36. PAISHAAB SE EHTIYAAT NA KARNA [Not avoiding Urine, Something which the Christians are prone to]
PAISHAB SE EHTIYAT NA KARNA JAB KEH WOH EESAION KA SHI’AAR HAI:
Allah ta’ala ne farmaya:
وَثِيَابَكَ فَطَهِّرْ۞
“Aur apne kapron ko saaf rakhen”
Al-Muddathir 74: 4
Ibne Abbas رضي الله عنهما bayan karte hain Nabi ﷺ do qabron kay pas se guzre tou farmaya: “in donon ko azab dia jaraha hai aur inhen kisi bare gunah ki padash mein azab nahin dia jaraha, in mein se aik tou chughal khaur tha, jab keh dusra paishab se ehtiyat nahin karta tha” [Bukhari: 216; Muslim: 292] ya’ani usse bachta nahin tha.
Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:
“Paishab se bacha karo kyun keh qabar ka umoomi azab issi se hota hai” [Dar qutni: 127/1]
Phir is kay elawa yeh bhi hai keh jo shakhs apne badan aur apne kapron kay baare mein paishab se ehtiyat nahin karta tou uski namaz qubool nahin hoti
Hafiz Abu Na’eem ne الحليه mein shaqi bin mate’ asbahi ki sanad se RasullAllah ﷺ se riwayat kia hai aap ne farmaya:
“4 qisam kay log hain woh jis se aziyat mein mubtala honge, woh usse Jahannumion ko bhi aziyat pohonchaenge, woh kholte Pani aur Jahannum mein daur rahe honge woh tabahio barbadi ki awaz laga rahe honge, Jahannumi aik dusre se kahenge: in logon ka kia haal hai keh inhon ne tou hamari mojoodah takleef mein mazeed izafa kardia hai, farmaya: aik aadmi us par angaron ka taboot band hoga, aik aadmi apni antarian ghaseet raha hoga aur aik Aadmi kay munh se peep aur khoon beh raha hoga aur aik aadmi apna gosht kha raha hoga, farmaya sandooq wale se kaha jaega: kia haal hai, halak hoja, tu ne tou hamari aziat mein mazeed izafa kardia hai? Woh kahega: halakat tou ho chuki aur uski gardan mein logon kay amwal hain, phir us shakhs se kaha jaega jo apni antarian ghaseet raha hoga kia haal hai, halak hoja, tu ne tou hamari aziat mein mazeed izafa kardia tou woh kahega: halak hua, woh paishab karte waqt parwah nahin karta tha keh woh kahan lag raha hai ( woh use dhota nahin tha ) phir us shakhs se kaha jaega jis kay munh mein peep aur khoon behta hoga kia hua, halak hoja, tu ne tou hamari aziat mein mazeed izafa kardia hai? Woh kahega: halak hua, har buri bat dekhta aur usse lazzat hasil karta tha” Aur aik riwayat mein hai: “woh logon kay gosht khata tha aur chughal khauri karta tha” phir us shakhs se kaha jaega jo apna gosht khata tha, halak hua, kia hua, tum ne tou hamari aziat mein mazeed izafa kardia hai? Tou woh kahega: halak hua, logon kay gosht khata tha ya’ani gheebat karta tha “
Ham Allah se us kay fazlo Karam se afwo aafiat ka sawal karte hain kyun keh woh sab se ziada rehem karne wala hai
NASEEHAT:
Ae bandon! Un logon kay karnamon ko yad karo jo guzar gae, un kay anjam par tadabbur karo woh kahan chale gae? Jaan lo keh woh girohon mein taqseem hogae, jo ehle khair the woh tou sa’adat mand ban gae aur jo ehle shar the woh bad naseeb thehre, pas apni jaan ka khayal karo is se pehle keh tum us anjam se mulaqat karo jis se woh ja mile hain
و المرء مثل هلال عند مطلعه
يدو ضئيلاً لطيفا ثم يتسق
یزداد حتى إذا ما تم أعقبه
كر الجديد نقصا لم يمتحق
كان الشباب رداء قد بهجت به
فقد تطاير منه للبلاء خرق
وصات مبتسم جد المشيب به
کالليل ينهض في أعجازه الأفق
عجبت و الدهر لاتفني عجائبه
من راكنين إلى الدنيا وقد صدقوا
وطالما تغصت بالفجع صاحبها
بطارق الفجع و التغيض قد طرقوا
دار لعهد بها الآجال مهلكة
و ذو التجارب فيها خالف فرق
يا للرجال لمخدوع بباطلها
بعد البيان و مغرور بها يثق
اقول و النفس تدعوني لزخرفها
ابن الملوك ملوك الناس و السوق
أين الذين إلى الذاتها جنحوا
قد كان قبلهم عیش و مرتفق
امست مساكنهم قفراً معطلة
كأنهم لم يكونوا قبلها خلقوا
يا أهل لذة دار لا بقاء لها
أن اغتراراً بظل زائل حمق
“Aadmi hilal ki misil hai, tuloo’ hone kay waqt woh patla bareek zahir hota hai phir mazboot hota hai”
,”Woh barhta jata hai hatta keh jab mukammal hojata hai tou rat aur din use Kam karte karte uski pehli halat ki taraf lota dete hain hatta keh woh roposh hojata hai”
“Goya keh jawani chadar hai jis kay zarie se arasta hota hai phir boseedah ho kar us kay tukre urne lagte hain “
“Woh muskurata hua faut hua, burhape ne use kaat dala, Raat ki tarah us kay akhri hisse mein ufaq angrai leta hai “
“Main ne ta’ajjub kia jab keh zamana hai keh us kay ajaaibat khatam nahin hote, unse jo dunia ki taraf maail hain aur unhon ne sach kaha”
“Bohot dyr se us ne apne sathi ki zindagi ko ajeeran kardia, Raat ko aane wali musibat aur ghiazo ghazab kay sath woh maare gae”
” Maut ka jo us kay sath ehed hai woh mohlik hai, tajruba kaar is mein khauf aur ghabrahat ka shikar hain”
” Ae afsos un aadmion kay lie jo is kay baatil se dhoke ka shikar hain, bayan
Kay ba’ad is kay dhoke par aitemad kie hue hain”
“Main kehta hun nafs apni chamak ki taraf mujhe bulaya hai badshah kahan hain, logon aur marketon kay malik kay badshah “
“Woh log kahan hain jo iski lazzaton ki taraf maail hogae, in se pehle bhi zindagi aur aisho ishrat thi”
“In kay masakin weeran be-abad hogae, goya keh woh isse pehle paida hi nahin hue”
“Ae ghar ki lazzat walon! Isko baqa hasil nahin kyun keh zaail hone wale saaey se dhoka khana hamaqat hai.
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.
Not Freeing Oneself of All Traces of Urine
Almighty Allah says {And thy garments keep free from stain!}
(AI-Mudathir: 04)
On the authority of Ibn ‘Abbas (may Allah be pleased with them both) who said that the Prophet (pbuh) passed by two graves and said,
“The two are being tormented, and not for anything excessive: one of them did not free himself of traces of urine, while the other was a talebearer.”¹
The Messenger of Allah (pbuh) said also, “Purify yourselves from the remaining dirty after urination, for most of the torment in the grave is inflected because of inattention about this matter.”²
Assuredly, the acceptance of prayer depends on purifying one’s clothing and body from dirty.
In his Al-Hilyah, AI-Hafiz Abu Na’ifm reported on the authority of Shufai Ibn Mati’ AI-Asbahi that the Messenger of Allah (pbuh) said, “Four men would increase the harms of the people of the Hell-fire; moving from the Hamim and the Jahim (different places in Hell-fire) and pleading for woe and destruction. The people of Hell would ask one another why those men increase our harm.” He (the Messenger) said, “One of the four men is being put in an ark of heated stones, the second one dragging his bowels, the third one vomiting blood and pus while the fourth one is eating his flesh. Then the first one who is being put in on ark of heated stones would be asked about his guilt. Thereupon he would say I used to consume the property of others and my life come to one and without repaying those rights to its people. The same would be done with the second who would explain that he used to neglect washing the remaining dirty off his body after urination. The same would be done with the third one who would declare that he used to enjoy the evil utterance as he enjoys the immoral acts. The same, also, would be done with the fourth who would disclose that he used to backbite and slander others.” ³
¹Reported by AI-Bukhari ²Reported by Ad-DarQutni. ³Mentiond by Abi Abd Ibn Ad-Dunijah in the book of As-Samt. |
REFERENCE:
BOOK: “MAJOR SINS” OF IMAM SHAMSU ED-DEEN DHAHABI.
Distributed by : www.islambasics.com