68. MUSALMAANON KI JASUSI KARNA [Spying on muslims & pointing out their weak points]
MUSALMANON KI JASUSI KARNA AUR UN KAY RAAZ BATANA
Haatib bin Abi Balta’ah رضي الله عنه ki hadith mein hai keh Umar رضي الله عنه ne un kay fa’il par unhen qatal karne ka iradah kia tou RasullAllah ﷺ ne un kay badar mein Shareek hone ki wajah se unhen qatal karne se Umar رضي الله عنه ko mana’ farma dia [Bukhari 3007; Muslim 2494]
Jab unki jasusi karne par islamo ehle Islam par qatal ya qaid ya daaka ya is tarah ki kisi cheez ki surat mein kamzori murattab hoti ho tou yeh isi zumre mein ata hai jis ne zameen mein fasad phelane ki koshish ki aur kheti wa nasal ko halak kia tou uska qatal karna muta’ayyan ho gaya aur us par azab sabit ho gaya pas ham Allah ta’ala se afwo aafiat ka sawal karte hain
Har jasus zaruri taur par janta hai keh jab chughal khauri bare muharrikat mein se hai tou jasus ki chughal khauri karna akbaro a’zam hai
Ham is baare mein Allah se panah talab karte hain aur ham afwo aafiat ka sawal karte hain, kyun keh woh bareek been, ba-khabar, sakhi daata hai
REFERENCE:
Book: “Kabeerah Gunah”
Taleef: Shaikh Ul Islam Shams ad-Dīn adh-Dhahabī Rahimahullah.
Urdu Tarjumah: Abu Anas Muhammad Sarwar Gohar.