573. Main ne chaar saal pehle ek Namaz chod di thi
Main ne chaar saal pehle ek Namaz chod di thi
[Sawaal]
Chaar saal qabl hum ek tafreehi safar mein the aur safar mein meri ek Namaz (Zuhr ya ‘Asar) tark ho gai thi. Ab mujhe yaad nahi ke woh kon si Namaz thi? Haan yeh zaroor yaad hai ke main ne mehez-e-kaahili aur susti ki wajah se us Namaz ko tark kiya tha aur ab us gunaah par naadim hoon aur Allah Ta’ala se har gunaah aur ghalti ki ma’afi ka talab gaar hoon. Sawaal yeh hai ke us mazkoora Namaz k hawaala se mujh par Kia waajib hai? Kia is ka koi kaffaara hai?
[Jawab]
Aap par Farz yeh hai ke Allah Ta’ala ki bargaah mein sachi pakki tawbah karen, Qaza aap ke zimma nahi hai kyunke Nabi (ﷺ) ke is Irshaad ke pesh-e-nazar ke:
الْعَهْدُ الَّذِي بَيْنَنَا وَبَيْنَهُمُ الصَّلَاةُ فَمَنْ تَرَكَهَا فَقَدْ كَفَرَ
(Sunan Tirmizi, Kitaab Al-Imaan, Baab maa jaa fi tark Al-Salaaat, H: 2621,-O-Sunan Nisaa’i, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-hukm fi Taarik Al-Salaat, H: 464,-o-Masnad Ahmad 5346, 355)
“Hamare aur un ke mabain jo ‘ehd hai, Woh Namaz hai. Jis ne us se tark kar diya us ne kufur kiya.”
‘Amdan qasad-o-iraadah se Namaz tark karna kufur hai. Nez Aap (ﷺ) ke is Irshaad se bhi yehi baat saabit hoti hai ke:
بَيْنَ الرَّجُلِ وَبَيْنَ الْكُفْرِ وَالشَّرْكِ تَرْكُ الصَّلَاةِ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab bayaan Atlaq Isim Al-Kufyr ‘Ali min tark Al-Salaat, H: 82)
“Aadmi aur kufur-o-shirk ke mabain farq Namaz se hai.”
Khaalis aur sachi tawbah ke siwa us ka aur koi kaffaara nahi.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…