Search
Sections
< All Topics
Print

52. PADOSI KO AZIYAT DENA [Harming one’s neighbours]

 PADOSI KO AZIYAT DENA

 

Sahihain mein sabit hai keh Rasulullah ﷺ ne farmaya:

“Allah ki qasam! Wo Momin nahi hosakta, Allah ki qasam! Wo Momin nahi hosakta.”
Arz kiya gaya, Allah kay Rasool ! Kon? Ap ne farmaya: “jis ki shararton se us ka parhosi mehfooz na ho.”

Aur aik riwayat mein hai: “wo shakhs jannat mein nahi jaega, jis ka parosi us ki shararton se mehfuz na ho.” Aur Rasoolullah ﷺ se Allah kay han sab se bare gunah kay bare mein pocha gaya tou ap ne teen khaslaton ka zikar farmaya:

“Ye keh tum Allah ka shareek thehrao halankeh us ne tumhen paida kiya hai, ye keh tum is andeshe kay pesh e nazar apne bache ko qatal kar do keh wo tumhare sath khaega aur ye keh tum apne parhosi ki biwi kay sath zinna karo.”

Aur Hadith mein hai: jo shakhs Allah aur yaum e akhirat par Emaan rakhta ho wo apne parosi ko aziyat na pohonchae.”

Aur padosi teen tarah kay hain:


(1) Qareebi rishte aur Musalman parosi. Us kay teen haq hain, haq hamsaigi haq islam aur haq qarabat
(2) Musalman parosi. Us kay do haq hain, haq hamsaigi aur haq islam
(3) kafir parhosi. Us kay liye aik haq hai. Haq hamsaigi.

Ibne Umar رضي الله عنه ka aik Yahoodi parhosi tha, jab ap bakri zibah karte tou farmate: us mein se hamare Yahoodi parhosi ko bhi bhejo.

Aur marvi hai keh faqeer o muhtaj parhosi, roz e qayamat maal daar parhosi kay sath mu’aliq hoga aur arz karega: Rabb ji ! Is se poch keh is ne apni bhalai ko mujh se kyun roke rakha tha aur us ne apna darwaza mujh sw kyun band kar liya tha. [1]

[1] Asbahani ne Hadith Ibne Umar kay hawale se usse Targheeb o Tarheeb mein zikar kiya hai. Munzir ne is kay za’af ki taraf ishara kiya hai.

Padosi ko chahiye keh woh parosi ki aziyat ko bardasht kare aur ye bhi us kay sath ahsaan karne kay zumre mein ata hai. Aik admi Nabi ﷺ ki khidmat mein hazir hua tou us ne arz kiya Allah kay Rasool ! Mujhe kaise pata chalega keh main Muhsin hon? Ap ne farmaya: “Apne parhosion se poch, agar wo kahen keh tum Muhsin ho tou phir tum Muhsin ho, aur agar wo kahen keh tum bure ho tou tum bure ho.”

Nabi ﷺ se marwi hai keh ap ne farmaya:


“Jo shakhs apne parhosi ki biwi se zinna karne se ziyada halka (kam gunah) hai aur ye keh admi gharon ki chouri kare ye apne parhosi ki chouri karne se ziyada halka (kam gunah) hai.

Abu Huraira رضي الله عنه bayan karte hain, aik admi apne parhosi ki shikayat karne Rasulullah ﷺ ki khidmat mein hazir hua, ap ne usse farmaya: “wo ap kay pas do ya teen martaba aya, phir ap ne farmaya: “jaa aur apna saman raste par rakh do.”

Us ne aise hi kiya, log us kay pas se guzarte aur us ka haal pochte tou wo un ko apne parhosi kay sath mamilat kay bare mein batata, wo us kay parhosi par lanat bhejte aur kehte: Allah us kay sath is tarah is tarah kare aur wo us kay liye bad Duaen karte. Pas us ka parhosi us kay pas aya aur kaha: Bhai ! Apne ghar chalo, aenda ap koi na pasandeedah harkat nahi dekhenge.

Aur ye keh wo apne parosi ki aziyat o takleef bardasht kar le khuwah wo zimme ho, Sahal bin Abdullah Tastari رحمة الله se marvi hai keh un ka aik zi parhosi tha, us kay bait-ul-khala mein aik darar thi jis se nijasat nikal kar Sahal رحمة الله kay ghar girti thi. Sahal رحمة الله ka ye mamool tha keh wo har roz us darar kay neeche bartan rakh dete aur majoosi kay bait-ul-khala se jo kuch girta wo us mein jama rehta, aur wo raat kay waqt jab unhe koi na dekhte tou wo usse bahir phenk ate. Ap ka taweel muddat tak yahi mamool raha hatta keh un ne Abu ayub Ansari ko targheeb dilai, aap ne farmaya:

“Kia main tumhen aise sadqe kay baare mein na bataun jo tumhare lie surkh oonton se behtar hai?”

Unhon ne arz kia’ Allah kay Rasul! Zarur bataen, aap ne farmaya:

“Tum logon kay darmian mail milap Karaya karo jabkeh woh apas mein fasad paida karen aur unko baham qareeb kia karo jabkeh woh baham durian paida karen” [Bazar; Tabrani]

Umme habibah ne riwayat kia hai keh Nabi ﷺ ne farmaya:

“Ibne Adam ka pura kalam us kay khilaf hai , us kay haq mein nahin siwae us kay jo amar bil ma’roof nahi anil munkar ya Allah kay zikar kay muta’alliq ho” [Tabrani]

Marwi hai keh kisi aadmi ne Sufian se kaha: yeh Hadith kitni sakht hai, Sufian ne farmaya: kia tum ne Allah ta’ala ka yeh farman nahin suna?

لَّا خَيْرَ فِى كَثِيرٍ مِّن نَّجْوَىٰهُمْ إِلَّا مَنْ أَمَرَ بِصَدَقَةٍ أَوْ مَعْرُوفٍ

 

“Un logon ki sargoshion mein koi bhalai nahin hoti, us shakhs kay siwa jis ne sadqa karne ya koi naik Kam karne ka hukum dia”

An-Nisa : 114

Pas yeh bilkul wese hi hai

Phir Allah سبحانه و تعالى ne ye ta’leem di keh yeh aa’mal bhi sirf use faida pohonchaenge jo in kay zarie se Allah ta’ala ki razamandi chahta ho, Allah ta’ala ne farmaya

ۚ وَمَن يَفْعَلْ ذَٰلِكَ ٱبْتِغَآءَ مَرْضَاتِ ٱللَّهِ فَسَوْفَ نُؤْتِيهِ أَجْرًا عَظِيمًا

 

“Aur jo shakhs Allah ki Khushnudi mein aisa Kam karega tou ham use ajre Azeem ataa karenge”

An-Nisa : 114

Jiski koi hadd nahin hogi

Hadith mein hai keh : “woh shakhs kazzab nahin jo logon kay darmian mail milap ki bat karta hai, woh behtar chughli khata hai ya behtar bat karta hai” [ Bukhari]

Umme kulsoom bayan karti hain main ne aap ﷺ se nahin suna keh àp ne kisi aisi cheez kay baare mein rukhsat di hojise log bayan karte hain, albattah ap ne 3 umoor mein iski ijazat di hai, larai kay waqt logon kay darmian sulah karane kay lie aur mian biwi kay apas mein guftugu karne kay baare mein

Sahal bin Saad as saa’idi se riwayat hai keh RasullAllah ﷺ ko khabar pohonchi keh bani amr bin auf kay darmian koi sharo ikhtilaf hai tou RasullAllah ﷺ apne Chand sahaba kiram kay sath un kay darmian sulah karane kay lie tashreef le gae

Abu Hurairah bayan karte hain RasullAllah ﷺ ne farmaya: “namaz ki taraf chalne ya logon kay darmian mail milap karane aur musalmanon kay mabain bahami ittehad paida karne se Afzal koi Amal nahin” [1]

Aur RasullAllah ﷺ ne farmaya:

“Jo shakhs kisi do kay darmian mail milap Kara de tou Allah us kay maamle ki Islah farma deta hai aur woh jo kalam karta hai us kay har kalme kay badle mein usko ghulam Azad karne kay barabar sawab ataa karta hai aur jab woh wapas aata hai tou us kay saabiqa aam gunah bakhsh die jate hain [2]
وبالله التوفيق

Ae Allah! Apni meherbani se hamare sath mamla farmana, apni afwo darguzar se hamara tadaruk farmana, ae tamam rehem karne walon mein se ziada rehem karne wale.

 

[1] isbahani ise riwayat kia hai aur munzari ne is kay zo’af ki taraf ishara kia hai

[2] isbahani ne Hadith e Anas se riwayat kia hai aur yeh intihai ghareeb hai

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

 Hurting One’s Neighbor

In the two Sahihs, it is reported that the Messenger of Allah (pbuh) said,

By Allah, he does not believe. By Allah, he does not believe. By Allah, he does not believe.” Someone asked, “Whom, O Messenger of Allah? And he said, “He whose neighbor is not safe from his evil conduct.”¹

In another narration, it is reported that,”The one whose neighbor is not safe from his evil conduct will not enter Paradise.”²

The Messenger of Allah (pbuh) was asked about the greatest of sins and he said, “To ascribe a partner to Allah and He is the one who created you, to kill your son with fear of being fed with you, and to commit fornication with the wife of your neighbor.”³

In another narration, it is reported that,”The one who hurts his neighbor, does not believe in Allah, nor in the Last Day.”⁴

“Neighbors are of three kinds, a kin Muslim neighbor, he has the right of a neighbor, the right of Islam and the right of kinship. The Muslim neighbor, he has the right of a neighbor and the right of Islam. And the disbelieving neighbor, he has the right of a neighbor.”⁵

Ibn ‘Arnr (may Allah be pleased with him) had a Jewish neighbor. Whenever he slaughtered sheep, he used to say, “Carry some of it for our Jewish neighbor.”⁶

It is reported that,”On the Day of Judgment, the poor neighbor will hang himself on to the rich neighbor saying, ‘O Lord!

Ask him why he deprived me of his charity and closed his door before me.”⁷

The neighbor should endure the evil conduct of his neighbor for it is a good treatment to him. A man came to the Prophet (pbuh) and said,

“0 Messenger of Allah, teach me a deed which if I do it, I will enter Paradise. The Prophet said, “Deal with good conduct”. He asked, “How O Messenger of Allah? The Prophet said, ‘Ask your neighbors, if they say that you deal with good conduct, then you are as they said, and if they say that you deal in bad conduct,then you are as they said.”⁸

The Prophet (pbuh) is reported to have said,”Whoever shuts his door before his neighbor because of fear of him or his family and property, he is not a

¹Reported by Al-Bukhari
²Reported by Muslim.
³It is previously mentioned.
⁴Reported by AI-Bukhari.
⁵Reported by AI-Suyuti.
⁶Reported by AI-Bukhari in AI-Adab AI-Mufrad.
⁷Reported by AI-Bukhari in AI-Adab AI-Mufrad.
⁸Reported by AI-Hakim in AI-Mustadrak.

believer. And the one whose neighbor is not safe from his evil conduct is not also a believer.”¹

The Messenger of Allah (pbuh) also said,”For a person, to commit fornication with ten women is lesser than to commit it with the wife of his neighbor and to steal from ten houses is lesser than to steal from the house of his neighbor.”²

 In Sunan Abu Dawud, Abu Hurairah (may Allah be pleased with him) reported that, “Once a man came to the Messenger of Allah (pbuh) complaining about his neighbor to him. The Prophet said,”Go and be patient. He came again twice or thrice. Then the Prophet said, “Go and place your belongings on the road.” The man went and did that. The people passed by him asking him about his affairs. He told them about his neighbor. The people cursed his neighbor saying, “May Allah cause him such and such and supplicated on him. Thereupon his neighbor came to him and said, “0 my brother, come back to your house and you will never see anything you hate again.”³

A person should endure the harms and hurts of his neighbor even if he was a Dhimi (none. Muslim living in Muslim country). Sahl Ibn `Abdullah At- Tustri (may Allah have mercy upon him) reported that, “He had a Dhimi neighbor and from his water closet, there was a hole flowing into the house of Sahl. Sahl used to put a vessel under this flowing hole until all rubbish gathered in it and threw it during the night to conceal himself from the people. Sahl continued to do that for a long period until the time of his death come. He sent for his magian neighbor and summoned him saying, “Enter this house and look into it. He entered and saw the hole with rubbish flowing from it into the vessel and he said, what is this, which I see Sahl said, this is from a long period, I receive it during the day and threw it during the night. The time of my death has come, and I fear that the manners of other people might not endure you, otherwise I would not tell you. So do what do you see. The magian said, O an old man, you treat me in such a way from a long period and I am still indulging in my disbelief? Stretch your hand to me, I testify that there is no god but Allah and that Muhammad is the Messenger of Allah. Then the soul of Sahl was taken.

REFERENCE:
BOOK: “MAJOR SINS” OF IMAM SHAMSU ED-DEEN DHAHABI.
Distributed by : www.islambasics.com
Table of Contents