Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

578. Kaam mein mashghooliyat taakheer-e-Namaz ke liye ‘uzr nahi hai

Kaam mein mashghooliyat taakheer-e-Namaz ke liye ‘uzr nahi hai

[Sawaal]

Mein ek muhaajir hoon mujhe shaam ke saat baje se subah ke saat bajey tak kaam karna padta hai lehaaza Kia mere liye yeh jaaiz hai ke mein tamaam Farz Namaazon ko jam’a kar ke adaa kar liya karoon?

[Jawab]

Muqararah waqt se pehle kisi Namaz ko adaa karna jaaiz nahi khuwah kaam ki mashghooliyat ya koi aur ‘uzr ho, Isi tarah kisi Namaz ko baghair ‘uzr ke is qadar muakkhar karna bhi jaaiz nahi ke us ka waqt hi khatam ho jaae, Ma’mool ka kaam Namaz ko muakkhar karne ke liye ‘uzr ya jam’a karne ke liye jawaaz nahi ban sakta. Kaam ki jagah par bhi Namaz ko adaa kiya jaa sakta hai aur yeh bhi mumkin hai ke kaam ki jagah ko band kar ke Masjid mein jaa kar Namaz adaa kar li jaae. ‘Ulama ne kaam karwaney waalon ke liye yeh shart muqarrar ki hai ke unhein kaarkanon ko Namaz-e-panjgaana un ke auqaat mein’ Sharaait ke mutaabiq adaa karne ki sahoolat dena ho gi. Yaad rahe ba’az Namaazon ko safar ya barish ya bemaari waghaira ke ‘uzr ki wajah se jam’a kar ke padhne ki ijaazat hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents