Search
Sections
< All Topics
Print

07. Baap ki wiraasat.

 Baap ki wiraasat

 

 

✦ Mayyat kay Baap ki teen halatein hain:

 

✦ Pehli haalat: Baap Bator-e-Asabah waaris ho ga jab Mayyat ki koi aulaad (Beta, Beti, Pota ya Poti) mujood nah ho. Agar Baap akeela hi waaris hai to woh saari jaedaad lay ga. Aur agar is kay hamrah koi aur Sahib-e-Farz hai to us ka hissa dainay kay baad jo baqi bachay ga woh Baap ka hoga.

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya aur apni Biwi aur Baap ko zindah chodha.

Hal: Biwi (1/4) lay gi aur baqi Baap ko Bator-e-Asabah milay ga. Asal masla (4) hai. Biwi ko (1) hissa mila aur baqi (3) Baap Bator-e-Asabah lay ga.

 

 

4

1/4

Biwi

1

ع

Baap Ain

3

 

✦ Doosri haalat: Baap ko jaedaad ka (1/6) milay ga, Yani woh Sahib-ul-Farz ki haisiyat say waaris hoga. Jab Mayyat ka Beta ya Pota mujood ho.

Misaal: Aik aadmi faut ho gaya. Us nay apna Baap aur Beta zindah chodha.

Hal:Baap (1/6) lay ga aur Beta Bator-e-Asabah waaris hai. Asal masla (6) hai. Baap ko (1) hissa mila aur baqi (5) Beta lay ga.

 

 

6

1/6

Baap

1

ع

Beta Ain

5

 

✦ Teesri haalat: Baap do hisson ka mustahiq hoga pehlay (1/6) farzan phir Asabah ban kar baqi lay ga. Jab Mayyat ki Beti ya Poti mujood ho. Lekin Beta aur Pota mujood nah ho. Ashaab-ul-Furooz kay hisson kay baad agar koi hissa baqi nah bacha to woh sirf (1/6) ka waaris hoga.

Misaal 1: Aik aadmi faut ho gaya. Apna Baap aur Beti ko zindah chodha.

Hal: Beti ko (1/2) milay ga. Baap ko pehlay (1/6) aur phir jo baqi bacha usay Bator-e-Asabah lay ga. Asal masla (6) hai Beti ko (3). Baap ko aik hissa (1) farzan aur phir baqi (2) Bator-e-Asabah lay ga is tarhan Baap ko kul (3) milein gay.

 

 

6

1/2

Beti

3

1/6, ع

Baap

1+2

 

Misaal 2: Aik aurat faut hui. Us nay apni Maan, Do Betiyan aur Baap zindah chodha.

Hal: Maan ko (1/6) do Betiyon ko (2/3) milay ga Baap pehlay (1/6) Bator-e-Sahib-e-Farz aur baqi Bator-e-Asabah lay ga. Asal masla (6) hai Maan ko (1) do Betiyon ko (4) Baap ko (1) hissa dainay kay baad asal masla mein say kuch baqi nahi bacha is liye usay mazeed kuch nahi milay ga.

 

 

6

1/6

Maan

1

2/3

2)Betiyaan

4

1/6

Baap

1+0

 

 

✦ Baap ki wiraasat ki teenu haalton ki Daleel:

 

Qoulihi taala:

 

وَلِأَبَوَيۡهِ لِكُلِّ وَٲحِدٍ مِّنۡہُمَا ٱلسُّدُسُ مِمَّا تَرَكَ إِن كَانَ لَهُ ۥ وَلَدٌ‌ۚ فَإِن لَّمۡ يَكُن لَّهُ ۥ وَلَدٌ وَوَرِثَهُ ۥۤ أَبَوَاهُ فَلِأُمِّهِ ٱلثُّلُثُ‌

(Sorat-ul-Nisaa: 4/11)

 

Lafz “وَلَدٌ” say muraad Beta, Beti, Pota aur Poti hai. In ki mujoodgi mein Baap ko Al-Sudus (1/6) milay ga. Aur in ki adam mujoodgi mein agar waaris Maan aur Baap hi hon to Maan ko Al-Sulus (1/3) milay ga. Lekin Aayat-e-Mubarikah mein Baap kay hissay ka zikar nahi hai jis say yeh saabit hota hai kay woh Bator-e-Asabah baqi jo As-Sulusain (2/3) hai, Lay ga.

Isi tarhan agar Baap kay hamrah sirf Beti ya Poti ho to Baap apna hissa Al-Sudus (1/6) lenay kay baad jo baqi bachay ga woh Bator-e-Asabah lay ga. Kiunkeh wahi Betay ki adam mujoodgi mein Mayyat kay qareeb tareen muzakkar Asabah hai, Jaisa keh hadees shareef mein aaya hai:

 

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا قَالَ : قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الْحِقُوا الْفَرَائِضَ بِأهْلِهَا فَمَا بَقِيَ فَهُوَ لَأُولى رَجُلٍ ذكر

 

“Wiraasat haq daaron tak day do baqi jo bachay to qareeb tareen mard kay liye hai”

 

(رواہ البخاری ومسلم)

 

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

 

Table of Contents