42. LOGON KI WO BATEIN CHUPKE SE SUNNA JISSAY WO CHUPATAY HAI [Eavesdropping on people & seeking out their secrets]
LOGON KI WOH BAATEN CHUPKE SE SUNNA JINKO WOH CHUPATE HAIN:
Allah ta’ala ne farmaya:
ولا تجسسوا
“Jasoosi mat karo”
(Al Hujurat: 12)
Ibne Jauzi ne farmaya: Abu Zaid, Hasan, dahhak aur Ibne Seeren ne ise haa kay sath تحسسوا parha hai, Abu Ubaidah ne farmaya: التجسس aur التحسس aik hi hai aur woh hai justujoo karna aur isi se jasoosi hai, Yahya Ibne Abi katheer ne farmaya: التجسس jeem kay sath ka ma’aani hai logon mein aib talash karna aur التحسس haa kay sath, iska ma’aani hai logon ki baten ghaur se sunne ki koshish karna
Mufassireen ne farmaya: التجسس ka ma’aani hai musalmanon kay uyoob aur un ki khamion kay baare mein justujoo karna, pas ma’aani hai tum mein se koi apne kisi Bhai Kai aib talash karne ki justujoo na kare taakeh woh un par mutale’ ho jae jinki Allah ne pardah poshi ki hai
Ibne Mas’ood رضي الله عنهما ko bataya gaya : yeh Waleed bin uqbah hai iski darhi se sharab tapakti hai unhon ne farmaya: hamen aib talash karne se mana’ kia gaya hai agar ham par koi cheez zahir hui tou phir ham us par mu’akhizah karenge
RasullAllah ﷺ ne farmaya:
“Jis ne kisi qaum ki bat chupke se sunne ki koshish ki jab keh woh use napasand karte hon tou Roz-e-Qayamat us kay kaanon mein pighla hua seesa dala jaega” [Bukhari: 7042]
Ham Allah se is baare mein panah chahte hain aur us kay pasandeedah umoor kay baare mein taufeeq talab karte hain beshak woh sakhi daata fayyaz hai
NASEEHAT:
Allah kay bandon! Beshak maut ne dastak dedi aur woh qareeb aa pohonchi nufoos to girwi rakhe hue hain, Tumne jama kia aur thak gae, goya keh tum halakaton kay hathon mein ho, jis ne tumhen pakar lia aur salb kar lia kitne hi qabar par tuloo’ hone wale surooj ghuroob ho gae, fana kay chooze! Boseedah jaal nasab kardia gaya hai , Allah kay bandon! Tamam gunah likh lie gae hain aur tamam nufoos apne gunahon aur aa’mal kay badle rehen hain, us ne jo (naik) aa’mal kie woh un kay kaam aenge aur us ne jo (bure) aa’mal kie unka wabal bhi us par hai, umeedon aur jhuti aarzuon se dhoka khane wale! Qabaih se mubarzat karne wale! Halan keh woh nahin janta keh woh kis se barsare paikar hai, hazir badan aur qalbe ghaib rakhne wale! Kia tu pasand karta hai keh tu bhalaion aur husun pasand cheezon se mehroom hojae? Ae woh shakhs! Jiski Umar uski guzargah mein fana hogai aur woh mumtaz logon ki tarah chalte hain, ae woh shakhs jo jawan ho gaya lekin us ne tauba na ki yeh tou bari ajeeb bat hai, kitna ajeeb hai keh matloob Kese so gaya jab keh talib ghafil nahin hua?
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.