Search
Sections
< All Topics
Print

35. ISLAAM AUR MUSALMAANON KE AMAL MEIN WAZEH FARQ KIYUN? [If Islam is such a good religion, why do we find many Muslims dishonest, unreliable and lazy?]

ISLAM AUR MUSALMANON KE AMAL MEIN WAZEH FARQ KYUN ?

“Agar Islam TV behtrin mazhab hai to bahot se musalman bey iman kyun hain aur dhokey baazi, rishwat aur munashshiyaat faroshi mein kyun mulawwis hain?” 

Islam bilashubah behtrin mazhab hai lekin media maghrib ke haath mein hai jo Islam se khaufzada hai. Media musalsal Islam ke khilaaf khabren nashar karta aur ghalat malumat pahonchata hai. Woh Islam ke barey mein ghalat tassur pesh karta hai, ghalat hawaley deta hai aur waqe’at ko barha charha kar bayaan karta hai. Jab kisi jagah koi bomb phat-ta hai to baghair kisi suboot ke sab se pahle musalmanon par ilzaam laga diya jata hai. Wo ilzaam khabron mein sab se ziyada numayan hota hai lekin ba’ad mein jab yeh pata chalta hai keh us ke zimmedar ghair muslim the to yeh ek ghair ahem aur ghair numayan khabar ban kar reh jati hai. Isi tarah agar koi pachaas baras ka musalman kisi pandra sala larki se us ke ijaazat se shaadi karta hai to maghribi akhbarat mein woh pahle safhey ki khabar banti hai, lekin jab koi 50 sala ghair muslim 6 sala larki ki ismat dari karta hai to yeh saniha andar ke safhaat mein ek mamooli si khabar ke tor par shaaye hota hai. America mein rozana ismat dari ke 2713 waqe’at pesh aatey hain lekin yeh khabron mein jagah nahi patey kyun keh yeh americon ki tarz e zindagi ka ek hissa hain. 

HAR MO’AASHRE MEIN NAKARAH LOG HOTEY HAIN 

Main is baat se bakhabar hon keh aise musalman yaqinan maujood hain jo dayanat-dar nahi aur dhoke bazi aur dusri mujrimana sargarmiyon mein mulawwis hain, lekin media yeh sabit karta hai keh sirf musalman hi un ka irtekaab karte hain, halan keh aise afraad aur jaraim duniya ke har mulk aur har mo’ashre mein hote hain aur main yeh bhi janta hon keh bahot se musalman ghair muslimon ke sath mil kar sharab noshi karte hain. 

 
MUSLIM  MO’AASHRE  KI MAJMOOI HAALAT BEHTAR HAI

Agarche musalman mo’ashre mein bhi kali bheren maujood hain magar majmooi tor par musalmanon ka mo’ashra duniya ka behtrin mo’ashra hai. Hamara mo’ashra duniya ka woh sab se bara mo’ashra hai jo sharab noshi ke khilaaf hai, yani hamarey han aam musalman sharab nahi peetey. Majmui tor par hamara hi mo’ashra hai jo duniya mein sab se ziyada khairaat karta hai, aur jahan tak haya, matanat , insaani aqdaar aur ikhlaqiyaat ka ta’alluq hai duniya ka koi mo’ashra un ki misaal pesh nahi kar sakta. Bosnia , Iraq aur Afghanistan mein musalman qaidiyon se Esaiyon ka sulook aur Bartanwi khatoon sahafi ke saath taliban ke bartao mein farq saaf zaahir hai. 

CAR KO DRIVER SE NA PARAKHYE 

Agar aap janna chahen keh Mercedes car ka naya model kaisa hai aur ek aisa shakhs jo driving nahi janta steering par baith jaaye aur gaari kahin de maare to aap kis ko ilzaam denge? car ko ya driver ko? fitri baat hai keh aap driver ko ilzam denge. Yeh dekhne ke liye keh car kitni achi hai, driver ko nahi balke car ki salahiyat aur us ke mukhtalif pahlu’on ko dekhna chahiye keh yeh kitni tez chalti hai, indhan kitna istemal karti hai, kitni mahfooz hai waghairah waghairah. 

Isi tarah agar yeh baat mehez daleel key tor par maan bhi li jaye keh musalman kharaab hain to bhi ham Islam ko is ke pairokaron se nahi jaanch sakte, agar aap yeh dekhna chahte hain keh Islam kitna acha hai to usey us ke mustanad zaraye se parkhen, yaani Qur’an majeed aur sahih ahadith se ! 

 
ISLAM KO MOHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI ZAAT E GARAMI SE PARKHEN

Agar aap amli tor par yeh dekhna chahen ke car kitni achi hai to us ke steering wheel par kisi maahir driver ko baithaen, isi tarah yeh dekhne ke liye keh Islam kitna acha deen hai to us ka behtrin tariqa yeh hai keh ham Allah ke aakhri paighambar Mohammad sallallahu alaihi wasallam ko samney rakh kar dekhen. Musalmanon ke ilawa bahot se dayanatdar aur ghair muta’assub ghair muslim mo’arrikhon ne alaniyah kaha hai keh hazrat Mohammad sallallahu alaihi wasallam behtrin insan the. Maikal aej haart ne “taarikh par asar andaz hone wale 100 insan” ke unwaan se kitaab likhi jis mein sar e fehrist Paighambar e Islam Mohammad sallallahu alaihi wasallam ka ism e garami hai, ghair muslimon ki aur bhi bahut si misalen hain jin mein unhon ne Nabi sallallahu alaihi wasallam ki bahot zyada tareef ki hai, maslan : Thomis carlyle, la modern waghaira. 

If Islam is such a good religion, why do we find many Muslims dishonest, unreliable and lazy?

 

Islam came as a message of guidance from God to all creation at a time when ignorance and corruption were universal. It opened peoples‟ minds and souls to learning, development, refinement and morality. The achievements of Islamic thought in that early period were sufficient to bring light, guidance and knowledge to humanity.

However, as among every other people, there are indeed some Muslims who are heedless, undependable, corrupt and selfish, and the media projects this stereo type about Muslims in particular. It can be readily noted that whenever an adherent to any other faith commits a crime, the media seldom brings up the issue of religion, but when a Muslim is involved, it is Islam that is blamed and portrayed in a negative light before public opinion.

The fact cannot be denied that many Muslims today are unmindful of the teachings of their religion, due either to a lack of religious knowledge or to various worldly inducements and attractions. But even if one recognizes that some Muslims may be dishonest, immoral or impulsive, he should not judge Islam by its nonconforming or disobedient members, but rather by those who conscientiously adhere to its teachings. Since Islam categorically forbids such evils as lying, cheating and negligence, the wrongdoer must be blamed for his crimes rather than the religion. One should instead examine the system itself, understand its principles and disregard the acts of those who have serious deficiencies in their knowledge, beliefs and practice.

While today‟s Muslim societies are not model ones by any means, they still enjoy a comparatively stable family life, absence of delinquency, low crime rates, greater freedom from drugs and alcoholism, as well as the warmth of brotherhood, generosity and mutual aid. It may be observed that taken as a whole, the Muslim community

produces the best citizens in any society. As a matter of religious observance, the majority avoids the consumption of alcohol and drugs, eliminating many intoxicant-related crimes. Collectively, Muslims are the community which gives the maximum amount of charity in the world. And no community can equal Muslims where modesty, sobriety and human ethics are concerned.

Islam may be fairly and justly assessed not by negative stereotypes portrayed by the media, but by what its authentic sources contain and by the practice of the most excellent follower of the religion, Prophet Muhammad. There have been a number of unbiased non-Muslim historians who have declared that Muhammad was an exemplary human being. It is his pattern of life that demonstrates the true Islamic ideal and example to be followed by Muslims.

 

REFERENCE:
BOOK: “CLEAR YOUR DOUBTS ABOUT ISLAM”
COMPILED BY : SAHEEH INTERNATIONAL

اسلام اور مسلمانوں کے عمل میں واضح فرق کیوں؟

 

 

’’اگر اسلام بہترین مذہب ہے تو بہت سے مسلمان بے ایمان کیوں ہیں اور دھوکے بازی، رشوت اور منشیات فروشی میں کیوں ملوث ہیں؟‘‘

 

اسلام بلاشبہ بہترین مذہب ہے لیکن میڈیا مغرب کے ہاتھ میں ہے جو اسلام سے خوفزدہ ہے۔ میڈیا مسلسل اسلام کے خلاف خبریں نشر کرتا اور غلط معلومات پہنچاتا ہے۔ وہ اسلام کے بارے میں غلط تاثر پیش کرتاہے، غلط حوالے دیتا ہے اور واقعات کو بڑھا چڑھا کر بیان کرتا ہے۔ جب کسی جگہ کوئی بم پھٹتا ہے تو بغیر کسی ثبوت کے سب سے پہلے مسلمانوں پر الزام لگا دیا جاتا ہے۔ وہ الزام خبروں میں سب سے زیادہ نمایاں ہوتا ہے۔ لیکن بعد میں جب یہ پتہ چلتا ہے کہ اس کے ذمہ دار غیر مسلم تھے تو یہ ایک غیر اہم اور غیر نمایاں خبر بن کر رہ جاتی ہے،اسی طرح اگر کوئی پچاس برس کا مسلمان کسی پندرہ سالہ لڑکی سے اس کی اجازت سے شادی کرتا ہے تو مغربی اخبارات میں وہ پہلے صفحے کی خبر بنتی ہے۔ لیکن جب کوئی 50 سالہ غیر مسلم 6 سالہ لڑکی کی عصمت دری کرتا ہے تو یہ سانحہ اندر کے صفحات میں ایک معمولی سی خبر کے طور پر شائع ہوتا ہے۔ امریکہ میں روزانہ عصمت دری کے 2713 واقعات پیش آتے ہیں لیکن یہ خبروں میں جگہ نہیں پاتے کیونکہ یہ امریکیوں کی طرزِ زندگی کا ایک حصہ ہیں۔

ہر معاشرے میں ناکارہ لوگ ہوتے ہیں

میں اس بات سے باخبر ہوں کہ ایسے مسلمان یقینا موجود ہیں جو دیانتدار نہیں اور دھوکے بازی اور دوسری مجرمانہ سرگرمیوں میں ملوث ہیں۔ لیکن میڈیا یہ ثابت کرتا ہے کہ صرف مسلمان ہی ان کا ارتکاب کرتے ہیں، حالانکہ ایسے افراد اور جرائم دنیا کے ہر ملک اور ہر معاشرے میں ہوتے ہیں۔ اور میں یہ بھی جانتا ہوں کہ بہت سے مسلمان بلا نوش ہیں اور غیر مسلموں کے ساتھ مل کر شراب نوشی کرتے ہیں۔

مسلم معاشرے کی مجموعی حالت بہتر ہے

اگرچہ مسلمان معاشرے میں بھی کالی بھیڑیں موجود ہیں مگر مجموعی طور پر مسلمانوں کا معاشرہ دنیا کا بہترین معاشرہ ہے۔ ہمارا معاشرہ دنیا کا وہ سب سے بڑا معاشرہ ہے جو شراب نوشی کے خلاف ہے، یعنی ہمارے ہاں عام مسلمان شراب نہیں پیتے۔ مجموعی طور پر ہماراہی معاشرہ ہے جو دنیا میں سب سے زیادہ خیرات کرتا ہے۔ اور جہاں تک حیا، متانت، انسانی اقدار اور اخلاقیات کا تعلق ہے دنیا کا کوئی معاشرہ ان کی مثال پیش نہیں کر سکتا۔ بوسنیا، عراق اور افغانستان میں مسلمان قیدیوں سے عیسائیوں کا سلوک اور برطانوی خاتون صحافی کے ساتھ طالبان کے برتاؤ میں واضح فرق صاف ظاہر ہے ۔

کار کو ڈرائیور سے نہ پرکھیے

اگر آپ جاننا چاہیں کہ مرسیڈیز کار کا نیا ماڈل کیسا ہے اور ایک ایسا شخص جو ڈرائیونگ نہیں جانتا سٹیرنگ پر بیٹھ جائے اور گاڑی کہیں دے مارے تو آپ کس کو الزام دیں گے؟ کار کو یا ڈرائیور کو؟ فطری بات ہے کہ آپ ڈرائیور کو الزام دیں گے۔ یہ دیکھنے کے لیے کہ کار کتنی اچھی ہے، ڈرائیور کو نہیں بلکہ کار کی صلاحیت اوراس کے مختلف پہلوئوں کو دیکھنا چاہیے کہ یہ کتنی تیز چلتی ہے، ایندھن کتنا استعمال کرتی ہے، کتنی محفوظ ہے وغیرہ وغیرہ۔

اسی طرح اگر یہ بات محض دلیل کے طور پر مان بھی لی جائے کہ مسلمان خراب ہیں تو بھی ہم اسلام کو اس کے پیروکاروں سے نہیں جانچ سکتے۔ اگر آپ یہ دیکھنا چاہتے ہیں کہ اسلام کتنا اچھا ہے تو اُسے اس کے مستند ذرائع سے پرکھیں، یعنی قرآنِ مجید اور صحیح احادیث سے!

اسلام کو محمد صلی اللہ علیہ وسلم کی ذاتِ گرامی سے پرکھیں

اگر آپ عملی طور پر یہ دیکھنا چاہیں کہ کار کتنی اچھی ہے تو اس کے سٹیرنگ وہیل پر کسی ماہر ڈرائیور کو بٹھائیں، اسی طرح یہ دیکھنے کے لیے کہ اسلام کتنا اچھا دین ہے تو اس کا بہترین طریقہ یہ ہے کہ ہم اللہ کے آخری پیغمبر محمد صلی اللہ علیہ وسلم کو سامنے رکھ کر دیکھیں۔ مسلمانوں کے علاوہ بہت سے دیانتدار اور غیر متعصب غیر مسلم مؤرخوں نے علانیہ کہا ہے کہ حضرت محمد صلی اللہ علیہ وسلم بہترین انسان تھے۔ مائیکل ایچ ہارٹ نے ’’تاریخ پر اثر انداز ہونے والے سو انسان‘‘ کے عنوان سے کتاب لکھی جس میں سرفہرست پیغمبر اسلام محمد صلی اللہ علیہ وسلم کا اسم گرامی ہے۔ غیر مسلموں کی اور بھی بہت سی مثالیں ہیں جن میں انھوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم کی بہت زیادہ تعریف کی ہے، مثلاً: تھامس کارلائل، لامارٹن وغیرہ۔

Table of Contents