullah Ibn ‘V mar (may Allah be pleased with him) that the Prophet (pbuh) said,”Three persons shall not enter Paradise: The one who is disobedient to his parents, he who lets his wife to fornicate with another, and the woman who imitates men.”¹
He (pbuh) also said,”Three persons are prevented from entering Paradise (by Allah): The drunk, the one who is disobedient to is parents and the pimp who supports the immorality of his wife.”²
Someone who suspects his wife if indecency but pretends not to know because he loves her is not as bad as someone who actually pimps for her. There is no good in a man without jealousy for his rights.
¹Reported by AI-Hakim
²Reported by AI-Nasa’i.
REFERENCE:
BOOK: “MAJOR SINS” OF IMAM SHAMSU ED-DEEN DHAHABI.
Distributed by : www.islambasics.com