Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

531. Namaz-e-‘Ishaa ke foran ba’d Witr padhna

Namaz-e-‘Ishaa ke foran ba’d Witr padhna

[Sawaal]

Mujhe Qur’an-e-Majeed ki tilaawat , Azkaar aur mustahab Namaazon maslan Witr waghaira ka bohat shouq hai lekin aksar Namaz-e-Witr boojhal mehsoos hone lagti hai khusoosan jab ke Namaz-e-‘Ishaa ke foran ba’d us se adaa na karoon , To Kia yeh jaaiz hai ke mein us se Namaz-e-‘Ishaa ke foran ba’d adaa kar liya karoon ya zaroori hai ke us se muakkhar kiya jaae aur sone se pehle padha jaae?

[Jawab]

Sone tak us se muwakhir karna afzal nahi hai, Jab ke yeh nisyaan ya giraani ya ghaflat ka zariy’a bane balkeh is soorat mein us se Namaz-e-‘Ishaa ke foran ba’d adaa karna afzal hai. Haan albatta agar raat ke aakhri hissa mein uthne ka wusooq ho to phir usseu muwakhir karna afzal hai aur agar neend ya ghaflat ka andeesha ho to ehtiyaat is mein hai ke us se raat ke pehle hissa hi mein padh liya jaae.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents