542. Munaafiqon ke liye sab se dushwaar ‘Ishaa aur Faajr ki Namaz hai
Munaafiqon ke liye sab se dushwaar ‘Ishaa aur Faajr ki Namaz hai
[Sawaal]
Kia yeh jaaiz hai ke subah ki Namaz ke waqt aadmi soya rahe aur jab bedaar ho, Us waqt padh le kyunke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya hai ke :
“Jo shakhs Namaz se soya rahe ya bhool jaae to us se jis waqt yaad aae us waqt padh le Is ka wahi waqt hai۔” Mein subah ke waqt uth to sakta hoon lekin be had mushkil ke saath aur agar us waqt Namaz padhoon To zehn bhi haazir nahi hota. (Yaane muntashir zehn se Namaz padhta hoon)umeed hai subah ki Namaz ki fazeelat khusoosan nihaayat wazaahat ke saath us ke taarik ki saza bhi bayaan farmaaein ge?
[Jawab]
Har musalmaan ke liye yeh zaroori hai ke woh tamaam Namaazon ko baa jama’at Masjid mein adaa kare, Us ka khaas ehtimaam kare aur har us baat se door rahe, Jo Allah Ta’ala ke faraaiz ki baja aawri mein rukaawat bane. Un faraaiz mein se ahem tareen Namaz-e-Fajr hai. Sahih Hadees mein Rasoolullah (ﷺ) ka yeh Irshaad maujood hai ke:
(أَثْقَلُ الصَّلَاةِ عَلَى الْمُنَافِقِينَ صَلَاةُ الْعِشَاءِ وَصَلَاةُ الْفَجْرِ، وَلَوْ يَعْلَمُوْنَ مَا فِيهِمَا لأَتَوْهُمَا وَلَوْ حَبْوا)
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Fazal Salaat Al-‘Ishaa fi Al-jama’at, H: 657)
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab Fazal Salaat Al-jama’at-o-bayaan Al-Tashdeed, H: 651)
“Munaafiqon ke liye sab se ziyaada dushwaar Namaz-e-‘Ishaa aur subah ki Namaz hai aur agar unhein ma’loom hota ke un Namaazon mein kis qadar ajar-o-sawaab hai to woh ghutnon ke bal chal kar bhi aate.”
Aur Allah Ta’ala ne Qur’an-e-Majeed mein Irshaad farmaaya hai:
وَقُرۡاٰنَ الۡـفَجۡرِؕ اِنَّ قُرۡاٰنَ الۡـفَجۡرِ كَانَ مَشۡهُوۡدًا
(Al-Israa 1778)
“Aur subah ko Qur’an padha karo kyunke subah ke waqt Qur’an padhna muajjib huzoor-e-(Malaaika) hai.”
Hadees mein bhi hai ke subah ki Namaz mein farishte haazir hote hain Yaane us waqt din aur raat ke farishte jam’a hote hain. Imaam Shaaf’i ka mazhab hai ke Namaz-e-Fajr hi Namaz-e-Wista hai aur aap ka istadlaal:
وَقُوۡمُوۡا لِلّٰهِ قٰنِتِيۡنَ
(Al-Baqrah 2238)
“Aur Allah ke aage adab se khade raha karo.”
Ke jumla se hai ke taul-e-Qayaam to Namaz-e-Fajr mein hota hai, Beherhaal yeh waajib hai ke Namaz-e-subah ke liye khaas ehtimaam kiya jaae lehaaza aise asbaab ikhtiyaar kijiye , Jin ki wajah se aap ke liye Namaz-e-subah ka ba jama’at adaa karna mumkin ho maslan raat ko jald so jaaiye aur der tak bedaar na rahiye kyunke is se raat ke aakhri hissa mein neend ka ghalba ho jaata hai aur aadmi subah ki Namaz bar waqt adaa nahi kar sakta. Aap poori poori koshish karen ke azaan ke qareeb ya azaan sunte hi bedaar ho jaaein ya kisi ke zimme lagaaein jo aap ko bedaar kar de, Ya Namaz ke waqt aap ke darwaazah par dastak de de, Ya alarm waali ghadi iste’maal kijiye ke azaan sun kar ya azaan ke qareeb aap alarm sun kar bedaar ho jaaein aur jab insaan uthne ka ‘aadi ho jaae to woh susti aur sa’oobat par qaabu paa hi leta hai, Us ke liye uthna aasan ho jaata hai, Namaz se us se mohabbat ho jaati hai aur Namaz mein jo woh kehta ya sunta hai, Us ke liye us se dil ki hazoori bhi haasil ho jaati hai. Wallahu A’lam
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…