Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

560. Ek mauz’u-e-Hadees jo ke sahih nahi hai

Ek mauz’u-e-Hadees jo ke sahih nahi hai

[Sawaal]

Logon mein ek warqa taqseem kiya gaya jis par Nabi Kareem (ﷺ) ki taraf mansoob yeh Hadees likhi hoi thi ke “Jo shakhs susti kare Allah Ta’ala us se pandrah sazaaein de ga.” Kia yeh Hadees sahih hai?

[Jawab]

Yeh ek jhooti Hadees hai jis se Nabi Kareem (ﷺ) ki taraf mansoob kiya gaya hai. Yeh sahih nahi hai aur na us ki koi buniyaad hai jaisa ke Hafiz Zahbi رحمة الله ne “Meezaan” mein aur Hafiz Ibn-e-Hajar رحمة الله ne “Lisaan-ul-Meezan” mein bayaan farmaaya hai lehaaza jo shakhs us kaaghaz ko paae us se jala de aur us se taqseem karne waale ko tanbeeh kare taake Nabi Kareem (ﷺ) ki taraf se dif’a kiya jaa sake aur aap ki Sunnat-e-sahiha mein’ Namaz ki jo ‘azmat aur us ke baare mein susti ke liye wa’eed aai hai, Woh kaafi’ Shaafi aur kazaab logon ke kazab se be niyaaz kar dene waali hai maslan Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ وَالصَّلَوةِ الْوُسْطَى وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ

(Al-Baqrah 2238)

“(Muslimaano) sab Namaazein, khusoosaan beech ki Namaz (Yaane Namaz-e-‘Asar) poore iltizaam ke saath adaa karte raho aur Allah ke aage adab se khade raha karo.”

Aur farmaaya:

فَخَلَفَ مِنۡۢ بَعۡدِهِمۡ خَلۡفٌ اَضَاعُوا الصَّلٰوةَ وَاتَّبَعُوا الشَّهَوٰتِ‌ ۖ فَسَوۡفَ يَلۡقَوۡنَ غَيًّا

(Maryam 1959)

“Phir un ke ba’d chand na khalf un ke jaanasheen hue Jinhon ne Namaz ko (Chod diya goya us se) kho diya aur khuwahishaat-e-nafsaani ke peeche lag gae So ‘anqareeb un ko gumraahi (Ki saza) mile gi.”

Aur farmaaya:

فَوَيْلٌ لِّلْمُصَلِّيْنَ الَّذِيْنَ هُمْ عَنْ صَلَاتِهِمْ سَاهُوْنَ

(Al-Ma’oon 1074-5)

“To aise Namaaziyon ki kharaabi hai, Jo Namaz ki taraf se ghaafil rehte hain.”

Is mafhoom ki aur bhi bohat si Aayaat hain aur Nabi (ﷺ) ka Irshaad-e-Giraami hai:

الْعَهْدُ الَّذِي بَيْنَنَا وَبَيْنَهُمُ الصَّلَاةُ فَمَنْ تَرَكَهَا فَقَدْ كَفَرَ

(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Imaan, Baab maa jaa fi Tark Al-Salaat, H: 2621, Sunan Nisaa’i, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-hukm fi Taarik Al-Salaat, H: 464, Masnad Ahmad 5346, 355)

“Hamare aur kaafiron ke darmiyaan jo ‘ehd hai, Woh Namaz ka hai jo shakhs Namaz ko tark kar de, Woh kaafir hai.”

Aur Isi tarah Aap (ﷺ) ka Irshaad hai:

بَيْنَ الرَّجُلِ وَبَيْنَ الْكُفْرِ وَالشَّرْكِ تَرْكُ الصَّلَاةِ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab bayaan atlaq Ism Al-Kufur ‘Ali min tark Al-Salaat, H: 82)

“Aadmi aur kufur-o-shirk ke darmiyaan farq tark-e-Namaz se hai.”

Isi tarah ek din Rasoolullah (ﷺ) ne Sahaaba Karaamرضى الله عنهم mein Islam mein Namaz ka zikr karte hue farmaaya:

مَنْ حَافَظَ عَلَيْهَا كَانَتْ لَهُ نُورًا وَبُرْهَانَا وَنَجَاةَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، وَمَنْ لَّمْ يُحَافِظُ عَلَيْهَا لَمْ يَكُنْ لَهُ نُورٌ وَلا بُرْهَانٌ وَلَا نَجَاةٌ وَحُشِرَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ مَعَ فِرْعَوْنَ وَهَامَانَ وَقَارُوْنَ وَأَبِي ابْنِ خَلَفٍ

(Rawaa Ahmad fi Al-Masnad 2169,-O-Majma’a Al-Zawaaid, Kitaab Al-Salaat, Baab Farz Al-Salaat, H: 1611)

“Jo shakhs Namaz ki hifaazat kare ga to Namaz us ke liye Qayaamat ke din Noor, Burhaan aur zariy’a-e-nijaat ho gi aur jo shakhs Namaz ki hifaazat nahi kare ga to us ke liye na Noor ho ga. Na barhan aur na zariy’a-e-nijaat aur us se roz e Qayaamat Fira’un ,Hamaan ,Qaaroon aur Abi-bin-Khalf ke saath uthaaya jaae ga.”

Ba’az ‘Ulama ne is Hadees ki sharah mein yeh likha hai ke jis ne Namaz ko zaay’a kar diya us se Qayaamat ke din un kaafiron ke saath uthaaya jaae ga kyunke agar us ne hukoomat-o-riyaasat ki wajah se us se zaay’a kiya hai, To woh Fira’un ke mushaaba hai. Agar us ne wizaarat aur deegar oonche ‘uhdon ki wajah se zaay’a kiya hai, To woh Haman ke mushaaba hai jo ke Fira’un ka wazeer tha aur us ke saath hi roz-e-Qayaamat jahannum raseed ho ga. Jis ne us se maal-o-khuwahishaat-e-nafsaani ke baa’is zaay’a kiya hai to woh Qaroon ke mushaaba ho ga. Jis se Allah Ta’ala ne us ke ghar samet zindah zameen mein dhansa diya tha kyunke us ne apne behad-o-hisaab maal-o-doulat aur khuwahishaat-e-nafsaani ki pairwi ki wajah se itteb’a-e haqq se e’raaz kar liya tha to maal-o-doulat ki bana par Namaz zaay’a karne waale ko Roz-e-Qayaamat Qaroon ke saath jahannum raseed kiya jaae ga aur agar us ne apni tijaarat aur deegar umoor-o-ma’amlaat ki wajah se zaay’a kiya, To woh Abi-bin-Khalaf ke mushaaba hai jo kufaar-e-Makkah mein se ek bada taajir tha aur us ke saath mushaabihat rakhne waale be Namazi ko Roz-e-Qayaamat us ke saath jahannum raseed kiya jaae ga. Hum un aur un jaise logon ke halaat se Allah Ta’ala ki panaah chaahte hain.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents