Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

551. Saf ke daaein taraf Namaaziyon ki tadaad ziyaada hone mein koi harj nahi

Saf ke daaein taraf Namaaziyon ki tadaad ziyaada hone mein koi harj nahi

[Sawaal]

‘Ishaa ki jama’at khadi hoi to saf ki daaein jaanib mukammal ho gai lekin baaein jaanib thode log the to hum ne kaha saf ko baaein jaanib se bhi mukammal kar lo to ek Namazi ne kaha ke daaein jaanib afzal hai to doosre ne us ke jawaab mein kaha ke Hadees mein aaya hai ke “Jo shakhs safon ke baaein hissa ko abaad karta hai, us se do guna sawaab milta hai.” Baraah-e-Karaam fatwa dijiye ke is masla mein sahi baat Kia hai?

[Jawab]

Nabi Kareem (ﷺ) se yeh saabit hai ke har saf ka daayaan hissa us ke baaein hissa se afzal hai lekin logon se yeh kehne ki zaroorat nahi ke saf ko dono taraf se baraabar kar lo kyunke agar daaein taraf ziyaada log hon to is mein koi harj nahi taake woh daaein taraf ki fazeelat ko haasil kar saken.

Ba’az Namaaziyon ne jo yeh zikr kiya ke “Jo shakhs safon ke baaein hissa ko abaad karta hai, us se do guna sawaab milta hai.” To mujhe is Hadees ka koi asal ma’loom nahi. Bazaahir yoon ma’loom hota hai ke yeh Hadees-e-mauz’u hai, Iss se ba’az un sust logon ne waz’a kiya hai, Jo daaein taraf ka shouq nahi rakhte aur us ke liye sabaqat le jaane ki koshish nahi karte. Wallahu Al-Haadi illaa Sawa Al-Sabeel

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents