03. GHUSL KARNA KIS WAQT WAJIB HOTA HAI AUR KIS WAQT MUSTAHAB HOTA HAI?
GHUSL KARNA KIS WAQT WAJIB HOTA HAI AUR KIS WAQT MUSTAHAB HOTA HAI?
Alhamdulillaah
Ghusl basa auqat wajib hota hai aur basa auqat mustahab, ulma kiram rahimahullah ne ye tamam halaat zikr kiye hain, inki ghusl ke muta’liq guftgu ko teen qismon mein taqseem kiya jaa sakta hai :
- Awwal : Muttafiqa taur par ghusl wajib karne wali ashya, ye hain,
1. Mani kharij ho, chahe jima (جماع) ke baghair nikle
Is baare mein “Al-Mausuah al-Fiqhiyyah (31/195)” mein hai ke :
Fuqha e kiram ka is baat par ittefaq hai ke mani ke nikalne se ghusl wajib ho jata hai, balke NAWAWI rahimahuAllah ne is baat par ijma naqal kiya hai aur is mein mard ya aurat ke darmiyan koi farq nahi hai, aise hi mani bedari mein kharij ho ya neend mein iske darmiyan bhi koi farq nahi, is maoqif ke liye Abu Saeed khudri r.a. ki hadith daleel hai ke Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam ne farmaya : ( Yaqinan pani se pani (ghusl) hai ) Isey muslim 343 ne riwayat kiya hai aur iska matlab jaise ke Nawawi rahimahullah ne bayan kiya hai ye hai : pani se ghusl us waqt wajib hota hai jab uchal kar pani yaani mani kharij ho “
Is baare mein mazeed ke liye aap sawal number 6010, 12317, 47693 ka jawaab mulahiza karen
2. Mard wa zan (aurat ) ki sharmgahen mil jayen ke aaza e tanasul ( penis) mukammal taur par andaam nihani (vagina) mein dakhil ho jaye chahe inzal (ejaculation) na bhi ho.
Iski mazeed tafsilat ke liye aap sawal number 7529 aur 36865 ka mutalia karen
- Haiz
- Nifaas
3. Haiz aur Nifaas ke baare mein “Al-Mausuah al-Fiqhiyyah (31/204) mein hai ke :
Fuqaha e Kiraam ka is baat par ittefaq hai ke haiz aur nifaas se ghusl wajib ho jata hai, Ibn Al Manzar, Ibn Jareer Tibree aur deegar ne is moaqqif par ijma naqal kiya hai, haiz se ghusl wajib hone ki daleel Allaah Ta’la ka farman hai :
وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الْمَحِيضِ قُلْ هُوَ أَذًى فَاعْتَزِلُواْ النِّسَاء فِي الْمَحِيضِ وَلاَ تَقْرَبُوهُنَّ حَتَّىَ يَطْهُرْنَ فَإِذَا تَطَهَّرْنَ فَأْتُوهُنَّ مِنْ حَيْثُ أَمَرَكُمُ اللّهُ
Tarjuma :
“Wo aapse haiz ke baare mein puchte hain, aap kah dein : ye gandagi hai haiz ki halat mein khawateen se alehda(alag) rahen, aur unke paak saaf hone tak unke qareeb bhi na jayen, pus jab wo paak ho jayen to unke paas wahan se aayen jahan se tumhen Allah ne hukm diya hai.”
[البقرہ: 222]
- Duwwam : Aise halaat jin mein muttafaqa taur par ghusl karna wajib nahi hai balke mustahab hai:
- Logon ke majme (public gathering) mein jane se pehle ghusl karna mustahab hai.
Imaam baghwi rahimahullaah kehte hain :
Jo shakhs logon ki kasrat mein ghule mile to wo pahle ghusl kar ke safai suthrai aur khushu ka ehtemam kare.
Is mein Eidain ka ghusl bhi shamil hai ,
Nawawi rahimahullaah Al-Majmoo’ (2/233)
mein kehte hain : “ Muttafaqa taur par har ek ke liye [ Eid ke din ghusl karna ] mustahab hai, chahe mard ho ya aurten ya bache, kyun ke us din zeb wa zeenat ikhtiyar ki jaati hain aur ye sab [ mard, aurten aur bache] zeenat ikhtiyar karne ki ahliyat rakhte hain”
Is baare mein mazeed ke liye aap sawal number 48988 ka mutalia karen
Isi mein Namaz e Kusoof, Istisqa, aur wuqoof arafah mash’ar al haraam (muzdalifa) aur ayyam tashreeq mein Jamaraat ko kankariyan marne ke liye ghusl karna bhi shamil hai, neez iske alawa jahan bhi log ibadat ke liye apne kisi kaam ke liye ikatthe ho rahe hon toh ghusl karna mustahab hai.
2. Jismani tabdeeli ke waqt : Shafa’ee Fuqaha mein se muhamlee kahte hain “ Jism mein koi bhi tabdeeli aaye toh us waqt ghusl karna mustahab hai “
Is mein ye bhi shamil hai ke : Fuqaha e kiraam kehte hain
pagal ya behosh aadmi hosh mein aa jaaye to ghusl karna mustahab hai, isi tarah Seengi lagwane (cupping ) ke baad , baal banwane ke baad bhi ghusl karna mustahab hai, kyun ke ghusl karne se jism ke saath lagey hue baal aur khoon waghaira saaf ho jayenge aur insaan ma’mool ki halat par aa jayega.
Mazeed ke liye dekhein Al-Majmoo (2/234،235)
3. Kuch ibadat se pehle : maslan ehraam bandhne se pehle ; kyun ke Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam ne jis waqt ehraam bandha to apne kapde utaar diye aur ghusl farmaya
Tirmidhi 830 mein ye riwayat maujood hai.
Isi tarah Fuqaha e kiraam ne sarahat ke saath tawaaf ziyarat aur tawaaf widaa’ ke liye ghusl karna mustahab qarar diya hai, isi tarah shab e qadr ke liye, Makkah mein daakhil hone ke liye. Jaise ke Ibn Umar R.A jab bhi Makkah mein dakhil hone lagte to ghusl farmate, aur ye bayan karte ke Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam aisa kiya karte the.
[Is riwayat ko ; Bukhari 1478: Muslim 1259 ne riwayat kiya hai]
- Suwwam : Mutanaza’ fiih ghusl aur uske mutalliq sahih moaqqif ka bayan.
1. Mayyat ko ghusl dena :
Jamhoor ahle ilm is baat ke qaayil hain ke maut ki wajah se ghusl waajib ho jata hai, kyun ke Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam ne apni beti ki wafaat ke waqt farmaya tha :
( [ Meri beti ko ) teen baar ya paanch baar ya usse bhi zyada baar ghusl dena)
[Bukhari 1253; Muslim 939 ne ise riwayat kiya hai]
2. Mayyat ko ghusl dene par ghusl karna:
Ulama e kiraam ka is baare mein ikhtilaf hai kyun ke is baare mein manqool riwayat ke saabit hone mein ikhtilaf hai, chunanche Abu Huraira r.a. kahte hain ke Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam ne farmaya :
➤ ( Jo shakhs mayyat ko ghusl de wo khud bhi ghusl kare)
[Issay Ahmad 2/454; Abu Dawood 3161; Tirmidhi 993 ne riwayat kiya hai aur ise Hasan qarar diya jab keh Imam Ahmad” Masaail Ahmad li Abi Dawood” (309) mein kahte hain ke : is baare mein koi hadith saabit nahi hai]
➤ Shaykh Ibn Uthaymeen Rahimahullaah : Ash Sharh al-Mumti (1/411) mein kehte hain :
“ [ Mayyat ko ghusl dene wale ke ghusl ke mutaliq ] mustahab ka mouquf mayana rawi aur haq k qareeb hai.
Is baare mein mazeed ke liye aap sawal number 6962 ka jawab mulahiza farmayen
3. Jumu’ah ke din ghusl
Imam nawawi rahimahullah Al-Majmua’ (2/232) mein kahte hain :
“ Juma ke din ghusl karna Jamhoor ke haan sunnat hai aur baaz salaf saaliheen ne ise wajib qarar diya hai
Taaham is baare mein sahih moaqqif Al Fatawah al-Kubra (5/307) mein Shaykh ul Islam Ibn Taimiyyah Rahimahullaah ka hai ke : “ Juma ke din us shakhs ke liye ghusl karna wajib hai jisey paseena aaya hua ho, ya uske jism se itni boo aa rahi ho ke dusron ko aziyat ho “
4. Jab koi ghair muslim musalman ho jaye.
Is baare mein al-mausu’ah al fiqhiyyah (206 31/205) mein hai ke:
Maliki aur hambali fuqaha e kiraam kahte hain ke : kisi kaafir shakhs ka Islam qubool karna mujib e ghusl hai, lihaza koi bhi kafir Islam qubul kare to us par ghusl karna wajib ho jata hai, kyun ke Abu Huraira r.a. se marwi hai ke : Sumama bin Asaal r.a. jis waqt musalman hue to Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam ne farmaya : ( Ise falan ke baagh mein le jaao aur ise kaho ke ghusl kar le)
Isi tarah Qais Bin Aasim jis waqt musalman hue to Nabi Sallallaahu Alaihi Wasallam ne unhen beri ke patton aur pani se nahane ka hukm diya ; neez aisi surat mein ghusl wajib hone ki ek wajah ye bhi hai ke kafir log aam taur par junbi hote aur ghusl nahi karte to is ghaalib gumani sabab ko yaqini sabab bana diya gaya jaise [ wazu tootne ke liye ] neend aur [ ghusl waajib hone ke liye ] sharmgah ka milne ko haqeeqi sabab par mahmool kar liye gaya.
Jab ke Hanafi aur Shafa’ee fuqaha e kiraam kahte hain ke kafir jab junbi na ho to uske liye Islam qubul karne par ghusl karna mustahab hai ; kyun ke bahot zyada logon ne Islam qubul kiya lekin unhen Nabi Kareem Sallallaahu Alaihi Wasallam ne ghusl karne ka hukm nahi diya, taham agar koi kafir is haalat mein Islam qubul karta hai ke wo junbi hai to phir us par ghusl wajib hoga.
Nawawi rahimahullaah kahte hain : Imam Shafa’ee ne ye moaqqif sarahat ke saath bayan kiya hai aur isi par Jamhoor Shafa’ee fuqaha e kiram muttafiq hain “
Jab ke Shaykh Ibn Uthaymeen Rahimahullaah Ash Sharh al-Mumti (1/397) mein kehte hain ke :
“ Muhtaat (ehtiyaat )ye hi hai ke ghusl kar len “
Wallaahu A’alam
REFERENCE:
https://islamqa.info/ur/answers/81949/%D8%BA%D8%B3%D9%84-%DA%A9%D8%B1%D9%86%D8%A7-%DA%A9%D8%B3-%D9%88%D9%82%D8%AA-%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8-%DB%81%D9%88%D8%AA%D8%A7-%DB%81%DB%92-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%DA%A9%D8%A8-%D9%85%D8%B3%D8%AA%D8%AD%D8%A8
When is ghusl required and when is it mustahabb?
Question
Is bath (ghusl) obligatory after wet dreams or you have to do only after sexual intercourse? What are the other conditions when a Muslim has to take bath (ghusl)?.
Answer
Praise be to Allah.
Ghusl may be waajib (obligatory) or it may be sunnah and mustahabb. The scholars (may Allah have mercy on them) have described all cases, and their comments may be divided into three categories:
1 – Cases in which ghusl is required according to consensus:
(i)Emission of maniy (semen) even if it is not through intercourse.
It says in al-Mawsoo’ah al-Fiqhiyyah (31/195):
The fuqaha’ are unanimously agreed that emission of maniy (semen) is one of the things that make ghusl obligatory. Al-Nawawi narrated that there was consensus on this point. No distinction is made between men and women, or whether one is asleep or awake. The basic principle concerning that is the hadeeth of Abu Sa’eed al-Khudri (may Allah be pleased with him) according to which the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: “Water is for water (i.e., ghusl must be done when semen is emitted).” Narrated by Muslim (343). What this means, as was stated by al-Nawawi, is that it becomes obligatory to do ghusl with water if gushing water is emitted, i.e., maniy. End quote.
See also questions no. 6010, 12317 and 47693.
(ii)Meeting of the two circumcised parts when the tip of the penis disappears completely in the vagina, even if no ejaculation takes place.
See question no. 7529 and 36865.
(iii)and (iv) Menstruation and nifaas (post partum bleeding)
In al-Mawsoo’ah al-Fiqhiyyah (31/204) it says:
The fuqaha’ are unanimously agreed that menstruation and nifaas are among the things that make ghusl obligatory. Ibn al-Mundhir, Ibn Jareer, al-Tabari and others narrated that there was consensus on this point. The evidence that ghusl is required following menses is the verse in which Allah says (interpretation of the meaning):
“They ask you concerning menstruation. Say: that is an Adha (a harmful thing for a husband to have a sexual intercourse with his wife while she is having her menses), therefore, keep away from women during menses and go not unto them till they are purified (from menses and have taken a bath). And when they have purified themselves, then go in unto them as Allah has ordained for you” [Al-Baqarah 2:222]. End quote
2 – Cases in which ghusl is not required according to consensus, but it is mustahabb
(i)Every time one is going to meet people – it is mustahabb to do ghusl beforehand.
Al-Baghawi (may Allah have mercy on him) said: It is mustahabb for the one who wants to meet with people to do ghusl, clean himself and perfume himself. That includes doing ghusl on the two Eids. Al-Nawawi (may Allah have mercy on him) said in al-Majmoo’ (2/233): It is Sunnah for everyone according to consensus, men, women and children, because it is part of adoring oneself. End quote.
See also question no. 48988.
That also includes doing ghusl before the eclipse prayer, prayers for rain (istisqa’), standing in ‘Arafah, doing ghusl in al-Mash’ar al-Haraam, before stoning the Jamaraat on the days of tashreeq, and other places where people gather to do acts of worship or gather according to their customs.
(ii)When undergoing any physical change.
Al-Muhaamili – who was a Shaafa’i faqeeh – said: It is mustahabb to do ghusl every time one undergoes a physical change.
For example, the fuqaha’ stated that it is mustahabb for the one who went insane or fell unconscious to do ghusl when he recovers, and to do ghusl after cupping, after entering the hammam and so on, because the ghusl will remove anything that has gotten onto the body and will restore it to a natural state. See al-Majmoo’ (2/235, 234).
(iii)For some acts of worship, such as doing ghusl when entering ihraam.
The Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) did ghusl before changing into his ihraam garments. Narrated by al-Tirmidhi, 830. The fuqaha’ stated that it is mustahabb to do ghusl for tawaaf al-ziyaarah and tawaaf al-wadaa’ (farewell tawaaf), and on Laylat al-Qadar. When Ibn ‘Umar entered Makkah he would do ghusl, and he said that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) used to do that. Narrated by al-Bukhari (1478) and Muslim (1259).
3 – Ghusl concerning which the scholars differed, and which view is more likely to be correct
(i)Ghusl for the deceased.
The majority of scholars are of the view that death is one of the things that make ghusl obligatory, because the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said to the women when his daughter died: “Wash her three times or five or more than that.” Narrated by al-Bukhaari (1253) and Muslim (939).
(ii)Ghusl after washing the deceased.
The scholars differed concerning this, based on their differences about the hadeeth that was narrated concerning it. It was narrated from Abu Hurayrah (may Allah be pleased with him) that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: “Whoever has washed a dead person, let him do ghusl.”
Narrated by Ahmad (2/454), Abu Dawood (3161) and al-Tirmidhi (993), who said it is a hasan hadeeth. Imam Ahmad said in Masaa’il Ahmad by Abu Dawood (309): No hadeeth is proven concerning this.
Shaykh Ibn ‘Uthaymeen (may Allah have mercy on him) said in al-Sharh al-Mumti’ (1/411): The correct view is that it is mustahabb. End quote.
See also question no. 6962.
(iii)Ghusl on Fridays
Al-Nawawi said in al-Majmoo’ (2/232): It is Sunnah according to the majority, and some of the salaf regarded it as obligatory. End quote.
The correct view is that which was favoured by Shaykh al-Islam Ibn Taymiyah in al-Fataawa al-Kubra (5/307): It is obligatory to do ghusl on Fridays for one who is sweaty or has an odour that may offend others. End quote.
(iv)When a kaafir becomes Muslim
The Maalikis and Hanbalis are of the view that if a kaafir becomes Muslim, ghusl is required, because of the report narrated by Abu Hurayrah (may Allah be pleased with him) that Thumaamah ibn Athaal (may Allah be pleased with him) became Muslim, and the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: “Take him to the garden of Banu So and so and tell him to do ghusl.” And it was narrated that when Qays ibn ‘Aasim became Muslim, the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) told him to do ghusl with water and lotus leaves. And in most cases the new Muslim will not be free of janaabah, so ghusl is required for that reason.
The Hanafis and Shaafa’is are of the view that it is mustahabb for a kaafir to do ghusl when he becomes Muslim even if he is not junub, because many people became Muslim and the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) did not tell them to do ghusl. If a kaafir becomes Muslim when he is junub, then he has to do ghusl. Al-Nawawi (may Allah have mercy on him) said: This was stated by al-Shaafa’i, and the majority of our companions are agreed on that. End quote.
Shaykh Ibn ‘Uthaymeen (may Allah have mercy on him) said in al-Sharh al-Mumti’ (1/379): In order to be on the safe side he should do ghusl. End quote.
And Allah knows best.
REFERENCE:
https://islamqa.info/en/answers/81949/when-is-ghusl-required-and-when-is-it-mustahabb
غسل کرنا کس وقت واجب ہوتا ہے اور کب مستحب؟
سوال
کیا احتلام کے بعد غسل کرنا واجب ہے؟ یا صرف ہمبستری کے بعد ہی غسل کرنا واجب ہوتا ہے؟ اس کے علاوہ دیگر کون کون سے مواقع ہیں جب غسل کرنا فرض ہوتا ہے یا مستحب ہوتا ہے؟
جواب کا متن
الحمد للہ.
غسل بسا اوقات واجب ہوتا ہے اور بسا اوقات مستحب، علمائے کرام رحمہم اللہ نے یہ تمام حالات ذکر کئے ہیں اور ان کی غسل کے متعلق گفتگو کو تین قسموں میں تقسیم کیا جا سکتا ہے:
اول: متفقہ طور پر غسل واجب کرنے والی اشیا، یہ درج ذیل ہیں:
1- منی خارج ہو ، چاہے جماع کے بغیر نکلے۔
اس بارے میں “الموسوعة الفقهية” (31/195) میں ہے کہ:
“فقہائے کرام کا اس بات پر اتفاق ہے کہ منی کے نکلنے سے غسل واجب ہو جاتا ہے، بلکہ نووی رحمہ اللہ نے اس بات پر اجماع نقل کیا ہے، اور اس میں مرد یا عورت کے درمیان کوئی فرق نہیں ہے، ایسے ہی منی بیداری میں خارج ہو یا نیند میں اس کے درمیان بھی کوئی فرق نہیں ، اس موقف کیلیے ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ کی حدیث دلیل ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: (یقیناً پانی سے پانی (غسل )ہے) اسے مسلم (343) نے روایت کیا ہے اور اس کا مطلب جیسے کہ نووی رحمہ اللہ نے بیان کیا ہے یہ ہے : پانی سے غسل اس وقت واجب ہوتا ہے جب اچھل کر پانی یعنی منی خارج ہو” ختم شد
اس بارے میں مزید کیلیے آپ سوال نمبر: (6010) ، (12317) اور (47693) کا جواب ملاحظہ کریں۔
2- مرد و زن کی شرمگاہیں مل جائیں کہ آلہ تناسل کی مکمل سپاری اندام نہانی میں داخل ہو جائے چاہے انزال نہ بھی ہو۔
اس کی مزید تفصیلات کیلیے آپ سوال نمبر: (7529) اور (36865) کا مطالعہ کریں۔
3- حیض
4- نفاس ان دونوں کے بارے میں الموسوعة الفقهية (31/204) میں ہے کہ:
“فقہائے کرام کا اس بات پر اتفاق ہے کہ حیض اور نفاس سے غسل واجب ہو جاتا ہے، ابن المنذر، ابن جریر طبری اور دیگر نے اس موقف پر اجماع نقل کیا ہے، حیض سے غسل واجب ہونے کی دلیل اللہ تعالی کا فرمان ہے:
وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الْمَحِيضِ قُلْ هُوَ أَذًى فَاعْتَزِلُواْ النِّسَاء فِي الْمَحِيضِ وَلاَ تَقْرَبُوهُنَّ حَتَّىَ يَطْهُرْنَ فَإِذَا تَطَهَّرْنَ فَأْتُوهُنَّ مِنْ حَيْثُ أَمَرَكُمُ اللّهُ
ترجمہ: وہ آپ سے حیض کے بارے میں پوچھتے ہیں، آپ کہہ دیں: یہ گندگی ہے حیض کی حالت میں خواتین سے علیحدہ رہیں، اور ان کے پاک صاف ہونے تک ان کے قریب بھی نہ جائیں، پس جب وہ پاک ہو جائیں تو ان کے پاس وہاں سے آئیں جہاں سے تمہیں اللہ نے حکم دیا ہے۔[البقرہ: 222]” ختم شد
دوم: ایسے حالات جن میں متفقہ طور پر غسل کرنا واجب نہیں ہے بلکہ مستحب ہے:
1- لوگوں کے مجمع میں جانے سے پہلے غسل کرنا مستحب ہے
بغوی رحمہ اللہ کہتے ہیں: جو شخص لوگوں کی کثرت میں گھلے ملے تو وہ پہلے غسل کر کے صفائی ستھرائی اور خوشبو کا اہتمام کرے۔
اس میں عیدین کا غسل بھی شامل ہے، نووی رحمہ اللہ “المجموع” (2/233) میں کہتے ہیں: “متفقہ طور پر ہر ایک کیلیے [عید کے دن غسل کرنا] مستحب ہے، چاہے مرد ہوں یا عورتیں یا بچے؛ کیونکہ اس دن زیب و زینت اختیار کی جاتی ہے اور یہ سب [مرد، عورتیں اور بچے] زینت اختیار کرنے اہلیت رکھتے ہیں” ختم شد
اس بارے میں مزید کیلیے آپ سوال نمبر: (48988) کا مطالعہ کریں۔
اسی میں نماز کسوف، استسقا، وقوف عرفہ، مشعر الحرام [مزدلفہ] اور ایام تشریق میں جمرات کو کنکریاں مارنے کیلیے غسل کرنا بھی شامل ہے، نیز اس کے علاوہ جہاں بھی لوگ عبادت کیلیے اپنے کسی کام کیلیے اکٹھے ہو رہے ہوں تو غسل کرنا مستحب ہے۔
2- جسمانی تبدیلی کے وقت: شافعی فقہا میں سے محاملی کہتے ہیں: “جسم میں کوئی بھی تبدیلی آئے تو اس وقت غسل کرنا مستحب ہے”
اس میں یہ بھی شامل ہے کہ: فقہائے کرام کہتے ہیں پاگل یا بے ہوش آدمی ہوش میں آ جائے تو غسل کرنا مستحب ہے، اسی طرح سینگھی لگوانے کے بعد، بال بنوانے کے بعد بھی غسل کرنا مستحب ہے؛ کیونکہ غسل کرنے سے جسم کے ساتھ لگے ہوئے بال اور خون وغیرہ صاف ہو جائے گا اور انسان معمول کی حالت پر آ جائے گا۔مزید
دیکھیں: “المجموع” (2/234،235)
3- کچھ عبادت سے پہلے: مثلاً احرام باندھنے سے پہلے ؛ کیونکہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے جس وقت احرام باندھا تو اپنے کپڑے اتار دئیے اور غسل فرمایا، ترمذی (830) میں یہ روایت موجود ہے۔
اسی طرح فقہائے کرام نے صراحت کے ساتھ طواف زیارت اور طواف وداع کیلیے غسل کرنا مستحب قرار دیا ہے اسی طرح شب قدر کے لئے ،مکہ میں داخل ہونے کے لئے جیسا کہ ابن عمر رضی اللہ عنہ جب بھی مکہ داخل ہونے لگتے تو غسل فرماتے، اور یہ بیان کرتے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم ایسا کیا کرتے تھے۔
اس روایت کو بخاری: (1478) اور مسلم (1259)نے روایت کیا ہے۔
سوم: متنازع فیہ غسل اور ان کے متعلق صحیح موقف کا بیان:
1- میت کو غسل دینا:
جمہور اہل علم اس بات کے قائل ہیں کہ موت کی وجہ سے غسل واجب ہو جاتا ہے؛ کیونکہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنی بیٹی کی وفات کے وقت فرمایا تھا: ([میری بیٹی کو] تین بار یا پانچ بار یا اس بھی زیادہ بار غسل دینا) بخاری (1253) اور مسلم (939) نے اسے روایت کیا ہے۔
2- میت کو غسل دینے پر غسل کرنا:
علمائے کرام کا اس بارے میں اختلاف ہے؛ کیونکہ اس بارے میں منقول روایت کے ثابت ہونے میں اختلاف ہے، چنانچہ ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: (جو شخص میت کو غسل دے وہ خود بھی غسل کرے) اسے احمد: (2/454) ، ابو داود (3161) اور ترمذی (993) نے روایت کیا ہے اور اسے حسن قرار دیا۔ جبکہ امام احمد “مسائل أحمد لأبي داود” (309) میں کہتے ہیں کہ: اس بارے میں کوئی حدیث ثابت نہیں ہے۔
شیخ ابن عثیمین رحمہ اللہ “الشرح الممتع” (1/411) میں کہتے ہیں:
“[میت کو غسل دینے والے کے غسل کے متعلق] مستحب کا موقف میانہ روی اور اقرب الی الحق ہے” ختم شد
اس بارے میں مزید کیلیے آپ سوال نمبر: (6962) کا جواب ملاحظہ فرمائیں۔
3- جمعہ کے دن غسل
امام نووی رحمہ اللہ “المجموع” (2/232) میں کہتے ہیں: “جمعہ کے دن غسل کرنا جمہور کے ہاں سنت ہے اور بعض سلف صالحین نے اسے واجب قرار دیا ہے۔” ختم شد
تاہم اس بارے میں صحیح موقف “الفتاوى الكبرى” (5/307) میں شیخ الاسلام ابن تیمیہ رحمہ اللہ کا ہے کہ : “جمعہ کے دن اس شخص کیلیے غسل کرنا واجب ہے جسے پسینہ آیا ہوا ہو ، یا اس کے جسم سے اتنی بو آ رہی ہو کہ دوسروں کو اذیت ہو” انتہی
4- جب کوئی غیر مسلم مسلمان ہو جائے
اس بارے میں الموسوعة الفقهية (31/205-206) میں ہے کہ:
“مالکی اور حنبلی فقہائے کرام کہتے ہیں کہ : کسی کافر شخص کا اسلام قبول کرنا موجب غسل ہے، لہذا کوئی بھی کافر اسلام قبول کرے تو اس پر غسل کرنا واجب ہو جاتا ہے؛ کیونکہ ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ : ثمامہ بن اثال رضی اللہ عنہ جس وقت مسلمان ہوئے تو نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: (اسے فلاں کے باغ میں لے جاؤ اور اسے کہو کہ غسل کر لے) اسی طرح قیس بن عاصم جس وقت مسلمان ہوئے تو نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے انہیں بیری کے پتوں اور پانی سے نہانے کا حکم دیا؛ نیز ایسی صورت میں غسل واجب ہونے کی ایک وجہ یہ بھی ہے کہ کافر لوگ عام طور پر جنبی ہوتےاور غسل نہیں کرتے، تو اس غالب گمانی سبب کو یقینی سبب بنادیا گیا جیسے [وضو ٹوٹنے کیلیے]نیند اور [غسل واجب ہونے کیلیے]شرمگاہوں کے ملنے کو حقیقی سبب پر محمول کر لیا گیا۔
جبکہ حنفی اور شافعی فقہائے کرام کہتے ہیں کہ کافر جب جنبی نہ ہو تو اس کیلیے اسلام قبول کرنے پر غسل کرنا مستحب ہے؛ کیونکہ بہت زیادہ لوگوں نے اسلام قبول کیا لیکن انہیں نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے غسل کرنے کا حکم نہیں دیا، تاہم اگر کوئی کافر اس حالت میں اسلام قبول کرتا ہے کہ وہ جنبی ہے تو پھر اس پر غسل واجب ہو گا۔
نووی رحمہ اللہ کہتے ہیں: امام شافعی نے یہ موقف صراحت کے ساتھ بیان کیا ہے اور اسی پر جمہور شافعی فقہائے کرام متفق ہیں” ختم شد
جبکہ شیخ ابن عثیمین رحمہ اللہ “الشرح الممتع” (1/397) میں کہتے ہیں کہ:
“محتاط یہی ہے کہ غسل کر لے” ختم شد
واللہ اعلم.
https://islamqa.info/ur/answers/81949/%D8%BA%D8%B3%D9%84-%DA%A9%D8%B1%D9%86%D8%A7-%DA%A9%D8%B3-%D9%88%D9%82%D8%AA-%D9%88%D8%A7%D8%AC%D8%A8-%DB%81%D9%88%D8%AA%D8%A7-%DB%81%DB%92-%D8%A7%D9%88%D8%B1-%DA%A9%D8%A8-%D9%85%D8%B3%D8%AA%D8%AD%D8%A8