Search
Sections
< All Topics
Print

25. ISLAMI HUQOOQ [Human rights in Islam]

ISLAMI HUQOOQ

 

Sawal:
Islam mein kon se aham huqooq hain jin ka deen-e-Islam ehtram karta hai ?
Jawab ka matan

Alhamdulillah

 

❁ Islami huqooq to bahot se hain un mein aham yeh hain:

 

➤ Allah Ta’la Ka Haq: 

Allah Ta’la ki apne bandon par be-shumar ne’maten hain aur har ne’mat par Allah Ta’la ka shukr wajib hai to Allah Ta’la ke apne bandon par bahot se huqooq hain jin mein bahot hi ahmiyat ke hamil zikr kiye jate hain:

 

1: TAUHEED: Tauheed yeh hai keh Allah Ta’la ko Us ki zaat-o-sifaat aur asma-o-af’al mein yakta-o-akela mana jaye aur yeh e’tqaad rakhha jaye keh beshak Allah Wahdahu hi Rabb aur Maalik aur sare moamlaat mein tasarruf karne wala aur rizq dene wala Wohi hai jis ke haath mein badshahi hai aur Woh har cheez par Qadir hai jaisa keh Allah Tabarak-o-Ta’la ka farman hai:

 

{ BA BARKAT HAI WOH ZAAT JIS KE HATH MEIN BADSHAHI HAI AUR WOH HAR CHEEZ PAR QADIR HAI } Al-Mulk/(1)

 

2: IBADAT: Aur ibadat yeh hai keh Us Allah Wahdahu hi ki ibadat ki jaye kyun keh Woh un ka Rabb aur un ka Khaliq aur Raziq hai.

 

Aur isi tarah hai keh ibadat ki sari ki sari anwa-o-iqsaam sirf aur sirf Allah Wahdahu La Sharek ke liye hi khas ki jaen maslan dua aur zikr aur madad-o-isti’ana aur istighasa aur Usi ke samne tazleel-o-khuzu’ ikhtiyar kiya jaye aur Usi se umeed rakhhi jaye aur Usi se dar aur khauf khaya jaye aur Usi ke liye nazr-o-niyaz bhi di jaye aur zabh waghaira bhi Usi ke nam ka ho waghaira.

 

Allah Subhanahu Wa Ta’la ka farmaan hai:

 

{ AUR TUM ALLAH HI KI IBADAT KARO AUR US KE SATH KISI KO BHI SHAREEK NA THHEHRAO } Al-Nisa’a/(32)

 

3: SHUKR: Sari makhlooq par Allah Ta’la hi ne’mten dene aur ehsaan karne wala hai is liye un ke zimme in ne’mton par Allah Ta’la ka apni zabanon aur dilon aur a’zaa ke sath shukr karna wajib aur zaruri hai aur woh shukr Allah Ta’la ki un ne’maton par Us ki hamd-o-ta’reef aur un ne’maton ko Alah Ta’la ki ita’t-o-farmanbardari aur un ashiya’ mein sarf karna chahiye jo keh Allah Ta’la ne halaal qaraar di hain. 

 

Farman-e-Bari Ta’la : 

 

{ TO TUM MERA ZIKR KARO MAIN TUMHEN YAD KARUNGA AUR MERA SHUKR ADA KARO AUR NASHUKRI SE BACHO } Al-Baqarah/(152)

 

➤ Rasool ﷺ ka haq:

 

Rasool ﷺ ki be’sat poori ki poori bashriyat ke liye bahot hi bari ne’mat hai Allah Ta’la ne Aap ﷺ ko is liye mab’oos kiya ta keh Aapﷺ logon ko andheron se raushni ki taraf nikalen aur un ke liye woh ashiya’ bayan karen jin mein un ki duniya-o-aakhirat ki sa’dat hai.

 

➤ WALDAIN KA HAQ:

 

Islam khandan ko bahot hi ehmiyat deta hai aur us ke darmiyan muhabbat-o-ehtram ki takeed karta hai aur us khandaan ki asaas aur buniyad waldain hain isi liye Allah Ta’la ke han sab se mehboob aur afzal amal waldain se neki karna qaraar paya.

To waldain se neki un ki ita’t-o-farmanbardari aur un ka ehtram aur un ke samne tawazo’ aur un ke liye ehsaan kar ke hogi aur yeh keh un par kharach kiya jaye aur un ke liye dua ki jaye aur un ke rishtedaron se sila rehmi ki jaye aur un ke dost-o-ehbab ki izzat-o-ehtaram kiya jaye.

 

Allah Tabarak-o-Ta’la ka farmaan hai:

 

{AUR TERE RABB NE FAISLA KAR DIYA HAI KEH US KI IBADAT KE ILAWA KISI KI IBADAT NA KARO AUR WALDAIN KE SATH EHSAAN AUR ACHHA SULOOK KARO } Al-Isra’a /(23)

 

Aur in huqooq mein walida ka haq sab se zyada aur azeem hai kyon keh walida hi hai jis ne us ka hamal uthaya aur phir wohi hai jis ne usay jana aur wohi hai jis ne usay doodh pilaya.

( Nabi ﷺ ke pas ek shakhs aa kar poochne laga aye Allah Ta’la ke Rasool ﷺ logon mein se sab se zyada mere husn-e-sulook aur sohbat ka kon mustahiq hai ? to Nabi ﷺ ne farmaya: teri walida, us ne phir pucha us k ba’d kon? To Nabi ﷺ ne farmaya: teri walida, us ne phir pucha us ke ba’d kon? to Nabi ﷺ ne farmaya: teri walida, us ne phir pucha us ke ba’d kon? to Nabi ﷺ ne farmaya: tere walid,) Sahih bukhari aur Muslim aur lafz Bukhari ke hain (Al-adab/78)

 

➤ Musalman Ke Musalman Par Huqooq:

 

Sab Momin ek doosre ke bhai hain woh ek aisi mut’awun aur mazboot ummat hain jis tarah keh deewaar ho jo keh ba’z ba’z ko mazboot kare.

Woh ek doosre se rahem dili ke sath pesh aate aur aapas mein narmi ka bartao aur ek doosre se muhabbat karte hain ta keh is emaarat ki hifazat ho sake aur yeh ek aisa okhuwwat-o-bhai chara hai jis ke Allah Ta’la ne ek musalman ke doosare musalman par huqooq muqarrar kiye hain.

Inhi huqooq mein se muhabbat-o-bhai chara aur ek doosre ko nasihat aur ek doosre ki takleef rafa’ karna aur parda poshi karna aur haq mein ek doosre ki madad-o-nusrat karna aur parosi aur mehman ki izzat-o-ehteram karna bhi shamil hai.

Aur inhi huqooq mein se salam ka jawab dena aur beemar ki timaardari karna aur kisi ki da’wat qubool karna aur cheenkne wala jab Alhamdulillah kahe to us ke jawab mein Yarhamukallah kehna aur marne wale ke janaaze mein shirkat karna.

 

Rasool ﷺ ka farmaan hai:

 

( Musalman ke musalman par panch haq hain salam ka jawab dena cheenkne wale ko jawab dena aur da’wat qubool karna aur mareez ki teemaardari karna aur janaze ke sathh chalna.) 

Sahih Muslim Hadith number.(2625)

 

➤ Parosi ka haq:

 

Islam parosi ke haq ko bahot ahmiyat deta hai woh parosi musalman ya ghair muslim un maslihaton ki bina par jis se ummat ek jism aur badan ki tarah ho jati hai.

 

Rasool ﷺ ka irshad hai:

(Jibreel علیہ السلام mujhe bar bar parosi  ke mut’alliq wasiyyat karte rahe hatta keh mujhe yeh khayal hone laga keh usay waris bana diya jayega) Sahih Bukhari aur Muslim.

Aur Islam mein parosi ke liye muqarrar karda huqooq mein se yeh bhi hai keh woh usay salam karne mein pahel kare aur jab woh bimar ho to us ki timardari kare aur museebat mein us ki ta’ziyat kare aur khushi aur farhat ke waqt usay mubarakbaad de aur us ki choti moti ghaltiyon se dar guzar kare aur us ki parda poshi kare aur us ki taklifon par sabar se kaam le aur usay hadiya de aur agar usay zarurat ho to us ko qarz bhi de aur us ki hurmat wali cheezon se aankhen neechi rakhe aur us ki deen-o-duniya ki nafa’ mand cheezon ki rahnumai kare.

 

Nabi ﷺ ka irshad hai:

 

  • (Allah Ta’la ke han doston mein sab se behtar aur achha woh hai jo apne doston ke liye achha ho aur Allah Ta’la ke han sab se achha parosi woh hai jo apne parosiyon ke liye achha ho.)
  •  

Imam Bukhari ne isay Adab-ul-mufrid mein naqal kiya hai Hadees number(115)

 

Aur Allah Ta’la ne parosi ke huqooq ke mut’aliq irshad farmaya hai:

 

{AUR ALLAH TA’LA KI IBADAT KARO AUR US KE SATH KISI KO BHI SHAREEK NA THEHRAAO AUR MAAN BAAP KE SATH ACHHA SULOOK-O-EHSAAN KARO AUR RISHTEDARON SE AUR YATEEMON SE AUR MISKEENON SE AUR QARABAT DAAR HAMSAYA SE AUR AJNABI HAMSAYA SE AUR PAHLU KE SAATH SE } Al-Nisa’a/(36)

 

Aur Islam ne parosi ko takleef dene aur bura sulook karne se mana’ farmaya hai aur Nabi ﷺ ne farmaya hai keh aisa karna Jannat se mehroomi ka sabab hai: 

 

Farman-e-Nabvi ﷺ hai:

 

(Jis ka parrosi us ki takleefon aur shar se mehfooz nahin hota woh  Jannat mein dakhil nahin hoga.) Sahih bukhari aur Muslim.

 

Aur Islam ne maslehat ko poora karne ke liye riaya par us ke waali aur waali par riaya ke huqooq bhi muqarrar kiye hain aur is ke ilawa bhi bahot se Islam ne aadil huqooq vajib kiye hein.

 

Wallah A’alam

Islamic rights

 

Question
What are the most important rights that are respected in Islam?
 
 
 

Answer

Praise be to Allah.

Islamic rights are many, among the most important of which are the following: 

The rights of Allaah 

The blessings of Allaah to His slaves are innumerable. Every blessing deserves thanks. The rights of Allaah upon His slaves are many, the most important of which include the following: 

1.Tawheed, which means believing that Allaah is One in His Essence, His names, His attributes and His deeds. So we should believe that Allaah alone is the Lord, the Sovereign, the Controller, the Creator, the Provider, in Whose hand is Dominion and He is Able to do all things:

“Blessed be He in Whose Hand is the dominion; and He is Able to do all things”[al-Mulk 67:1 – interpretation of the meaning]

2.‘Ibaadah (worship), which means worshipping Allaah alone because He is their Lord, Creator and Provider. So all kinds of worship should be devoted to Him alone, such as du’aa’ (supplication), dhikr (remembering Allaah), seeking help, humbling oneself, submitting, hope and fear, vows, sacrifices, and so on. Allaah says (interpretation of the meaning):

“Worship Allaah and join none with Him (in worship)”

[al-Nisaa’ 4:36]

3.Shukr (gratitude, giving thanks), for Allaah is the One Who bestows favours and blessings upon all of creation, so they have to show their gratitude for these blessings on their lips and in their hearts and in their physical actions, by praising Allaah and using these blessings to obey Allaah and in ways that Allaah has permitted:

“Therefore remember Me (by praying, glorifying). I will remember you, and be grateful to Me (for My countless Favours on you) and never be ungrateful to Me

[al-Baqarah 2:152 – interpretation of the meaning] 

The rights of the Messenger 

The sending of the Messenger (peace and blessings of Allaah be upon him) is a great blessing for all of mankind. Allah sent him to bring mankind forth from darkness into light, and to show them that which will bring them happiness in this world and in the Hereafter. 

Among the rights that the Messenger has over us are that we should love him, obey him and send blessings upon him. Loving him (peace and blessings of Allaah be upon him) is achieved by obeying his commands and believing what he told us, avoiding that which he forbade and not worshipping Allaah except in the ways that he prescribed. 

Parent’s rights 

Islam pays special attention to the family and encourages love and respect within it. The parents are the basis and foundation of the family, hence honouring one’s parents is one of the best deeds and one of the most beloved actions to Allaah. 

Honouring one’s parents is achieved by obeying them, respecting them, being humble towards them, treating them kindly, spending on them, praying for them, upholding ties of kinship with those to whom one is related through them, and honouring their friends: 

“And your Lord has decreed that you worship none but Him. And that you be dutiful to your parents”[al-Israa’ 17:23] 

The rights of the mother in this regard are greater, because she is the one who bears the child, gives birth to him and breastfeeds him. A man came to the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) and said, “O Messenger of Allaah, who is most deserving of my good companionship?” He said, “Your mother.” He said, “Then who?” He said, “Your mother.” He said, “Then who?” He said, “Your mother.” He said, “Then who?” He said, “Your father.”

(Agreed upon. This version was narrated by al-Bukhaari, al-Adab, 78) 

The rights of one Muslim over another 

The believers are brothers and are an integrated nation, like a building parts of which support other parts. They treat one another with mercy and compassion, and love one another. In order to preserve this building and this brotherhood, Allaah has prescribed rights which each Muslim has over his fellow Muslim. These include love, sincerity (naseehah), relieving his distress, concealing his mistakes, supporting him when he is in the right, respecting neighbours and honouring guests. 

These rights also include returning greetings of salaam, visiting the sick, accepting invitations, saying “yarhamuk Allaah (may Allaah have mercy on you) to a Muslim when he sneezes, and attending his funeral. The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “The rights of one Muslim over another are five: returning the greeting of salaam, saying ‘yarhamuk Allaah (may Allaah have mercy on you)’ when he sneezes, accepting invitations, visiting the sick and attending funerals.” (Narrated by Muslim, 2625)

 Neighbour’s rights 

Islam pays attention to the issue of neighbours, whether they are Muslim or not, because of the interests served by that in making the nation like one body. The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: ‘Jibreel kept on enjoining the good treatment of neighbours to the extent that I thought that he would include neighbours as heirs.” (Agreed upon. Narrated by Muslim, 2625) 

Among the rights of one neighbour over another as affirmed by Islam are the initiation of greetings, visiting him if he is sick, offering condolences if calamity befalls him, congratulating him at times of joy, overlooking his mistakes, concealing his faults, bearing his annoyance with patience, giving him gifts, lending him money if he needs it, lowering one’s gaze from looking at his womenfolk, and guiding him to that which will benefit him in his religious and worldly affairs. The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said:

“The best of companions with Allaah is the one who is best to his companion, and the best of neighbours with Him is the one who is best to his neighbour.”(Narrated by al-Bukhaari in al-Adab al-Mufrad, 115) 

Concerning neighbours’ rights, Allaah says (interpretation of the meaning): 

“Worship Allaah and join none with Him (in worship); and do good to parents, kinsfolk, orphans, Al-Masaakeen (the poor), the neighbour who is near of kin, the neighbour who is a stranger, the companion by your side…”[al-Nisaa’ 4:36] 

Islam warns against annoying one’s neighbours or treating them badly. The Messenger (peace and blessings of Allaah be upon him) explained that this would lead to being deprived of Paradise: “He will not enter Paradise from whose harm his neighbour is not safe.” (Agreed upon. Narrated by Muslim, 64). 

In order to achieve the common interest, Islam gives rights to the ruler over his subjects and to the subjects over their ruler, and its gives the husband rights over his wife and the wife rights over her husband, and there are other just rights which Islam has enjoined. 

REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/11413/islamic-rights
 
 
 
 

الاسلامی حقوق

 

سوال
الاسلام میں کون سےاہم حقوق ہیں جن کادین اسلام احترام کرتاہے ؟
 
 
 

جواب کا متن

الحمد للہ.

 

اسلامی حقوق توبہت سےہیں ان میں اہم یہ ہیں :

اللہ تعالی کاحق :

اللہ تعالی کی اپنےبندوں پربےشمارنعمتیں ہیں اورہرنعمت پراللہ تعالی کاشکرواجب ہےتواللہ تعالی کےاپنےبندوں پربہت سےحقوق ہیں جن میں بہت ہی اہمیت کےحامل ذکرکئےجاتےہیں :

1۔توحید : توحیدیہ ہےکہ اللہ تعالی کواس کی ذات وصفات اوراس کےاسماءوافعال میں یکتاواکیلاماناجائےاوریہ اعتقاد رکھاجائےکہ بیشک اللہ وحدہ ہی رب اورمالک اورسارےمعاملات میں تصرف کرنےوالااور رزق دینےوالاوہی ہےجس کےہاتھ میں بادشاہی ہے اوروہ ہرچیزپرقادرہےجیساکہ اللہ تبارک وتعالی کافرمان ہے :

 بابرکت ہےوہ ذات جس کےہاتھ میں بادشاہی ہےاوروہ ہرچیزپرقادر ہے  الملک ۔/(1)

2۔ عبادت : اورعبادت یہ ہےکہ اس اللہ وحدہ ہی کی عبادت کی جائےکیونکہ وہ ان کارب اوران کاخالق اور رازق ہے ۔

اوراس طرح ہےکہ عبادت کی ساری کی ساری انواع واقسام صرف اورصرف اللہ وحدہ لاشریک کےلئےہی خاص کی جائیں مثلادعااورذکراورمددواستعانہ اوراستغاثہ اوراسی کے سامنےتذلیل وخضوع اختیارکیاجائےاوراسی سےامیدرکھی جائےاوراسی سےڈراورخوف کھایاجائےاوراسی کےلئےہی نذرونیازبھی دی جائےاورذبح وغیرہ بھی اسی کےنام کاہووغیرہ ۔

اللہ سبحانہ وتعالی کافرمان ہے :

 اورتم اللہ ہی کی عبادت کرواوراس کےساتھ کسی کوبھی شریک نہ ٹھراؤ النساء/(32)

3۔شکر : ساری مخلوق پراللہ تعالی ہی نعمتیں اوراحسان کرنےوالاہےاس لئےان کےذمہ ان نعمتوں پراللہ تعالی کااپنی زبانوں اوردلوں اوراعضاءکےساتھ شکرکرناواجب اورضروری ہےاوروہ شکراللہ تعالی کی ان نعمتوں پراس کی حمد وتعریف اوران نعمتوں کواللہ تعالی کی اطاعت وفرمانبرداری اوران اشیاءمیں صرف کرناچاہئےجوکہ اللہ تعالی نےحلال قراردی ہیں ۔

فرمان باری تعالی ہے :

 توتم میراذکرکرومیں تمہیں یادکروں گااورمیراشکرکرواورناشکری سےبچو البقرۃ / (152)

رسول صلی اللہ علیہ وسلم کاحق :

رسول صلی اللہ علیہ وسلم کی بعثت پوری کی پوری بشریت کےلئےبہت ہی بڑی نعمت ہےاللہ تعالی نےآپ صلی اللہ علیہ وسلم کواس لئےمبعوث کیاتاکہ آپ لوگوں کو اندھیروں سے روشنی کی طرف نکالیں اوران کےلئےوہ اشیاءبیان کریں جن میں ان کی دنیاوآخرت کی سعادت ہے ۔

والدین کاحق :

اسلام خاندان کوبہت ہی اہمیت دیتاہےاوراس کےدرمیان محبت واحترام کی تاکیدکرتاہےاوراس خاندان کی اساس اوربنیاد والدین ہیں اسی لئےاللہ تعالی کےہاں سب سےمحبوب اورافضل عمل والدین سےنیکی کرناقرارپایا ۔

تووالدین سےنیکی ان کی اطاعت وفرمانبرداری اوران کااحترام اوران کےسامنے تواضع اوران کےلئےاحسان کرکےہوگی اوریہ کہ ان پرخرچ کیاجائےاوران کےلئےدعاکی جائے اوران کےرشتہ داروں سےصلہ رحمی کی جائےاوران کےدوست واحباب کی عزت واحترام کیاجائے ۔

اللہ تبارک وتعالی کافرمان ہے :

 اورتیرے رب نےفیصلہ کردیاہےکہ اس کی عبادت کےعلاوہ کسی کی عبادت نہ کرواور والدین کےساتھ احسان اوراچھاسلوک کرو الاسراء /(23)

اوران حقوق میں والدہ کاحق سب سےزیادہ اورعظیم ہےکیونکہ والدہ ہی ہےجس نے اس کاحمل اٹھایااورپھروہی ہےجس نےاسےجنااوروہی ہےجس نےاسےدودھ پلایا ۔

( نبی صلی اللہ علیہ وسلم کےپاس ایک شخص آکرپوچھنےلگااےاللہ تعالی کےرسول صلی اللہ علیہ وسلم لوگوں میں سےسب سےزیادہ میرےحسن سلوک اورصحبت کاکون مستحق ہے ؟ تونبی صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایاتیری والدہ اس نےپھرپوچھااس کےبعدکون ؟ تونبی صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا : تیری والدہ اس نےپھرپوچھااس کےبعدکون ؟ تونبی صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا : تیری والدہ ، اس نےپھرپوچھااس کےبعدکون ؟ تونبی صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا : تیراوالد، ) صحیح بخاری اورمسلم اورلفظ بخاری کےہیں (الادب / 78)

مسلمان کےمسلمان پرحقوق :

سب مومن ایک دوسرےکےبھائی ہیں وہ ایک ایسی متعاون اورمضبوط امت ہیں جس طرح کہ دیوارہوجوکہ بعض بعض کومضبوط کرے ۔

وہ ایک دوسرےسےرحم دلی کےساتھ پیش آتےاورآپس میں نرمی کابرتاؤاورایک دوسرے سےمحبت کرتےہیں تا کہ اس عمارت کی حفاظت ہوسکےاوریہ ایک ایسی اخوت وبھائی چارہ ہےجس کےاللہ تعالی نےایک مسلمان کےدوسرےمسلمان پرحقوق مقررکیئےہیں ۔

انہیں حقوق میں سےمحبت وبھائی چارہ اورایک دوسرےکونصیحت اورایک دوسرےکی تکلیف رفع کرنی اورپردہ پوشی کرنی اورحق میں ایک دوسرےکی مددونصرت کرنی اورپڑوسی اورمہمان کی عزت واحترام کرنابھی شامل ہے ۔

اورانہیں حقوق میں سےسلام کاجواب دینااوربیمارکی تیمارداری کرنااورکسی کی دعوت قبول کرنااورچھینک لینےوالاجب الحمدللہ کہےتواس کےجواب میں یرحمک اللہ کہنا اورمرنےوالےکےجنازےمیں شرکت کرنا ۔

رسول صلی اللہ علیہ وسلم کافرمان ہے :

( مسلمان کےمسلمان پرپانچ حق ہیں سلام کاجواب دیناچھینک کہنےوالےکوجواب دینااوردعوت قبول کرنااورمریض کی تیمارداری کرنااورجنازےکےساتھ چلنا )

صحیح مسلم حدیث نمبر ۔(2625)

پڑوسی کاحق :

اسلام پڑوسی کےحق کوبہت اہمیت دیتاہےچاہےوہ پڑوسی مسلمان یاغیرمسلم ان مصلحتوں کی بناپرجس سےامت ایک جسم اوربدن کی طرح ہوجاتی ہے ۔

رسول صلی اللہ علیہ وسلم کاارشاد ہے :

( جبریل علیہ السلام مجھےباربارپڑوسی کےمتعلق وصیت کرتےر ہےحتی کہ مجھےیہ خیال ہونےلگا کہ اسےوارث بنادیاجائےگا ) صحیح بخاری اورمسلم ۔

اوراسلام میں پڑوسی کےلئےمقررکردہ حقوق میں سےیہ بھی ہےکہ وہ اسےوہ سلام کرنے میں پہل کرےاورجب وہ بیمارہوتواس کی تیمارداری کرےاورمصیبت میں اس کی تعزیت کرےاورخوشی اورفرحت کےوقت اسےمبارکباددےاوراس کی چھوٹی موٹی غلطیوں سے درگزرکرےاوراس کی پردہ پوشی کرےاوراس کی تکلیفوں پرصبرسےکام لےاوراسےہدیہ دے اوراگراسےضرورت ہوتواسےقرضہ بھی دےاوراس کی حرمت والی چیزوں سےآنکھیں نیچی رکھےاوراسےاس کےدین ودنیاکےنفع مندچیزوں کی راہنمائي کرے ۔

نبی صلی اللہ علیہ وسلم کاارشاد ہے :

( اللہ تعالی کےہاں دوستوں میں سب سےبہتراوراچھاوہ ہےجواپنےدوستوں کےلئے اچھاہواوراللہ تعالی کےہاں سب سےاچھاپڑوسی وہ ہےجواپنےپڑوسیوں کےلئےاچھاہو )۔

امام بخاری نےاسےادب المفردمیں نقل کیاہےحدیث نمبر ۔(115)

اوراللہ تعالی نےپڑوسی کےحقوق کےمتعلق ارشادفرمایاہے :

 اوراللہ تعالی کی عبادت کرواوراس کےساتھ کسی کوبھی شریک نہ ٹھراؤاورماں باپ کےساتھ اچھاسلوک واحسان کرواور رشتہ داروں سےاوریتیموں سےاورمسکینوں سے اورقرابت دارہمسایہ سےاوراوراجنبی ہمسایہ سےاورپہلوکےساتھ سے النساء /(36)

اوراسلام نےپڑوسی کوتکلیف دینےاوراس کےساتھ براسلوک کرنےسےمنع فرمایاہے اورنبی صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایاہےکہ ایساکرناجنت سےمحرومی کاسبب ہے :

فرمان نبوی صلی اللہ علیہ وسلم ہے :

( جس کاپڑوسی اس کی تکلیفوں اورشرسےمحفوظ نہیں ہوتاوہ جنت میں داخل نہیں ہوگا ) ۔ صحیح بخاری اورمسلم ۔

اوراسلام نےمصلحت کوپوراکرنےکےلئےرعایاپراس کےوالی اوروالی پررعایاکےحقوق بھی مقررکیےہیں اوراسی طرح خاوندکےحقوق بیوی پراوربیوی کےحقوق خاوندپرمقررکئےہیں اوراس کےعلاوہ بھی بہت سےاسلام نےعادل حقوق واجب کئےہیں ۔

واللہ اعلم .

 

REFERENCE:
https://islamqa.info/ur/answers/11413/%D8%A7%D9%84%D8%A7%D8%B3%D9%84%D8%A7%D9%85%DB%8C-%D8%AD%D9%82%D9%88%D9%82
Table of Contents