31. MUSALMAAN BUNYAAD PARAST AUR DAHSHAT GARD HAIN? [Why are so many Muslims fundamentalists and extremists?]
MUSALMAN BUNYAD PARAST AUR DAHSHAT GARD HAIN?
“Musalmano ki aksariyat bunyaad parast aur dahshat gard kyun hai ?’
Ye sawal mazaahib ya alimi umoor ke motalliq kisi bahes mein bilwasta ya belawasta musalmanon ke baare mein kiya jata hai. rasikh al aqidah aur ” bunyad parast ” musalmanon ka zikr tamam zarae iblaag mein bar bar kiya jata hai aur is ke sath sath islam aur musalmanon ke motalliq iftera pardazi ki inteha kar di jaati hai. Darasal yehi bunyadi propaganda musalmanon ke khilaf tashaddud ka bais banta hai. Is ki ek misal okala homa mein hone wale bomb dhamake ki hai jis ke baad American media ne muslim dushmani ki muhim chalai. Ise mashriq- e- wusta ke musalmanon ki sazish qarar diya gaya, jab keh mujrim American fauj ka ek sipahi tha.
Aiyye ! ham ” dahshat gardi” aur ” bunyad parasti ” ke ilzamaat ka tajurba karen:
BUNYAD PARAST KI TAREEF
Bunyaad parast aise shaks ko kahte hain jo apne aqide ya nazarye ki mobadiyat, yani bunyadi baaton se puri tarah wabasta ho aur un par puri tarah karband ho. Agar ek shaks acha doctor
banna chahta hai to usey tib ki mubadiyat ka ilm hona aur un par us ka amal paira hona zaruri hai, aur ek achhe riyazi dan ke liye zaruri hai keh woh riyazi ki mubadiyaat se achi tarah waqif ho, goya ek doctor ko tib mein aur ek riyazi dan ko riyazi ke shobe me fundamentalist ya bunyad parast hona chahiye, isi tarah ek science dan ko science ke bare me mokammal malumat honi chahiye. Dusre alfaz mein usey science ke maidan mein bunyad parast hona chahiye isi tarah deen ke mamle mein bhi ek shaks ka bunyad parast hona zarori hai.
TAMAM BUNYAD PARAST EK JAISE NAHI
Haqiqat yeh hai keh tamam bunyad parast ek jaise nahi aur na un ko ek jaisa kaha ja sakta hai. Tamaam bunyad paraston ko achhe ya bure grohon mein taqsim nahi kiya ja sakta. Kisi bunyad parast ki kisi guroh se wabastagi ka inhesar us ke motalliqa shobe aur sargarmi par hai jis mein woh bunyad parasti ka mozahira kare. Ek bunyad parast daku ya chor apne peshe mein bunyad parast hota hai. Jo moashre ke liye taklif ka bais banta hai aur is liye na pasandida thehrta hai jabke us ke barakas ek bunyad parast doctor moashre ke liye bahut mufeed hota hai aur bahut moazziz bhi.
MUJHE BUNYAD PARAST HONE PAR FAKHR HAI
Main ek bunyad parast musalman hun aur Allah ke fazal se islam ke bunyadi usulon ko janne aur un par amal karne ki koshish karta hun. Ek sahih musalman ko bunyad parast hone par sharminda nahin hona chahiye.
Main apne bunyad parast musalman hone par fakhr karta hun. Kyunke main jaanta hun keh Islam ke bunyadi usool na sirf insaniyat balke tamam duniya ke liye mufeed hain. Islam ka ek bhi bunyadi usool aisa nahi jo tamam bani nauh insan ke mafad mein na ho, ya un ke liye nuksan deh ho. Bahot se log islam ke baare mein galat tasawurat rakhte hain aur yeh kahte hain keh islam ki bahot si talimat theek nahi aur nainsafi par mabni hain. Ye andaz- e- fikr islam ke baare mein galat aur na kaafi malumat ki waja se hey. Agar koi khule dil-o-dimag se islam ki talimat ka jayeza le to woh is haqiqat tak pahonche bagair nahi rah sakta keh islam inferadi aur ijtemayi dayeron mein yaksan tor par fayda mand hai.
BUNYAD PARAST KA LUGWI MATLAB
Websters ki angrezi dictionary ke mutabiq Fundamentalism ya bunyad parasti ek tahrik thi jo biswin sadi ke shuru mein American protestants ke andar uthi. Ye tahrik jadidiyat ke khilaaf radd-e-amal thi aur is ke sath sath woh log sirf aqayed aur akhlaq balke tarikhi record ke hawale se bhi bibal ke galtiyon se paak hone par zor dete the. Woh is par bhi zor dete the keh bibal ka matan hu bahu khuda ke alfaz hain. Is tarah bunyad parasti ek aisi istelah hai jo sab se pahle isaiyon ke ek groh ke liye istemal ki gayi jo yaqeen rakhte the keh bibal lafz b lafz khuda ka kalaam hai aur is mein koi galti ya tahrif nahi.
Lekin ab Oxford Dictionary ke motabiq ” bunyad parasti ” ka matlab hai :
Kisi mazhab , khaas taur par islaam , ke qadeem ya bunyadi nazariyat par sakhti se karband hona. ”
Yun magribi danishwaron aur media ne ” bunyad parasti ” ki istelah ko isaiyat se alag kar ke khaas taur par islam se wabasta kar diya hai. Aaj jab koi bunyad parast ki istelah istemal karta hai to foran us ke zehen mein ek musalman ka tasawwur aata hai jo us ke khayal men dahshat gard hai.
HAR MUSALMAN KO “DAHSHAT GARD” HONA CHAHIYE
Har musalmaan ko “dahshat gArd ” hona chahiye. Dahshat gard aise shaks ko kahte hain jo dahshat phailane ka baais ho. Jab koi daku kisi police wale ko dekhta hai to woh dahshat zada ho jata hai, goya daku ke liye police wala dahshat gard hai, isi tarah har musalman ko chor, daku aur zaani jaise samaaj dushman Anasir ke liye dahshat gard hona chahiye, lekin darhaqiqat ek musalman be gunah logon ke liye aman aur salamti ka bais hota hai.
DAHSHAT GARD YA MOHIBB-E-WATAN?
Azadi Hind se pahle angrezon ki hukmarani ke zamane mein ba’z mujhahidin-e- azaadi jo adam tashadud ke haami nahi the, unhen angrezon ki hukumat ” dahshat gard ” ke naam se mosoom karti thi lekin aam hindustaniyon ke nazdik tashadud par mabni sargarmiyon mein masroof yeh afrad mohibbe watan the. Yun in logon ki sargarmiyon ko fariqain ki taraf se mukhtalif naam diye gye. Woh log jo ye samajhte the keh hindustan par hukumat karna angrezon ka haqq hai, woh un logon ko dahshat gard kahte the jab keh dusre log jin ka khayal tha keh angrezon ko hindustan par hukumat karne ka koi haqq nahi, unhon ne un logon ko mohibbe watan aur mujahide aazadi qarar diya. Pas ye nehayat zaruri hai keh kisi shaks ke bare mein koi faisla dene se pahle uski baat suni jaye. Dono taraf ke dalail sune jayen, surat e haal ka tajurba kiya jaye, phir us shaks ki daleel aur maqsad ko pesh e nazar rakh kar us ke motabiq us ke barey mein raye qaim ki jaye.
ISLAM KA MATLAB SALAMATI HAI
Lafz islam ” salaam ” se nikla hai jis ka matlab hai salamati.
ye aman ka mazhab hai jis ke bunyadi usool us ke perokaron ko talqeen karte hain keh woh duniya mein aman qaim karen aur use farog den.
Chunancha har musalman ko bunyad parast hona chahiye. Us ko aman ke deen islam ke bunyadi usoolon par amal karna chahiye aur usey sirf samaj dushman anasir ke liye dahshat gard hona chahiye take moashre mein aman aur dal-o-insaaf ko farog mile.
Why are so many Muslims fundamentalists and extremists?
This question is often thrown at Muslims, directly or indirectly, during discussions on religion or world affairs due to the fact that false stereotypes and misinformation about Islam and Muslims are disseminated in the media.
“Islamic extremism” is being repeated incessantly by journalists, writers and politicians in an attempt to define things from their own particular perspective. The word “extremist” implies that someone stands far away from the accepted central norm, meaning that he is immoderate, a label that obviously gives expression to negative feelings.
Extremism is something blameworthy in Islam, as it means deviation from the moderation of Islamic teachings or from the correct method of applying them. Although the extremist might present his arguments from an Islamic point of view or be motivated by religious feelings, it remains an unacceptable position according to the Qur’an and guidance of Prophet Muhammad. Consequently, it has been condemned by all reliable Muslim scholars.
Extremism is bred by oppression. The most fertile environment for its proliferation is one where people are persecuted, repressed and denied their natural human rights, making them fearful, angry and emotionally unstable. In spite of this, Muslims are prohibited from allowing emotion to govern their behavior or acting on their own understanding of religious texts. Rather, they are under strict obligation to take their guidance from qualified scholars regarding the interpretation of those texts and their application to critical contemporary situations.
A great deal of attention has been given in Western media recently to the “threat of Islamic fundamentalism.” The term “fundamentalist” reflects an intent to stigmatize those Muslims who adhere to the basic fundamental principles of Islam and pattern their lives accordingly. While a practicing Jew is called “orthodox” and a practicing Christian, Hindu or Buddhist “devout,” a practicing Muslim is often referred to as a “fundamentalist.”
So what, exactly, is a fundamentalist? It is someone who strictly adheres to the fundamental principles of his religion or his profession. For example, to be a good doctor one must know and practice the fundamentals of medicine. To be a good mathematician, one must know and practice the fundamentals of mathematics. Similarly, to be a good Muslim one must know and practice the fundamentals of
Islam.
The fundamentals of Islam include all noble qualities such as honesty, sincerity, chastity, generosity, and compassion. And they include the moderation which God has enjoined. A true Muslim is pleased to be a fundamentalist because he knows that the fundamentals of Islam are beneficial to the human race as a whole. If one analyzes the teachings of Islam with an open mind, he cannot escape the fact that they are full of benefits both for individuals and their societies.
REFERENCE:
BOOK: “CLEAR YOUR DOUBTS ABOUT ISLAM”
COMPILED BY : SAHEEH INTERNATIONAL
مسلمان بنیاد پرست اور دہشت گرد ہیں؟
’’مسلمانوں کی اکثریت بنیاد پرست اور دہشت گرد کیوں ہے؟‘‘
یہ سوال مذاہب یا عالمی امور کے متعلق کسی بحث میں بالواسطہ یا بلاواسطہ مسلمانوں کے بارے میں کیا جاتا ہے۔ راسخ العقیدہ اور’’بنیاد پرست‘‘ مسلمانوں کا ذکر تمام ذرائع ابلاغ میں بار بار کیا جاتا ہے اور اس کے ساتھ ساتھ اسلام اور مسلمانوں کے متعلق افترا پردازی کی انتہا کر دی جاتی ہے۔ دراصل یہ بے بنیاد پروپیگنڈہ مسلمانوں کے خلاف امتیاز اور تشدد کا باعث بنتا ہے۔ اس کی ایک مثال اوکلا ہوما میں ہونے والے بم دھماکے کی ہے جس کے بعد امریکی میڈیا نے مسلم دشمنی کی مہم چلائی۔ اسے مشرقِ وسطیٰ کے مسلمانوں کی سازش قرار دیا گیا جبکہ مجرم امریکی فوج کا ایک سپاہی تھا۔
آئیے! ہم ’’دہشت گردی‘‘ اور ’’بنیاد پرستی‘‘ کے الزامات کا تجزیہ کریں:
بنیاد پرست کی تعریف
بنیاد پرست ایسے شخص کو کہتے ہیں جو اپنے عقیدے یا نظریے کی مبادیات ،یعنی بنیادی باتوں سے پوری طرح وابستہ ہو اور ان پر پوری طرح کاربند ہو۔ اگر ایک شخص اچھا ڈاکٹر بننا چاہتا ہے تو اسے طب کی مبادیات کا علم ہونا اور اُن پراس کا عمل پیرا ہونا ضروری ہے۔ اور ایک اچھے ریاضی دان کے لیے ضروری ہے کہ وہ ریاضی کی مبادیات سے اچھی طرح واقف ہو۔ گویا ایک ڈاکٹر کو طب میں اور ایک ریاضی دان کو ریاضی کے شعبے میں فنڈامنٹلسٹ (Fundamentalist) یابنیاد پرست ہونا چاہیے، اسی طرح ایک سائنسدان کو سائنس کے بارے میں مکمل معلومات ہونی چاہئیں۔ دوسرے الفاظ میں اُسے سائنس کے میدان میں بنیاد پرست ہونا چاہیے، اِسی طرح دین کے معاملے میں بھی ایک شخص کا بنیاد پرست ہونا ضروری ہے۔
تمام بنیاد پرست ایک جیسے نہیں
حقیقت یہ ہے کہ تمام بنیاد پرست ایک جیسے نہیں اور نہ ان کو ایک جیسا کہا جا سکتا ہے۔ تمام بنیاد پرستوں کو اچھے یا بُرے گروہوں میں تقسیم نہیں کیا جا سکتا۔ کسی بنیاد پرست کی کسی گروہ سے وابستگی کا انحصار اُس کے متعلقہ شعبے اور سرگرمی پر ہے جس میں وہ بنیاد پرستی کا مظاہرہ کرے۔ ایک بنیاد پرست ڈاکو یا چور اپنے پیشے میں بنیاد پرست ہوتا ہے جو معاشرے کے لیے تکلیف کا باعث بنتا ہے اور اس لیے نا پسندیدہ ٹھہرتا ہے جبکہ اس کے برعکس ایک بنیاد پرست ڈاکٹر معاشرے کے لیے بہت مفید ہوتا ہے اور بہت معزز بھی۔
مجھے بنیاد پرست ہونے پر فخر ہے
میں ایک بنیاد پرست مسلمان ہوں اور اللہ تعالیٰ کے فضل سے اسلام کے بنیادی اصولوں کو جانتا اور اُن پر عمل کرنے کی کوشش کرتا ہوں۔ ایک صحیح مسلمان کو بنیاد پرست ہونے پر شرمندہ نہیں ہونا چاہیے۔ میں اپنے بنیاد پرست مسلمان ہونے پر فخر کرتا ہوں کیونکہ میں جانتا ہوں کہ آج جب کوئی بنیاد پرست کی اصطلاح استعمال کرتا ہے تو فوراً اس کے ذہن میں ایک مسلمان کا تصور آتا ہے جو اس کے خیال میں دہشت گرد ہے۔
ہر مسلمان کو ’’دہشت گرد‘‘ ہونا چاہیے
ہر مسلمان کو’’دہشت گرد‘‘ ہونا چاہیے۔ دہشت گرد ایسے شخص کو کہتے ہیں جو دہشت پھیلانے کا باعث ہو۔ جب کوئی ڈاکو کسی پولیس والے کو دیکھتا ہے تو وہ دہشت زدہ ہو جاتا ہے۔ گویا ڈاکو کے لیے پولیس والا دہشت گرد ہے، اسی طرح ہر مسلمان کو چور، ڈاکو اور زانی جیسے سماج دشمن عناصر کے لیے دہشت گرد ہونا چاہیے۔ جب ایسا سماج دشمن شخص کسی مسلمان کو دیکھے تو اُسے دہشت زدہ ہو جانا چاہیے۔ یہ ٹھیک ہے کہ لفظ ’’دہشت گرد‘‘ عام طور پر ایسے شخص کے لیے استعمال ہوتا ہے جو عام لوگوں کے لیے خوف اور دہشت کا باعث ہو لیکن سچے اور صحیح مسلمان کو صرف مخصوص لوگوں کے لیے دہشت گرد ہونا چاہیے، یعنی سماج دشمن عناصر کے لیے نہ کہ عام بے گناہ لوگوں کے لیے۔ درحقیقت ایک مسلمان بے گناہ لوگوں کے لیے امن اور سلامتی کا باعث ہوتا ہے۔
دہشت گرد یا محبِ وطن کون؟
آزادیٔ ہند سے پہلے انگریزوں کی حکمرانی کے زمانے میں بعض مجاہدینِ آزادی جو عدم تشدد کے حامی نہیں تھے، انھیں انگریزوں کی حکومت ’’دہشت گرد‘‘ کے نام سے موسوم کرتی تھی لیکن عام ہندوستانیوں کے نزدیک تشدد پر مبنی سرگرمیوں میں مصروف یہ افراد محبِّ وطن تھے۔ یوں ان لوگوں کی سرگرمیوں کو فریقین کی طرف سے مختلف نام دیے گئے۔ وہ لوگ جو یہ سمجھتے تھے کہ ہندوستان پر حکومت کرنا انگریزوں کا حق ہے، وہ ان لوگوں کو دہشت گرد کہتے تھے جبکہ دوسرے لوگ جن کا خیال تھا کہ انگریزوں کو ہندوستان پر حکومت کرنے کا کوئی حق نہیں ، انھوں نے ان لوگوں کو محبِ وطن اور مجا ہدِ آزادی قرار دیا۔
پس یہ نہایت ضروری ہے کہ کسی شخص کے بارے میں کوئی فیصلہ دینے سے پہلے اُس کی بات سُنی جائے۔ دونوں طرف کے دلائل سُنے جائیں، صورتِ حال کا تجزیہ کیا جائے، پھر اُس شخص کی دلیل اور مقصد کو پیش نظر رکھ کر اس کے مطابق اُس کے بارے میں رائے قائم کی جائے۔
اسلام کا مطلب سلامتی ہے
لفظ اسلام ’’سلام‘‘ سے نکلا ہے جس کا مطلب ہے سلامتی۔ یہ امن کا مذہب ہے جس کے بنیادی اصول اس کے پیروکاروں کو تلقین کرتے ہیں کہ وہ دُنیا میں امن قائم کریں اور اسے فروغ دیں۔
چنانچہ ہر مسلمان کو بنیاد پرست ہونا چاہیے۔ اس کو امن کے دین اسلام کے بنیادی اصولوں پر عمل کرنا چاہیے اور اسے صرف سماج دشمن عناصر کے لیے دہشت گرد ہونا چاہیے تاکہ معاشرے میں امن اور عدل و انصاف کو فروغ ملے۔