Search
Sections
< All Topics
Print

67. BURI TADBEER AUR DHOKA DAAHI [Deceit & treachery]

 BURI TADBEER AUR DHOKA DAHI

 

Allah عزوجل ne farmaya:

 

 ۚ وَلَا يَحِيقُ ٱلْمَكْرُ ٱلسَّيِّئُ إِلَّا بِأَهْلِهِۦ ۚ

 

“Aur buri tadbeer karne wale ki tadbeer usi par laut kar parti hai”

Fatir 35 : 43

 

Aur Nabi ﷺ ne farmaya:

 

” Buri tadbeer aur dhoka dahi jahannum mein hai”

 

Aur Aap ﷺ ne farmaya:

“Dhoke baaz , bakheel aur ehsan jaltlane wala jannat mein dakhil nahin hoga“[1]

 

Allah ta’ala ne munafiqeen kar zikar karte hue farmaya:

 يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَهُوَ خَٰدِعُهُمْ

 

“Wo Allah ko dhoka de rahe hain. Halankeh Allah ne un ko dhoke mein daal rakha hai.”


Al-Wahidi رحمة الله ne farmaya: un se us kay dhoke ki waja se, dhoke ka mamila kiya jaega. Aur wo is tarah keh unhe Noor diya jaega jis tarah Mominon ko Noor atta kiya jaega, pas jab wo pull siraat par chalenge tou un ka noor bujha diya jaega aur wo andhere mein reh jaenge.

An-Nisa 4 : 142

 

Aur Aap ﷺ neaik hadith mein farmaya :


“Jahannumi paanch qisam kay hain, aur un mein se aik admi ka zikar kiya jo subah o sham tere ahl aur tere maal kay bare mein tujhe dhoka deta hai.” [Muslim]

 

[1] Al bazar ne hadith Abu Huraira se riwayat hai. Us mein Abdullah bin Abbi Hameed raawi hai jis kay za’af par ijma hai. (Majma al zawaid)

 

REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.

 

Table of Contents