572. Mafqood Al-‘Aqal ki ba’az Namaazon ka tark ho jaana
Mafqood Al-‘Aqal ki ba’az Namaazon ka tark ho jaana
[Sawaal]
Ek shakhs Faut ho gaya jis ke zimma kuch aisi Farz Namaazein thin jinhein woh apni bemaari ke un dino mein nahi padh saka tha jab us ki ‘aqal jawaab de gai thi, To Kia us ki wafaat ke ba’d us ke zindah qareebi rishta daar mardon ya ‘Aurton par un Namaazon ki qaza laazim hai ya faqad un ‘aqal ki wajah se us se yeh Namaazein saaqit aur us ke wursa par un ki qaza laazim na ho gi?
[Jawab]
Jab insaan ‘aqal ke khatam ho jaane ki wajah se Farz Namaazon ko chod de to faqdaan-e-‘aqal ki wajah se yeh us se saaqit ho jaaein gi lehaaza us ke wursa par un ki qaza bhi na ho gi aur jab aadmi Farz Namaz ko tark kare jab ke us ki ‘aqal salim ho aur khuwah jism mareez ho ya na ho to woh tark-e-Namaz ki wajah se gunaah gaar ho ga aur us ka ma’amla us ke Rabb ke supurd hai, Waris us ki taraf se qaza nahi dein ge.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…