Search
Sections
< All Topics
Print

04. Biwi ki wiraasat

2: Biwi ki wiraasat

 

✦ Meeraas mein Biwi ki do halatein hain.

 

Pehli haalat: Biwi apnay mutwaffa Khaawand ki jaedaad mein say chouthay hissa (1/4) ki waaris hogi. Agar Khaawand ki koi aulaad (Beta, Beti, Pota, Poti) mujood nah ho.

 

Misaal: Aik admi faut ho gaya us nay apni Biwi aur Chacha ko zindah chodha.

 

Hall: Biwi ko (1/4) milay ga aur baqi Chacha Bator-e-Asabah lay ga, Asal masla (4) hai. Biwi ko (1) mila aur baqi (3) Chacha Bator-e-Asabah lay ga.

 

 

 

4

1/4

Biwi

1

ع

Chacha

3

 

Doosri haalat: Biwi ko mutawaffa Khaawand kay tarka mein say (1/8) milay ga. Agar mutwaffa ki koi aulaad mujood ho. Chaahay woh aulaad Biwi kay batan say ho ya kisi doosri Biwi kay batan say.

 

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Us nay apni Biwi aur Beta zindah chodha.

 

Hall: Biwi ko (1/8) milay ga kiunkeh Mayyat ki aulaad mujood hai aur baqi Beta Bator-e-Asabah lay ga. Asal masla (8) hai. Biwi (1) aur baqi (7) Beta Bator-e-Asabah lay ga.

 

 

 

8

1/8

Biwi

1

ع

Beta

7

 

Note: Agar kisi Khaawand ki aik say zayada Biwiyaan hon to woh sab ki sab rubu’o ya suman (1/4, 1/8) hisson mein barabar barabar ki shareek hon gi.

 

Biwi ki donon haalton ki Daleel”

 

Qoulihi ta’ala:

 

ولهن الربع مما تركتم إن لم يكن لكم ولد فإن كان لكم ولد فلهن الثمن مما تركتم

(Sorat Al-Nisaa 12/4)

 

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

 

Table of Contents