Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

549. Jo shakhs aakhri tashahhud mein mile us ki jama’at Faut ho gai

Jo shakhs aakhri tashahhud mein mile us ki jama’at Faut ho gai

[Sawaal]

Kia Namazi jab aakhri tashahhud mein mile to us se Namaz-e-ba jama’at ka sawaab mile ga ya nahi?

[Jawab]

jama’at ka sawaab usi soorat mein milta hai ke aadmi ek raka’at zaroor paa le kyunke Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai:

مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الصَّلَاةِ فَقَدْ أَدْرَكَ الصَّلَاةَ

(Bukhari, Mawaqiyat Al-Salaat, Baab min adrak min Al-Salaat raka’at, H: 580, -O-Muslim, Al-Masaajid, Baab min adrak raka’at min Al-Salaat faqad . . . , H:607)

“Jis ne ek raka’at paa li us ne Namaz paa li.”

Lekin agar koi shakhs kisi ‘uzr maslan beemaari waghaira ki wajah se late ho to us se Allah Ta’ala jama’at ka sawaab ‘ataa farma deta hai, kyunke Rasoolullah (ﷺ) ka Irshaad hai ke:

إِذَا مَرِضَ الرَّجُلُ أَوْ سَافَرَ كَتَبَ اللهُ لَهُ مَا كَانَ يَعْمَلُ وَهُوَ صَحِيحٌ مُقِيمٌ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Jihaad-o-Al-Seer, Baab Yaktab lil musaafir masal maa kaan ya’amal fi Al-iqaamat, H: 2996, -O-Masnad Ahmad, 4410)

“Jab koi aadmi bemaar ho ya musaafir ho to Allah Ta’ala us se us ‘amal ke mutaabiq ajar-o-sawaab ‘ataa farma deta hai jo woh us waqt karta tha jab woh sahih aur muqeem tha.”

__Shaikh Ibm-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents