Search
Sections
< All Topics
Print

07. Nisbatoun ka bayan.

Nisbton ka bayaan

النسب الاربعۃ

 

 

Meeraas kay masaail ko hal karnay kay liye chaar nisbton ka janna bohat zaroori hai kiunkeh yeh asal masla ki tasheeh kay amal mein bunyadi haisiyat rakhti hain. Yeh darj zail hain.

 

1: Al-Tamaasul                                                                       2: Al-Tadaakhul

3: AL-Tabaayun                                                                     4: Al-Tawaafuq

 

AL-Tamaasul: Agar do Adad masaawi hon to un kay darmiyaan tamaasul ki nisbat paai jati hai. (5.5) (3.3) (2.2)

Al-Tadaakhul: Do adadon mein say aik chota ho aur dosra bada lekin is tarhan keh chota Adad badhy Adad ko poora poora taqseem kar day aur baqi kuch nah bachay to un kay darmiyaan tadaakhul ki nisbat paai jati hai. Maslan (3 aur 6) is mein (3) apnay say badhy Adad (6) ko poora poora taqseem kar deta hai is tarhan (4) aur (8) is mein (4) apnay say badhy Adad (8) ko poora poora taqseem kar deta hai.

Al-Tabaayun: Aisay do Adad jin mein chota Adad badhy Adad ko poora poora taqseem nah karay. Aur nah hi koi teesra Adad un ko poora poora taqseem karay. To un kay darmiyaan tabaayun ki nisbat paai jati hai.

Al-Tawaafuq: Do Adad aisay hon keh chota Adad apnay say badhy Adad ko poora poora taqseem nah karay, Lekin koi teesra Adad in donon ko poora poora taqseem kar day. Maslan (8) aur (12) in donon ko (4) poora poora taqseem karta hai isi tarhan (6 aur 8) un ko (2) taqseem karta hai. Agar in do adadon ko (2) taqseem karay to kehtay hain kay un kay darmiyaan tawafuq bil nisf hai. Agar donon ko (3) taqseem karay to kehtay hain keh un kay darmiyaan tawafuq bil sulus hai. Aur agar (5) taqseem karay to tawafuq bil khumus kehtay hain waghera waghera.

 

Note: Al-Tadaakhul ki nisbat mein jab chota Adad apnay say badhy Adad ko poora poora taqseem kar deta hai to usay bhi twaafuq mein shumaar kartay hain maslan (6 aur 12) mein (6) badhy Adad (12) ko poora poora taqseem kar deta hai is liye kaha jaata hai keh un kay darmiyaan tawafuq bil sudud hai.

 

 

REFERENCE:
Book: “Islam Ka Qanoon-e-Warasaat”
By Salah Uddin Haider Lakhwi.

 

heikh Ubaid ur Rehman muhammadi | islami qanoon e miras | lecture_6
Table of Contents