Search
Sections
< All Topics
Print

(xix). QAUMIYAT, MAZHABIYAT, ILAQIYAT AUR IS TARHA KE DUSRE TA’ASUBAAT KA SHIKAR HONA [Nationalism, Racism, or any kind of partnership]

QAUMIYAT, MAZHABIYAT, ILAQIYAT AUR IS TARHA KE DUSRE TA’ASUBAAT KA SHIKAR HONA:

   Chunacha Fakhar aur mubahaat aur ta’asub ke taur par har tarha ki A’asiyat ya Islam ke alawah wo kisi aur janib nisbat daur-e-jahiliyat ke aafa’al mein se hai.

     Nabi Kareem(ﷺ) ne farmaaya:

( لَيْسَ مِنَّا مَنْ دَعَا إِلَى عَصَبِيَّةٍ وَلَيْسَ مِنَّا مَنْ قَاتَلَ عَلَى عَصَبِيَّةٍ وَلَيْسَ مِنَّا مَنْ مَاتَ عَلَى عَصَبِيَّةٍ ).

 “Wo shakhs ham me se nahi jo a’asbiyyat ki janib dawat dey, wo shakhs bhi ham mein se nahi jo aasbiyyat ki wajah sey larae karey aur wo shakhs bhi ham mey se nahi jiska aasbiyyat par inteqal ho.

(Yeh Alfaz Abu Dawood ke hain,  Dekhe: Hadees: 5121 aur Sahih Muslim mein bhi isi mafhoom ki riwayat warid hai Hadees: 1848]

   Yeh aasbiyyat jisey Nabi Kareem(ﷺ) ney manaa farmaaya hai un barey umoor mein se aik hai keh maazi o hazir har daur mein musalmaanon ki aik bari tadad is mey mulawwas rahi hai aur is daur mein musalmaan jis aasbiyyat ka shikaar hue hain aur jisne musalmaanon ko garoh aur jama’aton mein bant kr rakhdiya hai wo qaumi aur watni aasbiyyat hai, shayed is zamaney ke waaqi’at se ye baat wazeh hoti hai keh musalmaanon ke andar jahili aasbiyyat ko ubhaarney aur mahez qaumiyat ki buniyad par zalim ki madad karne mein qaumiyaat ka kitna bara asr hai, jabke Nabi Kareem(ﷺ) ne is sey bachne ki sakht takeed ki hai, Chunacha Aap(ﷺ) ne farmaaya:

مَن نصَرَ قومَه على غيرِ الحقِ فهو كالبعيرِ الذي ردَّي ، فهو يُنْزَعُ بذنبِه.

  Jis shakhs ne nahaq apni qaum ki madad ki, tou iski misaal aisi hai jaise keh ount kunway mein gira para ho aur log usko nikalne ke liye uski dum khench rahey hain.

[Abu Dawood: 5118]

NATIONALISM, RACISM, OR ANY KIND OF PARTISANSHIP

All are acts of jahiliyyah as the Prophet (ﷺ) in an authentic hadeeth said,

“He is not from us who calls to tribalism, and he is not from us who kills due to tribalism and he is not from us who dies upon tribalism.”[1]

This tribalism, racism, and nationalism, is from the major matters which the Prophet (ﷺ) prohibited – yet the Muslims were caught in it – in the past as well as the present. Nationalism is that which divided the Muslims into different nations. Recent events show us the degree of influence which nationalism and assistance for national victory holds. The Prophet (ﷺ) said,

“Whoever assists his people outside of their right, then he is like the camel who is tugged to the ground; he is pulled by his sin.”[2]

 

1 This wording from Abu Dawud #5121.. Editor’s note: This narration is weak, however it is with Muslim in meaning with different wording #1848.

2 Abu Dawud and other with an authentic chain #5118. Editor’s note:It has been graded authentic by Al-Albani in Sahih al-jami’ #6575 [3rd ed.]

  قومیت، مذہبیات،علاقائیت اور اس طرح کے دوسرے تعصّبات کا شکار ہونا:

چناچہ فخر و مبابات اور تعصب کے طور پر ہر طرح کی عصبیت یا اسلام کے علاوہ کسی اور جانب نسبت دور جاہلیت کے افعال میں سے ہے۔


نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے صحیح حدیث میں فرمایا:


ليس منا من دعا إلى عصبية، وليس منا من قاتل على عصبية، وليس منا من مات على عصبية”.


وہ شخص ہم میں سے نہیں جو عصبیت کی جانب دعوت دے، وہ شخص بھی ہم میں سے نہیں جو عصبیت کی وجہ سے لڑائی کرے اور وہ شخص بھی ہم میں سے نہیں جس کا عصبیت پر انتقال ہو۔


[ یہ الفاظ ابوداؤد کے ہیں, دیکھئے حدیث 5121 اور صحیح مسلم میں بھی اسی مفہوم روایت وارد ہے دیکھئے حدیث ١٨٤٨]

یہ عصبیت جس سے نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے منع فرمایا ہے ان بڑے امور میں سے ایک ہے کہ ماضی و حاضر ہر دور میں میں مسلمانوں کی ایک بڑی تعداد اس میں ملوث رہی ہے اور اس دور میں مسلمان جس عصبیت کا شکار ہوئے ہیں اور جس نے مسلمانوں کو گروہوں اور جماعتوں میں بانٹ کر رکھ دیا ہے وہ قومی اور وطنی عصبیت ہے،شاید اس زمانے کے واقعات سے سے یہ بات واضح ہوتی ہے کے مسلمانوں کے اندر جاہلی عصبیت کو ابھارنے اور محض قومیت کی بنیاد پر ظالم کی مدد کرنے میں قومیت کا کتنا بڑا اثر ہے ،جب کہ نبی صلی اللہ علیہ :وسلم نے اس سے بچنے کی سخت تاکید کی ہے،چنانچہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:

من نصر قومَه على غيرِ الحقِّ ، فهو كالبعيرِ الذي تردَّى ، فهو ينزعُ بذَنَبِه

.جس شخص نے ناحق اپنی قوم کی مدد کی،تو اس کی مثال ایسی ہے جیسے کہ اونٹ کوئیں میں گر پڑا ہوں اور لوگ اس کو نکالنے کے لیے اس کی دم کھینچ رہے ہو.

( ابو داود 5118)
Table of Contents